मधुमेह (Diabetes) ko niyantran me rakhne ka sahi tarika

Diabetes (madhumeh) ek aise bimari hai. Jiske baare me hum sabhi ko pata hai. Aur hum sab is baat se bhi parichit hai ke ye bimari theek nhi hoti. Par aisi bahut case dekhe gaye hai, jinme ke ye bimari kabhi kabhi theek bhi ho jati hai. Iss blog me hum batayenge मधुमेह (Diabetes) ko niyantran me rakhne ka sahi tarika.

मधुमेह (Diabetes) ka koi aisa satiik ilaaz ya dawai nahi nikla hai. Jo ke isko puri tarike se theek kar de. Par ha, doctor ne aise bahut upaye aur nushkhe bataye hai jisko ke agar aap apne jeevan me lagu karte hai. Toa nishchit he aap ise apne upar havi hone nahi denge. Aise kai upaaye hai jisko jaan kar aap apni zindagi swasth ho kar jee sakte hai. In niyamo ka palan kare, jo neeche bataye gaye hai.

 

Cigeratte peena chor de

Aese bhi cigeratte se kai bimariyan hoti hai aur hme pehle se he malum hai ke ye health ke lea ketna hanikarak hai. khaas kar jinko ke type 2 diabetes hai. smoke karne se rakt vahikayen sankirn ho jati hai,jo ke rakt ke bahaw ko dhema kar dete hai.aur ye bhi bataya gaya hai ke isse insulin pratirodh bhi badh jata hai jo ke aapke sehat ke lea bilkul bhi aha nahi hai.

Apne exercise ke tarike ko pehchane

Ye bht he aasan hai,.aap exercise to karte he honge,aab bas aapko apne exercise par aur bhi zyada dhyaan dena hai,jaise ke aapko apne exercise ko note karna hai,use samajhna hai,ke aapko is exercise se ketna faida ho rha hai, ya agar faida nazar nahi aarha to aap ise hange bhi kar sakte hai. isse aapke sehat par bht acha asar padega.

Fast food ko bole BYE BYE

Apna khana khud banana ek bht he aha hoice hai jinko diabetes hai. bahr ka khana khana ya fast food khane se aapko chini,namak,aur aapke khane ke alorie ka pata nhi rhega.jo ke khatarnak sabit ho sakta hai aapke sugar maintained blood ke lea. fast food me namak ke matra bht zyada hoti hai ,aur vaigyanik ne bataya hai ke zyada matra me namak ek diabetes patient ke lea hanikarak hai,isse hriday rog ho sakta hai. aur packed khane me bhi bht aese chemials aur preservatives ka use hota hai jo ke bht hanikarak hota hai,,behtar hoga ke aap apna khana khud bana kar uska sevan kare,ye paise bachane ka bhi bht acha tarika hai.

Aankhon (eyes) ka jaanch karate rahe

Is bimari se aapke aankhe prabhavit ho sakti hai.to behtar hai ke har 6 mahine me apni aankhon ka checkupo zarur karae. Aandhapan ek sideeffect hai diabetes ka.to isse bachne ka ek he tarika hai,wo hai regular eye checkup. 

Fal (fruits) aur sabziyon (vegetables) par vishesh dhyaan de. 

Fruits aur sabzi aapke sharir ke kaafi rog ko khatm kar dete hai, inko khana bht he zaruri hai, waise he diabetes me kuch aese sabziyan hoti hai jinko khana bht labhdayak hota hai. to aap naye naye sabzi aur fal khaye ,aur fir apna checkup karae,jo sabzi ya fal aapko suit karte ho use regular khaye. khaas kar hari sabziyan ,saag wagera pezyada dhyan de aue adhik matra me khaaye. jald he laabh dikhega.

 Apne khoon(blood) me sugar ka jaanch karate rahe

Agar aapke khoon me sugar ke matra zyada hai to behtar hoga ke khane ke pehle aur khane ke baad aap apne khoon ka jaanch karte rahe,aaj kal technologies itni badh gae hai ke aap ghar baithe baithe he apne blood ka test kar sakte hai.

Apne khane ko hisse me baat de.

Iska matlab ye hua ke agar aap ek din me 3 baar khate ho . to use badha kar 5-6 baar kar do,aur chote chote baag me, ye zaruri nahi ke aap ek din me 3 baar bhojan he kare, is 3 baar ko 5-6 hisse me baat kar khaye isse aapki pachan kriya bilkul he sahi rahege aur insulin ka matra bhi simit rahega. 

Aasha karta hun ke aapko ye article se kafi madad mili hogi. agar aap kuch puchna chahte ho to comment kare.thanks.STAY CONNECTED.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply