Aapko notepad ke usages to pata hi honge. Hum generally kisi content ko copy karke format ya edit karte hain. iske aur bhi bohot usages hain. Janiye Notepad Ko Kaise Banaya Jaye Daily Personal Diary . Ab jab apni apni purpose se use karte hain to kyun na hum apni personal purpose ke use karein.Aaj mai aapko is blog mein ye bataunga ki notepad ko kaise apni daily diary ya daily personal diary banate hain.
Aaiye aaj mai aapko batata hoon ki Notepad Ko Kaise Banaye Apni Daily Personal Diary
Notepad Ko Kaise Banaye Apni Daily Personal Diary.Jaisa ki maine aapko bataya ki notepad ke bohot saare usages hain aur har insan apni apni purpose se use karte hain. Aaj mai aapko bataunga ki notepad ko kaise hum apne daily personal diary ke use karte hain. notepad ko diary banane se ye ek paper ki tarah khone ka dar nahi hoga. ise aap save kar sakte hain jisse ise kabhi bhi khol kar padh sakte hain.
Niche diye gaye instructions ko follow karein
- Notepad open karein. (Start Menu- All Program – Accessories – Notepad)
- Ab first line mein .LOG likhein aur ENTER maar de.
- Ab aap ise apne pasand ke kisi name se save kar lein.
Ab aap jab bhi ise open karenge to ye apko current time aur date show karega. Aap jab chahein ya jo bhi chahein isme likh kar save kar sakte hain apni har activity record karke rakh sakte hain aur wo bhi time pe.
Is tarah aap apni koi bhi activity timely aur accurately plan kar sakte hain. Aap ise apne desktop par rakh lein jisse aur bhi asaani hogi. Notepad ko daily personal diary banane ka sabse bada fayda to ye hai ki ye khone ka dar nahi hoga. Kabhi kabhi aapki diar kahin kho jati hai ya aap galti se kahin bhul aate. Notepad par bana kar aap ise drive mein bhi save rakh sakte hain, jisse ye khone ka dar nahi hoga. ise aap kahin bhi aur kabhi bhi access kar sakte hain.
Ab aap ise asaani se use karein aur yadi aapke pass koi aur bhi ideas hain to hume comment karein aur jitna ho sake share karein. Janiye Notepad Ko Kaise Banaya Jaye Daily Personal Diary .