India me aaj kal sab kuch online ho raha hai. Aur humari Govt. bhi iss cheez ke lea bahut support karti hai. Aur India me passport ke lea apply karna ek sar dard hai. Loag ko bahut minor details ke baare me bhi nhi malum hai. Unhe bahut struggle karna padta hai. Chote chote details ke bare me pata karna aur unko fill karna.
Aaj kal to bahut loago ko agent hire karna hota hai. Aur passport ke lea apply krana hota hai. Jub ke ab passport apply krna bht he saral ho gya hai. hume ek baar passport office to jana hoga but agent hire krne ke koe zarurat nhi hai. aaiye mai batata hun kaise..
In methods ko follow kre online apply krne ke lea –
- passport seva website khole
- register now par click kare
- ab form ko bhare jo ke passport seva ke website pr aata hai,apko apne city ka passport office select karna hai.dhyaan rahe ke naam ka spelling bilkul same rahe jaise ke kisi aur document me likha ho.
- click on REGISTER when done
- apna e-mail id likhe aur fir CONTINUE par click kare
- aapke e-mail id pr ek message aaega jisme ek link hoga ,aapko us par click karna hai.
- click on LOGIN
- Click Apply for Fresh Passport/Reissue of Passport.
- Click on Click here to fill the application form online
- Agle page pr aapko FRESH PASSPORT aur RE-issue, NORMAL or TATKAL passport ke beech se koe ek chunna hai, apne requirements ke hisab se selection kejye aur fir NEXT PAGE pr click kare,
- Is page par aapko apne personal informations bharne honge,fir se bata dun ke whi informations bhare jo ke aapke official id pr mention keya hua hai. ho jaye to SUBMIT APPLICATION pr click kare.
- Application form bhar dene ke baad wapas webpage pr aa jaye.
- Click View Saved/Submitted Applications.
- Aaapko whi aplication dikhega jo aapne submit keya tha. click the radio button aur fir click kare PAY and Schedule appointment
- Select Online Payment and click Next.
Ek list aapke saamne aayega jo ke passport seva kendra ka hoga aur aapke city bhi mention hogi usme. aapko earliest available appointments choose karna hai
- Select one of these from the drop-down menu next to PSK Location.
- image box me charecters likh de jo ke aapko email kra gya tha, click on NEXT
- Click Pay and Book Appointment.
- Ye aapko payment gateway pr le jayege,jaha ke aapko payment krna hai apne card se
- Aab ek page aayega jisme ke payment confirmation la message rhega,aur sath me sari informations jo ke aapne diya hai.
- Agle page aapko apne reciept milega ,Print Application Reciept pr click kr ke iska print nikalwa le.
Aab PSK ke baad you have to wait for police verification ,iske baad aapko passport within 7 days ,post ke through mil jaega.
Agar aap apni khud ki website banana chahte hai. Toa Domain aur Server Sabse Sasta Yaha se Le. (Hostinger)
so dosto aab mai ummed karta hun ke aap passport bnane ke lea agent hire nhi karenge ,kuyuki ye sabse saral aur sasta tarika hai passport ke lea apply karne ka,kuch samj naa aaya ho to comment me zarur puche,,thanks..stay connected.