Passport Ke Niyamo Me Ho Rahe Hai 5 Bade Badlaw

Source:Indiatimes.com

 

Adhar or pan card ke baad ab passport ke niyamo me kai bade badlaw hone ja rahe hai.passport ke niyamo me badlaw hone se pahale hi raajniti siyasat chhid gai hai.foreign ministry ne desh ke bahar kaam karne wale bharatiye kaamgaro ke liye orange colour ka passport banane ka prastaw rakha hai.saath hi ab apka passport address proof ke tor par bhi kaam nhi aa sakega.aage janiye kion kion se changes ho rahe hai or uske piche ki wajah kya hai?

Toh Iss Wajah Se Address Proof Ke Kaam Nhi Ayega Apka Passport

Foreign minister or women amd child development ministry dwara gatith tin sadasiye samiti ki baitak me yah nirnay liya gya hai.passport address proof ke tor par kaam nhi karega.foreign ministry ke bayan ke anusar samiti ki report ko accept kar liya gya hai.naye version me passport ka last page khali rakha jayega.

Source:emirates247.com

Isi page me address sahit ligeal gardian ka naam, maa, patni, pati, ka naam or purne passport ka number etc. jankari di gai hoti hai.yah page passport ke sath nhi hoga.iss karan se address proof ke tor par kaam nhi karega.

Ye bhi padhe:Passport ke Lea Online Apply Karne Ka Sahi Tarika

Kuch Aisa Hoga Purana Passport Ke Kath

Foreign ministry ke anusar abhi tak jari ho chuke passport bhi acceptable rahenge.yah passport jab expire ho jayega tab related persion ko naye niyamo ke tahat passport jari kiya jayega.yani vadiliti khatam hone tak apko apke passport me kisi tarah ka pariwartan nhi karwanwe ki jarurat hai.

Police Verification Bhi Hoga Online

Source:attp.in

Pichale saal august me crime and criminal tracking network and system project ko passport service ke saath link kar diya gya hai.jald hi yah physical police verification ko khatam kar diya jayega.iss system ke laagu hote hi verification bhi online hi ho jayega.isse passport banne me lagane wala samay or bhi kam hojayega.

Yah Hai 5 Naye Badlaw Passport Me

  1. Passport me ab parents ka naam, address wala pagenahi hoga.iss akhiri page ko khali rakha jayega.
  2. ECR category me ane wale logo ko blue ki jagah orange color ka passport milega.
  3. non-ECR category walo ko blue color wala passport milega.
  4. Ab sarkari officers ko white color, diplomates ko laal color or anya logo ko blue color ka passport jari kiya jayega.

Naye passport ko nashik stith indian security press dwara design kiya jayega.

Source:

By

Leave a Reply