Kam Samay Me Jada Vazan Kyse Badhae. Har insan ka jism alag tarike ka hota hai, Kuch log kam khana khate hai phir bhi healthy rehte hai ya mote hojate hai aur kuch log zada khane ke bad bhi duble hi reh jate hai. Jo log mote hote hai vo apne motape se pareshan rehte hai aur jo duble hote hai vo apne duble shareer se.

Kam Samay Me Jada Vazan Kyse Badhae

Kam vajan hone ki vajah se log kbhi unka majak udate hi hain ya unhe kuposhan ke mariz bhi kehte hain. Lekin ghabraye nahin kuchh gharelu nuskhe hai jinke estimal se chand mahine mein hi aap weight gain kar lenge yani apna vajan sahi matra mein bada lenge

Vajan Badhane Ka Gharelu Tarika

Potato (Aalo)

Aalu ko apni niyamIt diet mein shamil karen. Aalu mein carbohydrates aur complex sugar hota hai jo vajan badhane mein madad karta hai. Iske liye aalu kisi bhi tarike se kha sakte hain lekin koshish karen ki vo jyada tala bhuna na ho.

Ghee

Ghi khane se aapka vajan badhega kyunki ismein saturated fats aur calorie ki kafi acchi matra hoti hai. Ghi aap khane mein dal kar bhi kha sakte hain ya fir shakkar ke sath milakar bhi kha sakte hain lekin. Dhyan rahe ki ghi ki matra simit rahe

Kishmish

Kishmish rojana din bhar mein ek muththi kishmish khayen. Aisa karne se aapka vajan teji se badhega iske alava kishmish aur anjeer ko barabar bhagon mein baat kar raat bhar bhigonne ke bad khayen to usse bhi vajan badhega

Egg (Ande)

Ande mein fat aur calorie kafi hoti hai aur iska rojana sevan karenge to vajan badhega. Lekin dhyan rakhi kacha anda bhul kar bhi na khayen. Jisse swasthya sambandhit gambhir samasya ho sakti hai

Banana (Kela)

Kela vajan badhane ke liye bahut hi accha tarika hai. Rojana kela ka sevan karenge to vajan jarur badega. kele mein bharpur matra mein calorie hota hai jo sharir ko na sirf energy deta hai balki vajan badhane mein bhi madad karta hai . Kela aur doodh ke sath bhi kha sakte iske ya milkshake banake bhi kha sakte hain

Almond (Badam)

Badam bhi kafi had tak vajan badhane mein kargar hai . Isliye teen char badam raat bhar pani mein bhigo kar agle din pisker dudh mein ghol ker pile. Ek Mahina tak rojana aise karenge to farak saf dikhega

Peanut Butter (Mungfali makhan)

Peanut butter yani mungfali mein makan se bhi vajan badhaya ja sakta hai. Aap ise kaise bhi kha sakte hain. Bread per lagakar ya fir roti ke sath. Peanut butter me high calorie to hoti hai sath mein ismein carbohydrates ki bharpur matra hoti hai

Sleep (Nind)

Paryapt nind ko log vajan badhane se jod kar nahin dekhte hain agar aisa kaha jaaye ki paryapt nind lene ki vajah se vajan badhta hai to ismein majak hi samjhenge. Lekin ye sach hai. Jab log puri tarah se nind lenge yani kam se kam 8 ghante soyenge to unke sharir ko aaram milega aur jab aaram milega to jo bhi khaenge vo unke sharir me jarur dikhega

Anar, Chana, Khajuur, Akhrot aur Shahad

Iske alava anar, chana aur khajoor aakhrot aur Shahad bahut hi jyada faidemand hota hai. Motapa badhane ke liye rojana anar ka juice piye . Patle log aksar agar chane ke sath khajur khaenge to ve bahut jald weight gain karenge. Aur kishmish ko dudh mein milakar khane se vajan badhta hai. Iske alava agar Aakhrot mein shehad milakar khaenge tu bhi patale logon per jaldi asar dikhata hai.

Ye Bhi Padhe: Meditation Kerne Ka Sahi Tarika

Dhyan rahe vajan badhane ke liye ham log bahut sari chijen karte hain. Jo unhe nahin karni chahie kyunki iska natural way hota hai agar aapki body is tarah ki nahin hai to aap chahe kuchh bhi kha lijiye aap ka vajan suddenly nahin badhega lekin thodi thodi si exercise, sahi matra mein nind aur acchi diet se aap achcha vajan pa sakte hain

Ummed kerta hu ap is gharelu nuske ko apna ker sahi vajan paenge. Agar apke pas ye sari cheeze uplabhdh nhi hai to ap hume comment kerke iska dusra upae bhi jan sakte hai. Sath hi hume comment kerke btae ki aj ka blog apko kysa laga

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply