Videsh me padhne ka sab ka man hota hai. Par financial problm aur kam knoledge ke karan hmara ye sapna pura nahi ho sakta hai. Is blog ke dwara mai aapko apko bataunga Videsh Me Padhne Ke Lea 5 Best Aur Sasti Jegah.

Bahr padhne jaane ke pehle aise bahot saare cheez hai jo ke hame pehle he jaan lene chaheye. Jaise ke waha ka culture, language,currency aur bhi bahot kuch. Is blog me mai aapko Videsh Me Padhne Ke Lea 5 Best Aur Sasti Jegah bataunga.Is blog se aapko ye bhi pta chalega ke in % jegah me padhne me aapka ketna kharch karna pad sakta hai.

List of 5 countries

  • Italy
  • Spain
  • Germany
  • Denmark
  • New zealand

Italy

Italy me aise purane bahot sare universities hai jaha ke aap apne padhai ko continue kar sakte ho. Italy ek bahot classy jegah hai or kai logon ka sapna bhi. Yaha par aapko world class education wo bhi bahot affordable fees me mil jaegi.

Aap Is jegah par padhne se pehle  ye jaan le ke yaha ke currency Euro hai or yaha Italian language boli jaati ha par generall log yaha English bhi bolte hai. Aap agar chahe to apne corse language ko english me bhi rakh sakte hain. Yaha par 200 se bhi zyada Univerities hai Or aap agar chahe to inme se kai University me aap Scholarship ke lea bhi Apply kar skte hain.

Spain

Bahot saare log islea bhi bahr padhna chahte hai ki wo english seekh jaenge. Or Spain bilkul sahi jegah hai English seekhne ke lea aur sath sath aap Spanish bhi seekh sakte hai. Ye jegah aapke lea mauka hai ek aur language seekhne ke lea.

Aur bas language ke baat nahi hai.Yaha aapko 70 Universities bhi milte hai jinme se aap apna course aur institute aaram se chun sakte ho. Spain bhi affordable jegah hai agar economy wise dekha jaaye. Aur yaha ke culture bhi bahot broad hai. Ye country Europe continent me ata hai aur yaha ke official language Spanish hai.

Germany

Agar dekha jaaye to germany ek bahot achi destination hai Europe me Padhne Ke Lea. Yaha rehne ka cost thoda zyda hai par agar tution Fees dekha jaaye to ye zyada nahi hai. Yaha tak ke sab ko pata bhi nahi hai ke Germany me aise bahot saari University hai jo ke bilkul free education provide karte hai.

Germany aise country hai jaha QS ne apni Top 200 Universities me se 10 University Germany ke catogrise ke hai. Or is country me aapko 350 se bhi zyada Universities ke option milte hai jinme ke aapko 800 courses milte hain choose karne ke lea.

Denmark

Denmark ka population bs 5.5 million hai or yaha ka culture bilkul conservative hai. Par yaha ke education quality bahot he achi aur inexpensive hai.Ye duniya ke sabse innovative country hai. Or yaha ke culture se aapko seekhne ke lea bhi bahot kuch milta hai.

Ye ek low cost living country hai jaha par ke cheezen sasti hai,Denmark Europe ke Northern part me hai .Yha ke tution fees bhi zyada nahi hai . Yaha ke log bahot he friedly hai or yaha aa kar aap padhai ke alaa bhi bahot kuvh explore kar sakte ho.

New zealand

New Zealand ko world ke sabse naturally beautiful country maani jati hai. Aur New Zealand me aise bahot saare International students hai jo ke alag alag course ke padhai kar rahe hai.Yaha pr bahot saari achi achi Universities hai jaise ke University of Auckland aur University Of Otago. In dono universities ko QS ne Top 200 World Universities ke lea rank bhi keya hai.

Yaha par padhai or countries ke hisaab se sasti hai aur yaha ke living cost bhi bahot kam hai. International students ke lea New Zealand ek bahot achi aur understandable country hai. yaha par log generally English language use karte hai.

Aasaha krta hun ke aapko is blog se aapke uchit jaankari mil gaye hogi. Bahar ke duniya alag hai. Islea aapko satark karne aur aapke khayal ke lea aapko jo bhi sawaal puchne hai aap wo ccomment box me puch sakte hai. Thanks.Stay Connected.

 

 

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply