Garmi Se Bachne Ka Upaye

Garmi agar bahut jyada ho, charo taraf aag baras rahi ho toa rehna bilkul muskil ho jata hai. agar garmi se bachane ke upaye pata ho to shayad hum us se bach sakate hai. Garmi se aapko Lu, Dast Jaisi anye bahut si takleef ho sakti hai. Agar iska sahi se ilaaz ya care nahi kiya gaya toa bahut jada Kasht Jhelna par sakta hai.

Ye tarike is prakar se hai jo neeche bataye gaye hai, inhe dyan se padiye.

 

kya kuch vishesh prakar ke khane humko Garmi se bacha sakate hai? han, biskul ye sahi hai.

Ggarmi ke dino me jab jyada umas hoti hai to hamari tvacha hamari maspesio se jojati hai, is se ye hota hai ki twacha ke paas jyada khoon ka bahav hone lagta hai. is se maspesio ke enzymes utpan hone lagta hai jo khoon ke dwara glycogen ko katam karne ka kaam karne lagta hai.

 

khoon me glycogen ki matra ko sahi rakhne ke liye sahi khan pan rakhna jaruri hai

 

  • Garmi me thora aur baar-2 khane ki adat dalni chahiye. subah ke samay kuch ras bhare phal khane chahiye. phalon ka ras freeze me rakhna chahiye aur thori-2 matra me ye ras pina chahiye.
  • Bhari khana ya nasta se bachna chahiye, jyada tel wale khane se bhi bachana chahiye.
  • Apne khane me salad ka prayog jarur karna chahiye.
  • Kuch aise khane bhi khane chahiye jinko khan ke baad pasina ana chahiye, jiske baad hamara sharer thanda rahata hai.jaise kali mirch, aadi.
  • Agar apko loo lag jati hai, to pyaj ka juice ahut accha hota hai.
  • Din me kam se kam 8-10 glass pani pina chahiye aur jyada se jyada taral pina chahiye.
  • Koshish kare ki dheele dhale kapre pahne.
  • Garmi me koshish kare ki apne adhik se adhik kaam subah ya sham ko karne chahiye, Dhoop me nikalne se bachne chahiye.
  • Garmi me jyada thanda taral nahi peena chahiye, bazaar ke peye pathartho ko pine se bachna jaise ki cold drink, package drink etc.
  • Jab kabhi bhi ghar se bahar jaye to chata jarur saath me le, pani ki bottle bhi aur ke suti kapra le.

Upar kiye gaye tariko se garmi se kaphi had tak bacha ja sakta hai. koshish kare ye tarike amal me lane ke liye.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *