Aankhen insaan ke shareer ki sabse important ( mehatvapurn) hissa hoti hai. Jab koi humse pehli bar milta hai toa wo sabse pehle humari aankhon ko dekhta hai. Par sochiye agar apki ankho ke neeche dark circles hai toa apka impression uss banded par kaisa padega. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Dark Circles Hatane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika kya hai.
Agar aap pareshan hai dark circles se aur sochte hai ke ye apki life se nahi jayenge toa aap bilkul galat hai.
Is article ke dwara Sahi Tarika ki team apko kuch gharelu upaye batana chahti hai jo ke experts dwara hamare reporters ko bataye gaye hai.
5 sahi tarike dark circles ko hatane k liye :
1. ALMOND OIL ( badaam ka tail)
Badaam ek natural padarth hai jo ke insaan ki skin (twacha ) ko soft aur clear ( mulayam aur saaf) rakhta hai. Aur ye esa padarth hai jo ke har ghar me paya jaata hai. Isme koi mehnat ki jarurat be nahi hai.
Usage ( istemaal karne ka sahi tarika)
- Daily sone se pehle almond oil dark circles pr lagaye or thodi der halke hatho se massage kare.
- Oil ko puri raat ke liye dark circles or face par laga rehne de.
- Agle din ki subha face ko thandde pani se dhoye .
- Is prakariya ko daily ese hi repeat kare jab tak apke dark circles chale nahi jate.
2. CUCUMBER ( KHEERA)
Aapne dekha hoga Hollywood ya fir bollywood movies me ladkiya spa lete time kheere ke do slices (tukde) ankhon par rakhti thi. Iske peeche be reason hai aur reason ye hai ke cucumber (kheera) ankho ki skin ke liye bohat jyada faydemand hota hai aur ye ankho ke neeche k darkcircles ko hatane yogye hota hai.
Usage (istemaal karne ka sahi tarika)
- Ek mota sa kheera kaate or uske do slices (tukdo) ko 30 min k liye fridge me thandda hone k liye rakh de.
- Uske baad kheere ke tukdo ko fridge se nikalkar ankhon ke upar rakhe 10 min ke liye.
- Fir apni ankho ko thandde pani se dhoye.
- Ye prakariya din me do baar kare aur ek hafte tak karte rahe results dekhne ke liye .
3. Raw POTATOES ( kacche aalloo)
Potatoes ( aalloo) ke andar natural bleach hopta hai jo ke humari skin ke liye bohat hi faydemand hota hai. Potatoes dark circles ko kam karne me bohat help karte hai.
Usage ( istemaal karne ka sahi tarika)
- Do potatoes ko 30 min ke liye fridge me thandda hone ke liye rakh de.
- Fir undono potatoes ka juice nikale .
- Aur fir ek cotton ki help se potatoes ke juice ko dark circles par laga le.
- Potatoes ke juice ko dark circles par 15 min ke liye laga rehne de.
- Fir ussey thandde paani se dho le.
- Ye prakariya din me do bar aur 2 -3 hafte tak Karen agar result dekhna chahte hai tou.
4. ROSE WATER ( gulaab jal)
Bacchpan me sab logo ne gulab jal ka use kiya hoga. Gulab jal skin ke liye hi nahi balki ankho ke liye be bohat accha hota hai.
Usage (istemal karne ka sahi tarika)
- Ek cotton ke tukde ko gulab jal me bhigo kar 15 min ke liye rakh de.
- Fir uss cotton ke tukde ko apni band ankho par rakhe .
- Aur fir ussey 15 min ke liye band ankho par rakha chor rakhde.
- Iss prakariya ko daily do bar din me karenn.
5. TOMATOES ( tamatarr)
Tomatoes , jo k eek fruit ( fal) hai or sabjiyo me use hota hai. Tamatarr bohat hi powerfull bleaching ingridents ( padarth) hote hai jo ke skin ko gora karne aur skin ko mulayam karne me kaam aata hai.
Usage ( istemaal karne ka sahi taika)
- Ek spoon(chammach) tomato juice ke andar ek spoon lemon juice ( nimboo juice) mix karle .
- Fir iss mixture ko dark circles par lagayen or 15 min ke liye laga chor de.
- Fir ussey thandde pani se dho le.
- Iss prakariya ko din me 3 bar aur 2 hafto tak kare , results dekhne ke liye .
Iss article ke dwara Sahi Tarika apko apke chehre aur apki ankho ka dhyaan rakhne ka sahi tarika batana Chahti hai. Isme di gayi jankari bahut saare experts se pooch ke batayi gayi hai.