Apna Vyaktitva Aur Personality jaan ne Ka Sahi Tarika

Kuch loag sharmiley hote hai aur unhe koi bhi kaam karne me sharam aata hai. Kuch loag dabang hote hai. Sabki personality alag hoti hai. Aisa kya hai jo sabhi personality ko aag karti hai. Loag aise kyu hote hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Apna Vyaktitva Aur Personality jaan ne Ka Sahi Tarika kya hai.

Apna Vyaktitva Aur Personality jaan ne Ka Sahi Tarika neeche bataya gaya hai.

 

Kisis Shabdkosh me dekhe ki personality ka kya matlab hai, toa ye pata chalta hai ke:

 

  • Sabhi Visheshtao aur guno ka jod ya sharansh, jo ki kisis ek aadmi ke liye hai, iska samanarthi shabd hai swabhao.
  • Vyewahar ke guno ka jod jo ki kisi vishesh ke liye hai.
  • Guno ka jod jo ki alag karta hai kisi vyakti ko, khaas kar wo gun ko jo ki usko samajik ruup se aakarshak banate hai.
  • Ek vyakti ke gun ya awastha ya swabhao.
  • Kisi ke bhi charitra ka wo pehlu jo hume prabhawit karta hai.
  • Koi Mahaan ya vikhyat vyakti.
     

 

Personality ya Vyaktitva ko hum panch guno me baat sakte hai:

 

  • Khulapan (Kuch naya sikhne ke liye tatpar hona)
  • Shudh Antkaran
  • Bahimurkhi
  • Anukul
  • Manovichubdta (Badmizaz) ya Bhawuk hona.

 

Ye saare gun sthir hote hai aur aadhe gun loago ko unke maata / pita se milte hai.

Yahi panch gun humari personality ko banate hai. Aap kuch nishkpat se, bahut sa shudh antkaran ke saath, thoda sa bahimurkhi, kaafi sahmat aur bilkul badmizaz nahi ho sakte hai. Aayiye jaane ke personality ko jin bhago me vigyaan dekte hai wo kya hai. panch gun hi kyu hote hai. Aur in guno ya bhago ka aakhit matlab kya hai.

 

Toa aaiye jaante hai un panch guno ko persnality ke vistaar se.

 

Vicharo Ka Khulapan (Openness)

 

Openness ya khulepan ka matlab hai yaha par naye anubhav ke liye tayyar rehna.

Jo Loag aisa rehte hai wo romanch ke liye tayyar rehte hai. Ye loag utsuk hai, kala ki tareef karte hai, Kalpana Shakti aur vicharo ke dhani hai aur ye nayi cheeze karte hai. Inki Zindagi ka ek lakshya hai wo hai vividhta. Wahi isnke jeewan ka masla hai jo har pal jo jeene layak hai aur chatpata banta hai. Inse aap koi bhi baat kar sakte hai aur aap bore nahi honge. Inke paas bahut sa gyaan hota hai aur vishyo ka bhandaar bhi. Jo loag khule vicharo ke nahi hote hai unki kuch aadate hoti hai. Aur usme wo simat ke reh jaate hai. Naye anubhav nahi chahte aur ye loag bilkul bhi romanchak nahi hote hai.

Personality ko badalna mushkil hai. Par ye kala tab dikhti hai jub aap jawaan ho rahe hote hai. Loag tabhi drug addict ban jaate hai, sharab peene lagte hai, nasha karne lagte hi aur sambhal nahi paate. Agar aap isme na pade jo ki nakaratmak hai. buda pehlu hai toa wo loag bhi hai jo duniya dekhne nikal jaate hai. Safar karte hai, photo kheechte hai. Gaana ya sangeet sikhte hai, pahado se kudte hai (Bungee Jumping) aur dariya me tairte hai.

 

Kartavyenishtha / Sudh Antkaran (Conscientious) 

 

Jo loag sudh antkaran ke hote hai wo loag kafi sanyojit, niyambandh hote hai. Unme kafi bodh hota hai apne karam aur apne dharam ka. Ye loag anushasit, bhadosemand, aur uplabdhi ko hasil karne waale hote hai. Ye kartawyenishth loag kabhi bhi kisi bhi kaam ko bina planning ke nahi karte hai. Jo loag inki tarah nahi hote hai wo swabhawik aur swatantra prakirti ke hote hai. Thode laparwah bhi hote hai. Ye ek aisa gun hai jo ki aapki madad karta hai aapko safalta ke kareeb le jaane me.

 

Bahirmukhi (Extraversion)

 

Bahirmukhi aur antarmukhi wo gun hai jo shayad sab loago ko pata hota hai. Bahirmukhi loag jada milansaar hote ai. Ye samaaj me loago se jada baat karte hai. Loago ka dhyan aakarshit karte hai, dabang hote hai. Dusri taraf antarmukhi loag jada waqt akele bitate hai. Ye loag samaj ko dusri tarah se dekte hai. Ye loag jaada milansaar nahi hote hai. Inhe jaada baate karna, loago se jada milna, ya jada hasi majaak karna nahi pasand aata hai.

Inme se kuch loag bahut sharmile bhi hote hai. Jo bahut se kaam sharam ke karan bhi nahi karte hai.

 

Anukul (Agreeableness)

 

Anukul hona mapta hai ki koi vyakti sabke liye kitna utsahit aur dyalu hai Jitna ek aadmi anukul hota hai. Hum usko bhadosemand, madad karne waala aur karunamay maante hai.

Pratikul vyakti hume udaseen, shankalu aur kam madad karne waale lagte hai.

Jin loago me iss gun ki pradhanta hoti hai, unhe ladkiya ek achcha dancer maanti hai. Kyuki unki body language se unki personality ka pata chal jaata hai. Lekin office me ya aapke kaam me jaha aap kaam karte hai Jhagdalu, kutsit aur udaseen loag jada kamate hai. Par jub ladkiya aisa bartao dikhati hai toa wo jada nahi kamati. ye bartao sirf ladk tak hi simit rehta hai.

 

Manovichubdhta / Badmizaz ( Neuroticism )

 

Ye loag har cheez ke baare me chinta karte hai aur pareshaan rehte hai. Aapne kahi dekha hoga. Koi safai ko lekar pareshaan hai, koi khaane ko lekar. Koi apne naukri ko lekar pareshaan hai. Ye loag har cheez me khot nikalte hai aur yahi inka sabse bada durgun hai. Is tarah keloag bahut juldi udaas ho jaate hai. Sab kuch sahi bhi chal raha ho toa bhi ye chinta karne ke liye kuch na kuch nikaal lenge. 

Personality ke ek shodh ke anusaar agar aise loag achchi salary par hai aur inko promotion mil jaati hai, toa ye loag usse bhi pareshaan ho jaate hai.

Jo loag aise nahi hote ha wo bhawnatmat ruup se sthir hote hai. Ye ascharye ki baat nahi hai ki ye loag bimariyo se pidit rehte hai aur juldi mar bhi jaate hai. Aise loag bahwnatmat ruup se kabhi sthir nahi ho paate hai. Fir ciggaratte aur sharab ka sewan bhi shuru kar dete hai. Sirf apne dimaag ko aaraam dene ke liye.

Personality ka aur bhi prakar hota hai par Science ne inko sirf panch bhago me hi baata hai jo ki humne abhi padha.

 

Ab aap samajh gaye honge ke Apna Vyaktitva Aur Personality jaan ne Ka Sahi Tarika kya hai. Personality kin aur kis tarah ke guno se milkar banti hai. In panch guno ka alag alag mishran hi aapko vishesh banata hai. Loag isi ko aankte hai aur aapko ek achchi personality ka taj dete hai. Agar aap apni personality ko achcha banana chahte hai toa inhi panch guno pe dhayan de, jinhe aap badhana chahte hai.

 

Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

 

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *