Jaise-Jaise Din Gujar Rahe Hain Waise-Waise Apne Naye Updates La Raha Hai. Jo Ki Uske Users Ko WhatsApp Ki Or Aakarshit Kar Rahe Hain. Haal Hi Me WhatsApp Ka Ek Naya Feature Aaya Tha Jiske Anusaar Aap WhatsApp Se Direct Hi Payment Kar Sakte The. Aur Ab-

Aisa Hi Ek Chaukaane Wala Kaam Hua Hai Jiske Anusaar WhatsApp Khud Reply Karega Uske Liye Aapko Kya Karna Padega Hm Bataate Hain.Uske Liye Aapko Auto Responder for WhatsApp ka istemaal karna hoga ya Auto Reply lagaana hoga.

Iske Jariye Agar Aap Kahin Vyast Bhi Hain To Aap Apna Message Phle Se Feed Karke Rakh Sakte Hain Aur Auto Reply Se Sabhi Senders Ko Apna Reply Bhej Sakte Hain. Chaliye to Jaante Hain Ki Ye Kaise Hoga.

Auto Responder for WhatsApp Ke Liye Niche Likhe Steps Follow Karein-

  • Sabse Phle Play Store Me Jaayein.
  • Ab Auto Reply For WhatsApp Search Karein.
  • Jab Yh Dikhayi De To Ise Install Kar Lein.
  • Install Hone Ke Baad Home Page Kholein.
  • Home Page Par Aapko Auto Reply For All Message Ka Ek Option Dikhega.

Ye Bhi Jaane: 

WhatsApp Ke Naye Update me Aaya WhatsApp Payment Feature

20 MP Selfie Camera, 4GB RAM, 64 GB ROM Aur Keemat Bahut Kam

फ्रंट कैमरा 20 MP और रियर कैमरा होगा 13 MP का, क़ीमत सिर्फ़ 8999 रूपए

  • Agar Aap Sabke Liye Auto Reply Lagaana Chahte Hain to ise Enable Kar Dein. Yah WhatsApp Par Add Sabhi Friends Ka Reply Karne Lagega.
  • Yaha Ab Aapko Ek Text Box Dikh Raha Hai Isme Aap Apna Wo Message Likhein Jo Aap Sabko Send Karna Chahte Hain.
  • Isme Aapko KeyWords Likhne Ke Liye Bhi Option Dikhega Jaha Aap Apne Kuch KeyWords Bhi Likh Sakte Hain Jo Aap Reply Me Send Karna Chahte Hain.
  • Is Tarah Se Aapka WhatsApp Aapka Kaam Thoda Aasan Kar Dega. Aur Khud Hi Sabhi Message Ka Reply Send Karega.

Aise Hi Any Updates Paane Ke Liye Hamaari Site Sahi Tarika(www.sahitarika.com) Se Jude Rahein.

By

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *