Aksar hum aisi situation me pad jate hai jha hume samjh nhi aata ki doctor ka wait kare ya patient ko lekar sidha hospital bhage. Aur isi kashmakash me aksar mariz ki tabyat zada kharab hojati hai.

First Aid ki sahi jankari rahne se ap kisi ki jaan bhi bacha sakte hai. Magar yaad yaad rahe ap doctor bilkul bhi nhi hai to bas utni hi koshish kare jitni zaruuri ho.

Aj hum discuess karne vale hai First Aid kya hai use kyse istemal karte hai aur iske kya principal hote hai.

First Aid Kya Hota Hai

Agr kisi rogi ko chot lagi ho aur aas paas koe madad na ho, to aise waqt me kisi bhi insan ke dwara dia jane vala upchar prathamic chikitsa (First Aid) kahlata hai.

Iska asal maksad kam se kam saman me itni vaivastha karna hota hai ki chotil insan ke doctor ke dwara kea jane vale ilaj me jitna samae lagega , unti samae tak zada nuksan hone se bachae.

Iske lea jo first aid de rha hai uske bas First aid dene ki sahi jankari honi chahea. Sahi Jankari se vo kisi ki jaan bhi bacha sakta hai.

First Aid Se Kya Hota Hai

  1. Isse chot ko gambhir hone se roka jasakta hai
  2. Agar khun beh rha ho to use roka ja sakta hai
  3. Agar manspeshi me khichav hai to uskka sahi upchar kea jasakta hai
  4. Agar saans ruk gae ho to CPR ki madad se insan ko zinda rakhne ki koshish ki jasakti hai
  5. Sujan ko roka jasakta hai
  6. Zakham ko gambhir hone se roka ja sakta hai

First Aid Kab De Sakte Hai

  1. Kisi Unchi jagha pe jane se agr koe samasya hojae ya sans lene me pareshani ho to
  2. Agar Haddi tuut jae to
  3. Agar kisi cheez se koe jal jae to
  4. Heart Attack aane par
  5. Saans ki nali me kisi prakar ka avrodhan hone par
  6. Pani me dubne par
  7. Heat Stroke aane par
  8. Behosh hojane par
  9. Vish (Poison) ke asar ko kam karne kelea
  10. Dant ke dar me
  11. Ghav ya chot kelea prathmik chikitsa kelea

First Aid Karne Vale Insan Ke Gun

  1. विवेकी (Observant) : Durghatna ke chinho ko pehchan sake
  2. व्यवहारकुशल (Tactful): Ghatna sambandhi jankari jald se jald ikatha kar ke rogi ka vishvas hasil kare
  3. युक्तिपूर्ण (Resourceful) : Jisse vo nikat ke saman ko jod kar jald se jal ilaz shuru kar sake
  4. निपुण (Dexterous) : Apni samjhdari se rogi ko aik jagah se dusre jagak bina taklif ke lejasake
  5. स्पष्टवक्ता (Explicit) : Jisse vo logo ki sahayta thik se kar sake
  6. विवेचक (Discriminator) : Jisse gambhir ghav ko pehchan kar pehle uska upchar kare
  7. अध्यवसायी (Persevering) : Agar tutant safalta na mile phir bhi nirash na ho
  8. सहानुभूतियुक्त (Sympathetic) : Rogi ka dard samjh sake

First Aid Ke Basic Element (Mool Tatva) – Principle of First Aid

  1. Rogi ko tab tak mara hua nhi mane jab tak ki doctor akar ye na kahe
  2. Rogi ko chot ke karan se duur lejae
  3. Jaha se khuun jada nikal rha ho pehle uska upchar kare
  4. Agr sans lene me dikkat hai to badha ko duur kar phir se sahi se saan lane ka upae kare
  5. Agar rogi ko mansik shock laga hai to use garam rakhe
  6. Ghayal ko jis position me zada araam mile use me rakhe
  7. Agar Haddi tuti ho to use vha se kbhi na hilae
  8. Agr kisi ne zahar kha lea hai to us zahar ka nash karne kelea kuch kare
  9. Mariz ka kapra dhila kar de
  10. Jan mariz khane layak ho to use coffy , chai jaise uttejit pradarth pilaen.
  11. Hosh me lane kelea Smelling salt sunghaen
  12. First aid ke bad jab doctor ajae to usme hastachep na kare

R.I.C.E For First Aid

  1. R for Rest : Moch aur maansapeshiyon mein tanaav me Ghayal ko kamse kam 48 ghante araam karna chahea
  2. I for Ice: Jb bhi chot lage fauran baraf (Ice) ka istemal karen. 20 min tak uske bad har ghante 20 -20 min kelea 48 se 72 ghanto tak
  3. C for Compression : Swelling se rokne kolea chot lagi area ko compress karna chahea
  4. E for Elevate : 6 se 10 inch chot ko uper rakhe taki vo part heart se upar ajae. Blood flow kam hojaega to zakham jald thik hojaega

First Aid Me Kya Na Kare

  1. Kbhi bhi chot pe heating element na lagae , jyse ki spray (Move, volini etc). Isse internal bleeding tez hojaegi aur zakham aur kharab hojaega
  2. Movement ko block kare. Chalne se ya daurne se blood flow tez hojata hai jisse healing slow hojati hai
  3. Chot pe massage kabhi na kare. Aisa karne se swelling aur bleeding tez hojaega aur healing process slow hojaega
  4. Kabhi bhi detol ko sidha zakham pe na lagae
  5. Haddi tutne pe us part ko bilkun na hilae
  6. Agar zakham ke gandagi lagi ho to use gande pani se na dhoe. Aisa karne se septic hone ka khatra badh jata hai

First Aid Box Me Kya Kya Rakhe

  1. Plasters alag alag size ke
  2. Chota aur bada sterile gauze dressings
  3. Safety Pins
  4. disposable sterile gloves
  5. scissors
  6. alcohol-free cleansing wipes
  7. sticky tape
  8. thermometer
  9. skin rash cream
  10. cream or spray to relieve insect bites and stings
  11. antiseptic cream
  12. painkillers such as paracetamol
  13. cough medicine
  14. distilled water for cleaning wounds
  15. Betadine solution

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

One thought on “First Aid Dene Ka Sahi Tarika”

Leave a Reply