dressdress

Hmlog ke personality hamare dressing scence ,matlah ke hm kis tarike se kapde pehente hai aur kaise dikhte hai,English me ek kahawat bhi hai ke 'Your first impression is the last impression' .Hmara pehla impression hamare dhang ,yaani kapde se dikhta hai.Agar hum kisi se milne ko jaate hai to agla hame pehle he judge kar

leta hai hamare look aur hamare kapde se. Is blog me mai aapko ye bataunga ke kisi bhi avsar par jaane se pehle aap khud ko kaise taiyaar kare ke log aapko he dekhe. Dressing ek kala hai jo ke aap apne saath carry karte ho. Hme us dhang se kapde pehenne chaheye jis terah ka occasion (Avsar) ho.

Shaadi (wedding) me

 

Shadi me generally aap suit tie aur formal pant pehen sakte ho. Shaadi me aap jitna formal dikhoge utna sahi hai,shaadi aese occasion hai jisme ke aapko unknown log,jinhe ke aap nahi pehchante ho,wo bhi milenge.to ache impression ke lea aap apne aap ko formally dress kar sakte hai. Aapko pata hona chaheye ke formally dress up karne se sabse acchi personality jhalakti hai.

Ladkiyaan gown daal sakte hai.in occasion par ladkiyon par gown bahot suit karta hai. Agar traditional shaadi hai to aap saari bhi pehn sakte ho.or ya fir aapko kuch party wear types delna hai to knee length ke kapde bhi ache lagte hai.

Dinner party

 

Agar aap kisi ke paas dinner party ke lea jaa rahe ho to aap formal dress choose karo,jaise ke pant aur shirt.colour choose karte waqt aap logo se pooch sakte ho. Kabhi bhi ek dinner party me khud ko overdres na kare yaa zyada makeup naa kare.ye thoda awkward lagta hai. Aese kapde pehno ke jisse lage ke haa aap celebrate karne ke lea aae ho. zyada chamkeele kapde bhi naa pehne.ek decent sa formal choose kare. 

Business dinner or Company party

 

In partiyon me zyada tarak bharak wale kapde naa pehne.Jab baat job aur Business ke aate hai to khud ko professionally dress kare aur ek standard maintain kare. Aape dressing ka tarika Smart aur Casual hona chaheye.

Ladkiyaan pants<ek casual dress ya fir skirt ek ache blouse ke sath pehn sakte hain. Aap jetne sharp aur professional dekhoge aapke lea utna he behtar hai.

Job interview

 

Kisi ka bhi job interview aapke life ka sabse important din hota hai jisme ke aapko bahot ache se taiyaar hona chaheye,jisse ke aap ek acha sa impression chor paaye.aapko pata hona chaheye ke jo log interview lete hai wo aapse baat karne ke pehle aapko aapke look aur dressing scence se judge kar lete hai. Ek interview ke lea Suit sabse acha choice hai. Suit aapko ek professional look deta hai .

Aapko dekh kar unhe lagna chaheye ke aap well mannered aur disciplined ho. Aapne aap ko polished dikhaye.

Ladkiyon ke lea bhi ek tailored suit bahot achi choice hai. Dhyaan rakhe ke zyada jeweleries aur acessories na pehne.ye logo ko distract karta hai. ek watch (ghari) zaroor pehne . ye dikhata hai ke aap time ko value karte ho.

First Date

 

Pehla date ka matlab hai ke aap kaise ek achi impression chor sakte ho samne waale ke lea. Is avsar ke lea aap bilkul Casual dress kare . Agar aap khud chahoge acha dikhna to aap dikhoge he,ischeez ko sabhi notice karenge. Casual jeans aur shirt pehne.sath me ghari bhi pehne aur shoes me aap loafers yaa casual shoes bhi daal sakte ho. Dhyaan de ke ocassion jo bhi ho aapke kapde saaf zarur rahe or ioned bhi rahe.

Ladkiyaan skinny jeans ya leggings aur sgirt ya sweater daal sakte hai. Bas ye yaad rakhe ke aap casual aur trendy dono dikhe.

Birthday party

Birthday party me aap jo chahe pehen sakte ho. jaise ke jeans shirt aur ek casual sweat shirt aur casual shoes. In partiyon me aap attractive dikhne ke koshish kare. ladkiyaan skirts and top daal sakti hai..in partiyon ke lea aap khud apne kapde design kare ,ye aapke lea best hoga.

Aasha karta hun ke aapko ye post pasand aaya hoga.Kapde jetne saaf aur ioned honge wo utne he khilenge.islea apne personality hamesha banae rakhe aur confident rahe. kuch poochne ke lea aap comment kar sakte ho. thanks.Stay Connected

 

 

 

 

 

.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *