Tandoori chicken ka naam sunte hi mooh mein pani aa jata hai. Shayad aapke bhi mooh mein paani aa raha hoga abhi. Ab ise khan eke liye aap hotel jaenge kyunki ghar par to bana nai sakte. To chaliye  Aaj mai aapke liye kuch aisa lekar aaya hoon jise padhkar aap tandoori chicken ka anand ghar par le  sakenge.

 

Ingredients (samagri)

 

  • Chicken (chamri chheeli hui) ( 800 grams)
  • Dhaniya ki patti- 1-2 table spoon ( barik kata hua)
  • Namak-  swadanusaar
  • Laal mirch powder- 1 table spoon
  • Haldi- ¼ table spoon
  • Adarak lahsoon paste- 1 table spoon
  • Nimbu ka ras-1 table spoon
  • Garam masala- 1 table spoon
  • Tel- 2 table spoon
  • Dahi – 100 gram
  • Makkhan- 1 table spoon

 

Vidhi

 

Chicken ko ek patile mein rakh kar dho lein. Use chaku se achhi tarah kaat lein.

Ek pan lein, usme laal irch powder, haldi,adarak lahsoon paste, garam masala, dahi aur makkhan daal kar achhe se mila lein.

Agar aap chahein to swad ke liye ek pyaj aur hari mirch ko pees(grind) kar mila sakte hain.

Ab in sbko mila kar paste bna lein aur dhak kar rakh dein.

Ab kate hue chicken ke pieces ko ek bade bartan mein nikl lein taaki milane mein aasani ho.

Ab saare pieces ko paste mein mix kar lein. Dhyan rahe saare chicken par ye paste achhe se lagna jaruri hai.

Ab is paste mein milaye hue chicken ko 4-5 ghante tak marinate kar lein.

Marinate ho jane ke baad chicken ko oven mein 200 degree par 10 minutes ke liye pakaa lein.

Pak jane par nimbu ka ras aur hari dhaniya upar se daal kr sazaa lein.

Aapka tandoori chicken banker taiyar hai.

Ab aap garama garam tandoori chickenko paros kar iska anand le sakte hain.

 

 

Tandoori chicken ka loopt uthate rahiye aur hume yaad karte rahiye. Agar aapko lagta hai ki hum ise aur achha bana sakte hain to aap comment mein hume jarur batayein.

Sahi tarika par apna mahamatwapurna samay dene ke liye aapka shukraguzaar rahunga.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *