Aajkal Online translator yaani Bhasa ka translate karke paisa kamaya jaa sakta hai. English se Hindi ya Hindi se English me translate krna ya content writing karna inme sabse jada kaam hota hai. Aapko jo bhi language aata ho aap uske translator ban ke bahut saara paisa kama sakte hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Translator (Bhasa Ka Pariwartan) Bankar Paisa Kamane ka Sahi Tarika kya hai.
Translator (Bhasa Ka Pariwartan) Bankar Paisa Kamane ka Sahi Tarika neeche bataya gaya hai.
Kuch zaruri baate jo aapko ye kaamke baare me jan ne se pehle pata honi chahiye.
Ye Kaam aap tabhi kar sakte hai jub aapka kisi ek bhasha me control ho yaani achche se aata ho. Isme koi bhi quality pe compromise nahi karta hai. Aapke paas khud ka computer ya laptop aur internet connection hona chahiye taaki aap kaam shuru kar sake. Aur last me aapko har roz 2 se 3 ghante lagane honge tab jaake aap iss kaam se paisa kama sakte hai. Ye saari websites English me hai, jisme baat cheet english me ki jaati hai aur saara process bhi english me hota hai.
Agar aap ab bhi isme roochi rakhte hai toa aayiy aapko batate hai ke Translator bankar kaise paisa kamate hai. Ye bhi yaad rakhe ye kaam karne ke liye aapke paas apni khud ki ek email ID honi chahiye.
Abhi Padhe: Email ID banane ka sahi aur asaan tarika
Jub bhi kisi ko translator ki zarurat padti hai toa wo bahut si website me apna request daal dete hai. Loag unhi request ko dekh ke unse contact karte hai aur fir kaam shuru karte hai.
Translator websites ki List aur jaankari neeche diya gaya hai.
FREELANCER
Ye website bahut popular website hai freelaning ki. Chota kaam ho ya bada, kaam karwana ho ya khud se karna ho. Iss website se sab loag jud sakte hai aur paisa kama sakte hai aur bacha bhi sakte hai. Isme aapko Register karna hoga joki Free hai. Uske baad aapke ruchi ke anusar aapko freelancing job khojna hoga. Bahut saare listed rehte hai jo aapko achcha lage wo select kare. Jise freelancer chahiye usse aapko fir baat hoti hai. Paisa aur kaam ate hota hai.
FREELANCER WEBSITE ME REGISTER KARE
Translator Town
- Iss website me aapko apna Profile banana hoga, yaani aapko Register karna hoga.
- Fir Aapko dekhna hoga ke kaun se transator job me aapki ruchi hai.
- Us job me aapko bid karna hoga. Bid yaani jo sabse kam daam me karne ko tayyar ho use hi job diya jaata hai.
- For aapko kaam karna hoga jiske aapko paise milenge.
TRANSLATOR TOWN WEBSITE ME REGISTER KARE
TRANSLATOR BASE
Translator Base website banayi gayi thhi transaltion ke kaam karwane ke liye, loago aur agencies dono ke liye. Ye website har tarah ke language translation ko support karti hai. Isme Transaltion karke achche paise kamaye jaa sakte hai.
TRANSLATOR BASE ME REGISTER KARE
Tradu Guide
- Iss website me aapke profile ke according kaam ka notofication beja jaata hai. Aapko khojne ki bhi zarurat nahi hai.
- Aap use dekh kar kitna paisa chahte hai wo kaam karne ka wo daal sakte hai.
- Agar aapki price unhe sahi lagti hai toa wo aapko kaam de denge.
- Kaam karke fir aapko paisa milega
TRADUGUIDE WEBSITE PE REGISTER KARE
Upar di gayi websites ke alaywa aur bhi bahut si websites hai jinme aap regsiter karke Paisa kama sakte hai. Unki List neeche di gayi hai.
- http://www.proz.com/
- http://www.translatorscafe.com/cafe/default.asp
- https://www.upwork.com
- http://worknhire.com/
- http://writers.freelanceindia.com/
Umeed karta hu ke aapko Translator (Bhasa Ka Pariwartan) Bankar Paisa Kamane ka Sahi Tarika pata chal chuka hoga. Agar aapko iss Sahi Jaankari se Fayeda hua ho toa apne dosto ya jaane waalo ko bhi bataye aur ye jaankari share kare.
Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.