Bahut se loag aur companies apni website banana chahte hai aur banate bhi hai. Domain aap kisi bhi naam ka khareed sakte hai. Aur use fir aap host karke Live kar sakte hai. Jisse wo website live ho jaati hai internet pe. Aap domain bahut si websites se online khareed sakte hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Ek Naya Domain Website Ke Liye Kaise Khareedte hai.
Ek Naya Domain Website Ke Liye Kaise Khareedte hai
Domain ko aap ek zameen ki tarah samjhe. Jise pehle khareedna hotahai aur fir aapki registry krwani hoti hai. Domain ko usi tarah se aapke naam se khareda jaata hai aur fir usko host kiya jaata hai Internet pe taaki sab use dekh sake.
Agar aap apni khud ki website banana chahte hai. Toa Domain aur Server Sabse Sasta Yaha se Le. (Hostinger)
Bahut saari websites ka naam neeche diya gaya hai, jaha se aap apna ek naya domain khareed sakte hai.
Aur bhi bahut saari websites hai, jaha se aap ek naya domian khareed sakte hai. Upar diye gaye saare naam ko humne hyperlinked kiya hua hai, yaani jub aap use click karenge toa wo domain waali website khul jayegi.
Aap wahi se domain khareede jaha se aapko sasta mile. Hum bhi humesha yahi karte hai. Lekin dhyan rakhe ke kai domain bechne waali website jaise ki Bogrock, baad me domain ko kisi dusre website bechne waali website pe transfer karne me dikkat karti hai.
Blue Host sabse sasta hai, aap use try kar sakte hai. Hum aapko Go daddy se domain khareedna sikhate hai.Baaki saari websites me bhi process same hi hai, khareedne ka.
Ye Bhi Padhe: Free Ka Website Banane Ka Sahi Aur Asaan Tarika
Godaddy Se Domain Kaise Khareedte hai
Kuch Zaruri Baat, Jo Domain Khareedne Se Pehle Aapko Pata Honi Chahiye
- Domain Khareedne ke liye aapke paas apni khud ki ek email ID honi chahiye.
- Aapke pass Debit Card, Credit Card, Paypal account, Net Banking ya koi aur online payment karne ke liye kuch ho.
- Aapke paas Domain ke naam jo aap khareedna chahte hai, unke alawa bhi kai option ho. Kyuki jadatar achche naam aur common naam waale domain toa khareede ja chuke hai.
- Aapko us domain ko host karne ke liye ek hosting server bhi khareedna hoga baad me. Warna domain ka website nahi ban payega.
Ye Padhe: Email ID banane ka sahi aur asaan tarika
Aur Ye Bhi Padhe: Paypal Account Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika
Ab aapko ek ek karke step wise batate hai ki aap domain kaise khareed sakte hai. (Godaddy ka example leke).
STEP 1.
Sabse pehle aap Go Daddy khole. Website kuch neeche dikhe hue photo jaisi khulegi.
STEP 2:
Jaha pe “Find your perfect domain name” likha hua hai. Waha pe jo domain aap khareedna chahte hai. Use Type kare.
Jaise ki mujhe khareedni hai “WordPress.com” website. Toa mai search karunga wordpress. Result kuch neeche diye gaye photo jaisa aayega.
Chuki wordpress website already le li gayi hai. Aap wo nahi khareed sakte. Isiliye aapko apne soche gaye naam ke alawa aur bhi dusre option sochne hote hai. Waise kuch suggestions aate hai, neeche. Jinko aap chahe toa select kar sakte hai.
Zaruri nahi hai ke aap .com extension waala domain hi khareede. Aap .in ya .org ya .net koi sa bhi extension ka domain khareed sakte hai.
STEP 3:
Ab agar aapke dwara socha gaya domain available hai toa use Select kare.
Select karne ke baad “Continue to Cart” ka option hoga. Use click kare.
STEP 4:
Godaddy aapse poochega ke aap Domain ke alawa kuch aur bhi khareedna chahte hai. Jaise ki Website Builder, Web Hosting, email address. Sabse important aapki Privacy ko hide karna. Agar aapne apni privacy ko hide nahi kiya, toa bahut si website hai, jinse aap pata laga sakte hai ke domain kisne liya hai aur uska contact details bhi likha hota hai.
Iss website pe click karke aap dekh sakte hai,koi bhi website ke owners ko WHOIS
Agar aap koi service aur nahi lena chahte toa sabme No Thanks select kare aur Continue to Cart me jaye.
STEP 5:
Aap domain kitne saal ke liye khareedna chahte hai, wo term select kare 1 se 5 saal tak ka option aata hai. Jitne dino ke liye chahiye wo sterm select kare.
Fir se Godaddy aapse poochega ke agar aap apne domain information ko public nahi karna chahte hai toa aapko lagbhag 300 Rs salana dene honge. Aap chahe toa select kare, warna rehne bhi de sakte hai.
STEP 6:
Proceed to check out karne se pehle aap ek baar promotional code Google se search kar ke daal de. Isse aapko discount milega.
Aap promotional code, neeche diye gaye kisi bhi website se search kar sakte hai. Codes har mahine badalte rehte hai, aur kuc code kaam nahi karte hai. Magar thoda khojne se sahi code mil jaata hai, jisse aapke paise bachte hai.
Promotional code ko waha se copy kare aur godaddy ke uss panel me daal ke Apply kare. Agar accept ho gaya code toa apne aap paise kam ho jaenge.Warna dusra code khoj ke daale.
Uske baad “Proceed to checkout” pe click kare.
STEP 7:
Agar aapke paas Godaddy me account hai toa login kare. Aur agar nahi hai toa New Customer pe continue pe click kare.
Ab aapse payment ki detail manga jayega. neeche diye gaye photo jaisa dikhega.
Aap domain ko Net Banking, Debit Card, UnionPay, Cash Cards, Mobile Payments ya MoneyBookers se pay kar sakte hai. Ye saare options hai.
Jisse bhi aapko convinient lage usse aap payment kar sakte hai. Payment karne ke baad agar payment successful hua toa aapke Godaddy account me wo Domain aa jayega. Aur aapko iske saaari jaankari email ke dwara bhej di jayegi.
Ye Bhi Padhe: Free Ka Website Banane Ka Sahi Aur Asaan Tarika
Ab aapke paas khud ka ek domain hi. Isko pehle host kare kisi Server pe. Fir ek website banaye.
Ye Bhi Padhe: Google Analytics Ki sahi Jaankari | Use Karne ka tarika | Account Kaise Banaye
Ye Bhi Padhe: Computer Me Hindi Language Font Dalne / Install Karne Ka Sahi Tarika
Umeed karta hu ke aapko ye jaankari sahi lagi hogi aur kuch sikhne ko bhi mila hoga. Agar kuch poochna hai toa aap hume neece comment me pooch sakte hai.