Business Start Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika

Aajkal  har koi job or business karna chahta hai. Job toa fir bhi aaj ke time me har koi kar raha hai, par koi job se satisfy (santusht) nahi hai. Sabka sapna hota hai ek accha sa business start karna. Aur is blog ke dwara  Sahi Tarika  ki team apko batana chahti hai ke ek successful (kamyaab) business kholne ke liye kya kya karna chahiye.

EK  ACCHA  SA IDEA.

Humesha ek acche business ki shuruat ek acche idea se hoti hai.  Pr  ek accha idea hi ek business ko kamyabi tak pohachane ke liye kaafi nahi hai. Agar aap ek business start karna chchte hai tou apko uske bare me puri jankari honi chahye aur apko market ke bare me be pata hona chahye , bina inn jankariyo ke aap business tou khol sakte hai , par is tarah se business jyada din tak tikk nahi paega. Islye agar apke pass accha idea hai tou , business start karne se pehle acche se jankari le , market me jakar survey (puch taach) kare, fir soch samjh kar business ki shuruat kare.

  • Aap chahe kitna accha idea lekar aye business ke liye par aapse pehle be bohat log uss idea par kaam kar rahe honge aur kch logo ne tou apna business acche se set be kiya hua hai. Tou apko ye dekhna hai ke aap ussey behtar services kese de sakte hai logo ko jisse ke vo  dusro ko chorkar apke pass aaye. Apko saste rate par aur acchi services k sath logo ko cheeze provide karni hogi . tabi aapka business dusro se jyada successfull (kamyab) hoga.
  • Ek aur option hai business karne ka ( FRANCHISE) ye ek branch yani ke ek brand/ product ki alag alag jagah , alag alag dukano ko franchise kehte hai. Isme apko kch nahi krna hoga buss is tarah ke business me investment ( paise) jyada lagte hai .Agar apke pass invest karne ke liye acche khase paise hai tou apko kisi be brand ya product ki franchise le leni chahye  , jese ke  MC DONALD , KFC, kisi be brand ki OUTLET SHOWROOMS ( PUMA , BENETTON , ETC).

 

BUSINESS PLAN

  • Ab aapke pass aapka idea hai , bus aab apko plan karne honge kuch questions (sawal) .
  • Apke business ka purpose kya hai ?
  • Aapk kisko kya cheez bechna chahte ho?
  • Apka  investment  kitna hai?
  • Ek business plan bohat help kartra hai business start karne me, bina business plan ke koi be business nahi kar sakta . ek acche business ki shuruat ek acche business plan se hota hai.

 

FINANCES OR FUNDS

  • Kisi be business ko start karne ke liye shuruat me paisa lagta hai. Har business ka ek price hota hai.  Agar  aap business karna chahte hai tou aapko sustain ( tikke ) rehne ke liye kuch time khud hi  business ka kharcha nikalna hoga kyunki business ka profit yani ke business paise kama kar deta hai par kuch time baad aur kch mahino baad islye jab tak business se profit aana shuru nahi hota tab tak business ka sara kharcha aapko apni pocket se dena hoga.
  • Apko finance aur funds bank se mil sakta hai bus aapko bank ko apni planning aur strategies batani hogi. Aur bank ko manana padega , agar apka bank me koi source ya link hai , fir tou apko business start karne me koi pareshani nahi hogi. Starting me fund ki bohat jyada jarurat hoti hai , aap koi investor dhund sakte hai , jo apke business idea me intrest rakhta ho .

 

REGISTER YOUR BUSINESS WITH GOVERNMENT

Agar aap koi b business kholna chahtre hai aur apka idea or apke business ka naam koi  aur na use karle islye apko apne business ke naam ko register karana hoga, issey aapke pass aapke business ke naam se lekar har cheez  par sirf apka adhikar rahega. Aur agar koi aapke business ke idea ya fir naam ko copy karna chahta hai tou aap uspar case kar sakte hai. Islye business khulne k baad uske naam se lekar har cheez ko government (sarkar )  dwara register karaye.

 

TECHNOLOGY

ek business start karne ke liye apko technology ki bohat jarurat padti hai.Technologies jese ke,

  • Computer / Laptops
  • Calculator
  • Smartphones , tablets

ek business ko manage karne k liye in cheezo ki bohat hi jyada jarurat pad sakti hai , islye business start karne k liye technologies soch samjh kar chunne.

 

POLICIES AND INSURANCE

Policies aur insurance ek bohat hi accha step hai ek business start karne ke baad. Policies and insurance business me hone vale kharcho ko recover karne me bohat madad karte hai, agar future me apka business kisi be vajah se fail ho jata hai tou apko uski puri bharpayi insurances aur polices ke dwara mil sakti hai. Islye insurance aur polices bohat hi jyada jaruri hoti hai ek business k liye.

 

Aashaa karte hai sahi tarika ke dwara di gayi jankari apke bohat kaam aye , thankyou.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply