Google Analytics Ki sahi Jaankari | Use Karne ka tarika | Account Kaise Banaye

Google Analytics Google company ka ek product hai. Ye use karne me free hai. Aur aapko ye batata hai ke aapke website me kitne loag aaye. Kaha se aaye, wo kya padh rahe hai, unki age kya hai. Aur bhi bahut si jaankari milti hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Google Analytics Ki sahi Jaankari | Use Karne ka tarika | Account Kaise Banaye.

Google Analytics Ki sahi Jaankari | Use Karne ka tarika | Account Kaise Banaye

Google Analytics unhi loago ke liye hai. Jinki apni khud ki ek website hai. Saath hi aapke paas apni gmail ki ek email ID bhi honi chahiye.

Abhi Padhe:    Gmail.com pe email ID banane ka sahi aur aasaan tarika

Step by Step hum aapko iski puri jaankari denge. Aap bus iss blog me likhe hue tariko ko follow kare:

STEP 1:

Sabse Pehle aapko Google Analytics ko kholna hoga web browser pe. Yaani Internet pe. Neeche diye gaye link se aap direct use khol sakte hai.

Google Analytics

STEP 2:

Ab aapko neeche diye gaye screen jaisa page khulega, jisme aapko apni gmail ID daalni hogi.

 

gmail ki login screen

 

Isme apna Gmail ID dale. Fir Next pe click kare. Fir apna Password dale gmail waala or fir sign pe click kare.

Ab aap neeche dikhaye gaye page pe pahuch jayenge.

 

Analytics ki login screen

 

Agar koi aur page khula ho toa usi page me is link ko dubara se khole.    Google Analytics

STEP 3:

Ab  aap SIGN UP pe click kare. Uske baad neeche dikhaye jaise photo jaisa page khulega.

 

Google Analytics pe account banaye

 

Isko Fill kare.

Agar aap apni khud ki website banana chahte hai. Toa Domain aur Server Sabse Sasta Yaha se Le. (Hostinger)

Example ke liye agar mai www.sahitarika.com  ka analytics account banana chahta hu toa hum usko iss tarah fill karenge.

Account Name:  Sahi Tarika

Website Name:  Sahi Tarika

Website URL:   www.sahitarika.com

Industry:   Jobs and Education   (aap apne website ke according hi industry select kare)

Reporting Time:   India

Fir aap GET TRACKING ID pe click kare. Uske baad Google Analytics Terms of Service Agreement khulega. Usme United States ko India kar de aur I ACCEPT pe click kar de.

 

Google analytics pe free ka account banaye

 

STEP 4:

Fir aapke paas ek Tracking Code ayega, jo <Script> se start ho raha hoga. Use pura copy kare. Aur apni website ke HEAD me jaake paste kar de.

Agar aapki WordPress ki  website hai toa.  Sabse pehle wp-admin se login kare apne website me.

  • For APPEARANCE ke andar EDITOR pe click kare.
  • Ab HEADER.php file pe click kare jo right side me hoga.
  • Ab jaha pe <Head> start ho raha hoga, code ko waha pe paste kar de. Aur Header.php file ko save kar de.

STEP 5:

Ab Google Analytics ke Home pe click kare aur jaha pe All website Data likha hoga use Click kare.

Congratulations, aapke website me Google Analytics lag chuka hai. Ise dekhe aur eke k tab me click karke jaane ke unse kya hota hai.

Umeed karta hu ke aapko iss blog se kuch sikhne ko mila hoga aur jaankari sahi lagi hogi. Agar aapko humse kuch poochna hai toa humse comment me pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

2 thoughts on “Google Analytics Ki sahi Jaankari | Use Karne ka tarika | Account Kaise Banaye”
  1. सर इसमें ट्रैफिक कैसे चेक करे

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *