Aaj hm yaha bataane ja rahe hain ki swadisht fried rice kaise banaate hain. Ghar ka khana sabhi ko bahut pasand hota hai. Hm Bataate hain ki ghar par bahar jese chawal kese pakaayein, jisse sab ungliyaan chaat te rha jaayein, Poora Padhen:

Sabse pahle jaante hain ki swaadisht chawal banaane ke liye kis kis saamagri ki aavashyakta hogi. Aapko Chahiye hoga thoda oil, jeera, pyaj, tamatar, hari mirch, namak, lal mirch, sirka, dhaniya, matar.

Ab Niche Likhe Sabhi Steps Follow Karein:

  • Sabse phle oil ko kisi kadhai ya khule hue bartan me krke garam hone dein.
  • Jab oil me se thoda dhua uthne lage tab isme jeera daale aur ise chalaaye.
  • Aur turnt baad kai hui hari mirch daalein, ab dono ko chalaayein jb tk hari mirch thodi karari aur jeera bhun na jaaye. Ise jada samay na chalayein wrna jeera jal jayega aur swad ko kharaab karega.
  • Ab Isme pyaj daalein, aur sunahri hone tak chalayein.
  • Phir matar ke daane daalein aur kuch seconds ke liye chalaayein.
  • Jab pyaj sunahri ho jaye aur matar ke daane dal die ho tab usme kate hue tamatar aur hldi daalein.

Ye Bhi Jaane: घर पर ऐसे बनाएँ स्वादिष्ट चाऊमीन

  • Kalchul se chalaayein aur tamaatr ko dabaayein jisse wah mote mote tukdon ki jagah ptle roop me aa jaye aur swadanusar namak aur lal mirch daalein.
  • Ab Aadha Chhota Cup Pani Daalein Aur Masaale ko bhunne dein. Jab Paani Poori Tarah Jal Jaaye Aur Oil Oopar aane lage tab use chalaayein jisse wo bartn me chipke nahi.
  • Aapka Masala Taiyaar Hai, Ab Isme Uble Hue Chaawal Daalein Aur Chalayein Jisse Masala Chawalon Me Achhe Se Lag Jaaye.
  • Aur Sim Par Ise Tab Tak Chalaayein Jab Tak Chaawal Acchhe Se Masle Me Nahi Mil Jaate.
  • Aapke Fried Rice Taiyaar Hain, Ab Ise Kisi Plate Me Nikalkar Upr Se Dhaniya Ki Kuch Patti se Sajaayein.

Aapke Swaadisht Chaawal Taiyaar Hain. Isi Tarah Aur Jaankari Paane Ke Liye Hamaare Sath Jude Rahe.

 

By

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *