Sawlapan Kaise Duur karen | Sawlapan dur karne ka Sahi tarika. Sawlapal koe bimari nhi bas aik skin colour hai jo ki natural hota hai. Lekin har koe chahta hai ke unka skin glow kare ya skin colour thoda light hojae. Iske lea hum kuch bhi kerne ko tyyar hojate hai. TV pe add dekh ker mehnge mehnge product leaate hai, kabhi koe nuskha apnate hai to kbhi google search kerke kuch se kuch laga lete hai.

Sawlapan Kaise Duur karen | Sawlapan dur karne ka Sahi tarika

Yha mai apko batata chalu ke jitne bhi product hote hai, ya specially khe to beauty product, insab me chemical hote hai, jo raato raat apko fair kerne ka dava to kerta hai lekin utni hi speed se apke skill ko kharab ker deta hai. Kae logo ka manna hai ke mehnge product ache hote hai, lekin product koe bhi ho unhe chemical process se gujarna padta hai. So agar shadi me ya party me jana hai aur kuch pal kelea apko nikhri twcha chahea to ap inka istemal ker sakte hai

Sawlapan Dur Karne Ka Gharelu Nuska

Jab humne itni tarakki nhi ki thi tab bhi jo rani maharaniya hai vo apne skin ka khyal rakhti thi. Us waqt koe beauti product nhi hua kerta tha. Skin colour aur skin glow ka karan hai apka shi khana khana , sahi time pe sona aur tension na lena. Agr ap in sab cheezo ka khyal rakhte hai to naturally apka chera glow krega . Lekin aj kal ke zamane me jha daily hum dhul mitti me ghumte hai, late night sote hai, khana pina timely nhi hota, oily or unhealthy khana khate hai vha bhi hum bas thodi si mehnat kerke apki skin ka khyal rakh sakte hai.

Honey

Shahad bleach ka kaam kerta hai . sath hi skin ko moisturise kerta hai.Isme antibacterial gun hote hai. Honey lagane ka sabse acha tarika hai ise laga ker 5 min tak chor de aur bad me gungune pani se chehra saf ker le.

Dahi

Dahi me lactic acid hota hai jo ki aik natural bleach hai. Hath me thoda sa dahi leker chehre pe massage kre aur thodi der bad gungune pani se chehra saf kerle

Papita

Papita bhi aik natural bleach hai. Pake hue papite ka aik tukra kat le aur use achi tarah chehre pe male. 2-3 min bad chehre ko saf kerle. papite ka paste bana ker ap face pack bhi laga sakte hai.

Haldi

Haldi anticeptic ke sath sath antibacterial bhi hai. Face kelea ye bhut hi fayde mand hai. sath hi face tone ko bhi ye nikharne ka kaam kerti hai. Haldi me kacha duud mila ker lagane se bhut hi zada fyda hota hai

Dudh

Aise to dudh ke sath shahad, nimbu, haldi, chandan laga ker log lagate hi hai. Lekin agr ap sone se pehle thoda sa kacha dudh chehre pe lga le. aur phir subah use sath ker le to apka chehra glow krega.

Ye Bhi PadheMeditation Kerne Ka Sahi Tarika

Ye sare bhut hi asardar nuskhe hai jo bina kisi side effect ke apko glowing skin aur rangat dega. agr iske sath sath ap achi diet bhi le aur khub sara pani piye to apko apka manmana glow zaruur milega. Apko ye article kysa laga comment kerke zaruur batae.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply