Interview Me Pass Kaise Kare

100% guaranteed Interview me pass kare. Secret trick jane ke Kaise Interview face karte hai. Interview Ki Saari Baat Interview me pooche jaane waale sawal kya hai wo jane. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview.

Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview Jaan ne ke liye neeche diye gaye Instruction ko achche se Padhe.

List of topics and Index pages jo iss blog me bataye gaye hai wo iss prakar hai. Isme detailed topics and sub topics hai jo iss blog Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview me bataya gaya hai.

Interview Ke Liye Prepare Hona

  • Sabse Pehle Apni Soch Badle

  • Interview Ke Liye Prepration

  • Humesha Shuruaat Achchi Kare

  • Achcha Start karne ke Liye Kuch Zaruri Tips

  • Apne Aap Ko Samjhe

Aapki Personality Aur Aapka Body Language

  • Success Paane Ki Strategy

  • Success pane ki Strategy ki kuch examples

Sahi Kapde Jo Aapo Interview Me Pehenne Chahiye

  • Ladko (Boys) Ke Liye Interview Me Pehenne Ke Liye Sahi Kapde. Right Attires for Interview

  • Ladkiyo (Girls) Ke Liye Interview Me Pehenne Ke Liye Sahi Kapde. Right Attires for Interview

Interview Ke Kuch Instructions

  • Tayyari Jo Aapko Karni Chahiye

  • Kuch Zaruri Baate Jo Dhyan Dene Layak Hai

  • Kuch Sawaal Jo aamtaur pe Har Ek Interview Me Pooche Jaate Hai

  • Interviewer se poochne waale sawaal

Ye Bhi Padhe: Interview Dene Ka Sahi Tarika Kya Hai
Toa chalye ab hum aapko pure detail me batate hai

Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview

Interview Ke Liye Prepare Hona

Ho Sakta hai ke aapka Interview Kal hi Ho. Ya ho sakta hai ke aapka Interview Baad me kabhi ho. Jaisi bhi situation hai. Aap Bilkul Pareshaan Na ho. Kyuki Sirf is blog ko padhne ke baad. Aap 100% confident aur tayyar ho jayenge Interview ke Liye. Bahut Saari cheeze isme batayi gayi hai. Jo aapke Liye bahut sahayak hongi.

Sabse Pehle Apni Soch Badle

  • Jo aapka Interview lene waala hai. Zaruri nahi hai ke wo HR ka hi banda ya bandi ho. Ho sakta hai ke wo manager ho, ya koi aur Staff. Jisse kaha gaya ho ke Pehla Round wo le le.
  • Ye bhi ho sakta hai, ke Jitna Nervous aap feel kar rahe ho. Utnahi Nervous wo bhi feel kar raha ho. Toa Aapko bilkul bhi ghabrane ki zarurat nahi hai. Bilkul Confident hoke jaye. Aur Apna pehla Impression achcha de.
  • Aur ek zaruri baat. Interviewer chahe koi se bhi sawal pooche. Ya kitne bhi sawaal pooche. Magar wo yahi janna chahta hai ke aap unke team me fit baithenge ke nahi. Kya aap ek achche employee banenge ke nahi. Aap unpe burden toa nahi ban jayenge.
  • Toa aap bilkul pehle se prepare hoke jaye. Aur jawab dene se pehle ye zarur soche. Ke kya aapke jawab se wo apne doubts clear kar sakta hai ke nahi.

Kuch Zaruri Baate Jo Aapko Dhyan deni Chahiye Yaha pe:

  • Ye bhi bahut zaruri hai ke aap puri tarah se tayyar hoke jaye. Sirf kapde nahi aapke vichaar and knowledge. Jaha ja rahe hai uske bare me thoda pata kare. Ke kya company hai? Kya kaam karti hai? Kitne employees hai? Kitni badi hai? Future plans kya hai Company ke? Isse aapko Interviewer ke jawaab dene me bahut aasaani hogi.
  • Saath hi aapka Body Language sahi hona chahiye. Aapke looks bilkul professional hona chahiye. Job pane ke liye aap desperate na ho. Lekin aapke andar ek interest dikhna chahiye Interviewer ko.
  • Humesha Yaad rakhe ke Interview me do cheese saath saath ho rahi hoti hai. Pehla ke Interviewer aapko judge kar raha hota hai. Dusra ye Ke aap bhi Company aur Interviewer ko judge kar rahe hote hai. Agar aap soch sambhal ke sahi jawab de. Aur sahi sawaal pooche. Toa aapko khud ye mehsoos hoga ke Interviewer aapko Job Sell kar raha hai aur aap uske Customer ho. Agar aisa hota hai tab yakeen mane aapka Interview achcha ja raha hai.

Toa ye thhi Shuru ki baate. Ab hum aapko batate hai detailed me hare k cheez ke bare me.

Ye Zarur Padhe: Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare

Interview Ke Liye Preparation

Humesha Shuruaat Achchi Kare

  • Chahe aapka Interview ho. Ya koi Sales ki meeting. Agar aap advance me tayyari karte hai, thoda research karte hai aur pure plan ke saath jaate hai. Toa Success milni mushkil nahi hai aapko.
  • Jaise ki agar aap Interview dene ja rahe hai. Toa aapko Interviewer ka naam pata karna chahiye. Fir use search kijeye. Dekhiye ke unka knowledge kitna hai. Unke bare me study kijeye, take aapko pata chal sake ke wo kaise insaan hai. Fir aap unke anusar apne jawaab bana sakenge.
  • Saath hi aap company ke bare me jitna information nikal sakte hai. Wo nikale aur achche se study kare. Company Kya Karti Hai? Kitna Turnover hai? Kya kya products hai? Saath hi apne profile ke KRA yaani Key Responsibility areas ko bhi achche se samajh ke jaye.

Kuch bahut jada dhyan dene waale baate:

  • Agar aap aisa hi karte hai toa aapke select hone ke jada chances hai. Kyuki Interviewer bhi aise employees khojte hai jo well informed ho. Jo pehle se apna home work karke aaye. Taaki joining ke baad fauran kaam me lag jaye. Warna Company ko 1 – 2 mahine ki training deni paregi.
  • Humesha Intelligent sawaal pooche? Zada bolne ki koshish na kare. Soch sambhal ke bole aur sahi aur saaf bole. Aapki awaaz me aapka confident dikhna chahiye. Saath hi halke se thoda zor se bolna chahiye. Taaki aapki aawaaz saaf aur sahi sunayi de. Thoda apne pronunciation pe bhi dhyan de. Sahi bolne ki koshish kare.
  • Aap company ke bare me aur Job ke bare me advance me information mangwa sakte hai. Aap unse email ya call ke dwara Brochures, Newspaper jaisi cheese mang sakte hai. Isse company ko lagega ke aap job ko leke waqiye me bahut serios hai. Ho sake toa khud se saari information collect kare.Aisa karne se aapka bahut achcha Positive impact parega.

Humesha yaad rakhe bheed se alag kaam kare, tabhi aap safal ho sakenge.

Achcha Start karne ke Liye Kuch Zaruri Tips

  • Jub Aapse aapka Introduction poocha jaye toa 2 minute ke andar apna Introduction de. Jis tarike se Television me ya radio me sirf 10 second ke andar advertisement dikhayi ya sunayi jaati hai. Jisme wo apni saari information de dte hai. Usi Tarah aap apne aap ka Introduction de. Sochiye ke aap apne aap ko bech rahe hai, jo ki bahut hi achcha product hai. Achcha ye rahega ke aap apne Introduction ki pehle se practice kare.
  • Company, Interviewer aur Company se juri hui har ek cheez me apna Interest dikhaye. Aapke Body language se lagna chahiye ke aap Bahut Interested ho. Khaas taur se aapko Interviewer ko impress karna hai.
  • Aap apne competencies ko yaani ke aapke salahiyat ko aapki kabiliyat ko sirf words me describe na kare. Balki kuch apne past ke example deke samjhaye. Ke aap sirf kaam ko niptate nahi, balki samajhte hai, jaante hai aur bahut achche tarike se karte hai. Aur apne kaam ke towards bahut Serios hai.

Kuch Important Tips:

  • Active dikhe, Shant rahe, Kam bole, Chehre pe thodi si smile aur hamesha confident. Chahe Interviewer kuch bhi pooche ya bole.
  • Jo nahi aata saaf mana kare. Jo aata hai wo achche se explain kare. Agar aap sahi hai kisi baat pe toa achche se samjhaye kabhi Interviewer se na uljhe.

Apne Aap Ko Samjhe

  • Interview me jaane se pehle aap apne aap ko bahut achche se tayyar kare. Apne bare me jaane kya aapke Strengths kya hai aur aapke Weakness Kya hai. Aapko iss naukri ki kyu zarurat hai. Aapke Skills kya hai? Aur aapko kya kya aata hai. Jub aap apne bare me behter se jaan lenge. Tabhi Aap achche se dossro ko apne bare me bata sakte hai.
  • Aisa karne se aapme zada confidence milega. Aap apne aapko behtar se jaanenge aur Interviewer ke hare k sawaal ka bahut achche se jawaab bhi de payenge.
  • Ye bhi khayal rakhna hai aapko ke aapne apni CV yaani Resume ko bahut achche se padha ho. Aap se sawaal aapke CV ke anusar hi pooche jayenge. Toa khayal rakhe ke aapne CV me sab achche se explain kiya hai. Aur aap usi ko achche se jaante bhi hai. Aur kisi ko achche se samjha bhi sakte hai.
Ye Bhi Padhe: Job Interview ke Tips aur Tricks

Aapki Personality Aur Aapka Body Language

Aapki Personality Aur Aapka Body Language

Aapki Personality aur body language kitna zaruri hai Interview me pass karne ke liye. Aap jaisi apni personality Interviewer ko dikhate hai. Waisa hi image banta hai aapka Interviewer ke dimaag me. Aapke hao bhao, Aapke baat karne ka tarika, Body language. Ye sab batati hai aapke bare me. Aur Interviewer ya toa sahi ya galat impression banal eta hai aapke bare me.

  • Aapke Body Language se aur aapse baat karke ek Interviewer aapke bare me bahut si dharnaye banal eta hai. Jaise ki Aapki Financial Status, Education Level, Attitude, Behaviour, Life Skills, Moral Character aur sabse Important aap trust karne layak hai ke nahi.

Iss Section ki Zaruri Baat and Important Interview Tips:

  • Mushkil se 5 minute ke andar aapse baat karne ke baad. Interviewer aapke bare me ek impression banal eta hai. Isi liye kaha gaya hai ke apna pehla impression achcha dale. Aapka Pehla impression bahut zaruri hota hai.
  • Researchers ka maan na hai ke. Jo impression aapka loago ko milti hai. Wo 55%  aapke looks ki wajah se milti hai. Aapne kya pehna hua hai aur aap kaise dikhte hai. 38% aapke body language pe milti hai aur sirf 7% milti hai aapke bolne ke style se.

Toa dekha aapne ke kitna zaruri hai ke hum in sab cheezo ka khayal rakhe. Taake Interview me success milne ka ratio badh jaye.

Success Paane Ki Strategy

Ye bahut zaruri hai ke aap Interview ki tayyar pehle se hi karke jaye. Har Interviewer ek jaisa nahi hota. Aur sabke sawaal alag hote hai. Aur kiska Nature kaisa hai aap ye bhi nahi jaan sakte. Toa ye bahut zaruri hai ke situation ke according aap apni Strategy banaye.

Success pane ki Strategy Kya Hai:

  • Agar Interviewer bahut Strict hai aura apse seedhe seedhe sawaal pooch raha hai. Toa aap bhi seedhe seedhe jawab de. Point to point. Agar wo aapse idhar udhar ki baate karta hai, toa aap bhi use use style me baat kare. Bahut zaruri hai ke hum Interviewer se milke jaan le ke wo kya chahta hai.
  • Questions assume mat kare. Jo poocha jar aha hai, uska seedha seedha jawab de.
  • Kabhi bhi Interviewer ko interrupt na kare. Yaani agar wo kuch bol raha hai, toa aap use complete karne de. Use beech me na toke.
  • Baat karte waqt aankho se aankhe milaye rakhe. Magar Interviewer ko ghoore nahi. Chehre pe halki si Smile and Confident.

Kuch visesh Yaad Rakhni Waali Baate

  • Agar bahut jaada ghul mil gaye hai. Toa dosto jaisa behave karna shuru mat kar dijeye. Apna discipline maintain rakhiye.
  • Body position and posture sahi rakhe. Aur saaf saaf clear and loud baat kare. Loud means chillana nahi. Magar itna tez ke aapki aawaaz saaf saaf sunayi de.
  • Thoda sa bhi na khabraye aur na hi khabrahat aane de. Nervous hone ki koi baat hi nahi hai. Company ko ek achcha employee mil jayega aur aapko ek achcha sa job. Interview ek process hai, ye samajhne ke liye ke kya aap Company dwara bataya hua kaam kar sakte hai ke nahi. Isme Nervous hone jaisi koi baat nahi.
Ye Padhe: Product Ki Sales kaise badhaye | Ek Achcha Salesman Kaise Bane

Sahi Dress Kya Hai Interview Me Pehenne Ke Liye

Ladko (Boys) Ke Liye Interview Me Pehenne Ke Liye Sahi Kapde. Right Attires for Interview

  • Waise toa agar aap bilkul professional suit pehen ke jayenge toa bahut achcha hoga. Lekin agar suit aapke budget ke bahar hai aur garmi bhi bahut hai toa aap Formal Shirt and Formal Pant pehen sakte hai. Formal Plain Shirt, halki blue ya kuch bhi. Magar jada bright nahi. Lal hara peela pehenne ki koi zarurat nahi hai. Koi Plane color ki shirt jo jaada bright na ho. Well Ironed and saaf sudhri.
  • Sabse zaruri baat ye ke jo bhi kapde aap pehen rahe hai. Usme aapko comfortable feel hona chahiye. Agar comfortable feel nahi karenge toa saara dhayan kapro per eh jayega. And Interview  me concentrate nahi Kar payenge.

Important Tips for Interview

  • Wo kehte haina “Mens look perfect in Formal’s and formal’s is a gentleman’s dress”.
  • Shoes bhi formal hone chahiye. Sports shoe bilkul nahi chalega. Black ya Brown, wo bhi plain. Shaadi jaisa chamakta hua shoes formals nahi hota hai. Only plain shoes. And well polished shoes. Gande shoes bilkul nahi challenge. Agar raste me Shoes gande ho gaye hai, toa Interview me jane se Pehle Shoes Saaf Karke jaye.

Ladkiyo (Girls) Ke Liye Interview Me Pehenne Ke Liye Sahi Kapde. Right Attires for Interview

  • Sari, Salwar Kameez ya Business suit sabse best options hai. Aap formals bhi pehen sakte hai. Pant and Shirt.
  • Jeans and Short Skirt aapko avoid karna chahiye. Kyuki isse aapka Professional Impression achcha nahi jaata.
  • Aapke Hairs, Nails, Earings, bangles, watch etc. hare k ornament bahut soch samjh ke pehenna hoga. Sabse important ye ke aap kuch bhi aisa mat peheniye jo bahut Shine kare. Ya jisme glitter ho. Plain and simple dress is good. Agar aapk formal nahi pasand to Salwar suit is the best option.
  • Proper ladies bag ke bajaye kuch aisa carry kare jisme aapka resume bhi aa sake. Carry bag ka bhi khayal rakhe.
Ye Bhi Jane:  Ek achchi si badhiya si powerpoint presentation kaise de

Kuch Instructions Jo Aapko Interview Ke Dauran Follow karna hoga

Interview Me Aane Ki Tayyari

Aap Interview me Time se pehle pahuchne ki koshish kare. Bahut Jada bhi pehle nahi magar kam se kam 5 – 10 minute pehle. Seedhe reception me jaye aur bataye ke kisne aapko Interview ke liye bulaya hai.

  • Receptionist se achche se smile karke baat kare. Aur dostana behavior rakhe.
  • Jadatar cases me aapko wait karne ko bola jayega recepton ke area me. Waha aas paas dekhe aur samjahne ki koshish kare company ko, Company ke culture ko, Loago ko, unki baato ko. Bahut si companies apne bare me aur products ke bare me reception me posters ya banners lagati hai. Aapko waha se bhi company ki bahut si cheezo ka pata chal sakta hai Interview se pehle hi.

Important Tips Jo Aap Yaad Rakhe:

  • Jub Interviewer aapke paas aaye ya jub bhi aap unse mile. Toa unki taraf Smile pass kare, friendly smile. Fir aage badh ke Hand shake kare. Aapka Hand shake confident waala hona chahiye.
  • Hath milate waqt ankho se ankh mila ke smile karte hue greet kare. Humesha Sir ya Madam keh ke baat kare. Hath bahut zor se dabana nahi hai, aur na hi bahut dheere se. Proper hand shake kijeye. Isse bahut impact parta hai aapki personality ka.

Kuch Zaruri Baate

Agar Interview ki shuruaat hi aapke Introduction se hoti hai. Toa aap apna Introduction ek Television ke Advertisement Ki tarah De. Aapko Apne aapko ek product samjhna hai jo ki company ke liye bahut useful hai.

  • Chuki aapne already prepare kiya hua hai. Apne Introduction ke bare me toa aap bahut aasaani se apna Introduction Confidently de sakenge.
  • Agar Interviewer pehle company ke bare me batata hai. Aur fir aapko poochta hai Apne Introduction dene ko. Toa company ki jo information usne aapko di. Usme apne aapko jor ke apna Introduction de. Take wo aapko Company ka ek part samajh sake.

Yaad Rakhne waali Baat:

  • Dhyan dene waali baat ye hai Ke aapko Jis Job ke liye bulaya gaya hai. Aur uske jo jo KRA hai. KRA yaani Key Responsibility Areas. Yaani wo kaam jo agar aap select ho jaate ho toa karoge. Aapko Apne baato me focus karna hai KRA ko aur batana hai ke aapne isme kaam kiya hua hai. Aur examples de un kaamo ka jinhe aapne kiya hua hai.
  • Aapke job hi achievements hai. Unki ek list bana le. Taake waha aapko wo saari cheeze yaad rahe aur aap bol sake.

Humesha Yaad rakhe Interview aapka aur aapke knowledge ka hota hai. Aur ant me aapko sirf Interviewer ko apne wisdom se yaani dimaag se impress karna hai.

Kuch Sawaal Jo aamtaur pe Har Ek Interview Me Pooche Jaate Hai

Ap kahi bhi jao, Tell me about Yourself? Let us know about Your Educational Background? Aise bahut se sawaal Interviewer aapse Poochte hai.

Kitna achcha ho agar un sawaalo ke bare me apko pehle se hi pata ho. Toa aayiye hum aapko batate hai kuch common sawaal. Jo hare k Interview  me pooche hi jaate hai.

Ye Rahi un Saare Sawaalo Ki List. Meanings ke Saath:

  1. Tell Me About Yourself? Aap apne bare me thoda bataye?
  2. What About Your Goals? Short Term and long term? Aapke Life ka uddeshye kya hai?
  3. What Do You Like Doing The Most? Aapko sabse achcha kya lagta hai karna?
  4. What Are Your Strengths and Weakness? Aapki khoobi kya hai aur aapki khaami kya hai?
  5. How did you learn about Our Company? Aap humari company ke bare me kaise jaante ho?
  6. What Do You Know about Our Company? Aap humari company ke bare me kya jaante hai?
  7. Why do you want to work with us? Aap humari company ke saath kaam kyu karna chahte hai?
  8. Tell us about your previous work experiences? Aap apne pichle kaam ke experiences ke bare me bataiye?
  9. Why do you or why do you want to leave your current job? Aap abhi apna current waala job yaani kaam kyu chhorna chahte hai?
  10. Why Should we hire you? Hum aapko Kyu Hire Kare?
  11. What are your major achievements? Aapke Life me aapka sabse bada achievement kya hai?
  12. Who is your current manager? And what he says about you? Aapka abhi ka current manager kaun hai? Aur wo aapke bare me kya baat karta hai?
  13. What is your motivational factor at work? Aapko kya cheez achchi lagti hai Office ya kaam ke bare me?
  14. Apart from work and study what are your likes and dislikes? Kaam aur padhai ko chor ke, aapko aur kya kya aata hai aur achcha lagta hai?
  15. What Are your Career Goals? Aapke Career ka mission kya hai? Aap age kya karna chahte hai?
  16. What is your Salary Expectation? Aapki Salary expectation kya hai?
Ye Jaane: Computer Me Powerpoint Pe Presentation Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika

Kuch Zaruri Baat Jo Aapko Dhayan Rakhni Chahiye:

  • Aisa nahi hai ke ye answer sheet hi aur aap isko rat ke chale jaye. Ye aamtaur se pooche jaane waale sawaal hai. Jinke jawaab aap pehle se hi bana ke jao. Aapko bus iss baat ka dhyaan rakhna hai. Ke aapke saare jawaab, aapke profile aur company/ Possition /KRA kea as paas hi rahe. Wo aapse sab sach sach bolne ko nahi bol rahe hai. Jo aap jawaab de de. Har sawaal ke peeche ek wajah hoti hai, aapko use samajhna hai.
  • Interviewer har sawaal se bus ye dekhna chahta hai. Ke kya aap uss company me kaam karne layak hai. Kya aapme wo qualities hai o wo khoj rahe hai. Kya aapme knowledge hai. Aur agar nahi hai, toa kya aap seekhne ko tayyar hai. Aap insaan kaise hai. Jo bhi sawaal poocha ja raha hai wo sirf aapko judge karne ke liye kiya ja raha hai. Iss baat a zarur se Dhyan Rakhe.
  • Aapko bus acche se sawaal sunna hai. Use pehle samjhna hai. Aur bahut soch samajh ke jawaab dena hai. Wo bhi confidently. Aur chuke aapne already sawaal bahut se prepare kar rakhe hai, aapko bus sahi jagah sahi cheez bolni hai.

Confident rehna sabse important hai. Confident rehne se aapke personality me nikhaar aata hai.

Interviewer se poochne waale sawaal

  • Ab interviewer ne aapse saare sawaal poch liye hai. Iss time me aksar Interviewer poochte hai. Ke kya aapko kuch poochna hai. Kai baar nahi bhi poochte hai.
  • Lekin ya toa Interview ke dauran agar sahi time mile toa. Ya Interview ke baad. Matlab jub bhi mauka mile aapko bhi kuch sawaal Interviewer ko karne chahiye.
  • Aakhir ye aapke naukri ka bhi sawaal hai. Aapko bhi company ke andar ke bare me bahut si cheezo ka pata hona chahiye. Kyuki bahut hadh tak possibility hai ke aap uss company ka ek part ho.
Kuch Sawaal Aapko Zarur se Poochne Chahiye Interviewer se. Jo bhi aapko relevant yaani upyogi lage. Kuch sawaal neeche diye hue hai.
  1. What is the reason for this vacancy? Iss Job ki vacancy ke peeche kya reason hai? Means koi kaam chor ke chala gaya hai? Ya jada Projects aa gaya hai?
  2. What is the main KRA for this job? Iss Job me sabse Important kya knowledge ya skills aani chahiye?
  3. What are Company expansion plan? Company ka expand karne ka jada business karne ka kya plans hai?
  4. What is the turnover of this company? Iss Company ki Turn over ya market share kitna hai?
  5. Who all are major competitors of this company? Iss Company Ke Competitors yaani dusri company jo same kaam karti hai? Wo kaun kaun si hai? Unke naam kya kya hai?
  6. Where would I be, if I am always Top Performer? Agar mai humesha se top performer raha, toa mera growth plans kya hai?
  7. If Company provides and professional training or education or any certifications? Kya company koi professional degree, ya training ya koi certification bhi deti hai?
  8. What is the work time and day schedule? Iss Office ka working time kya hai aur day ka schedule kya hai.
  9. What Benefit does Employees gets here apart from Salary? Salary Ke alawa employees ko aur kya kya benefit milta hai?

Kuch Important Baat:

Zaruri nahi hai ke aap saare sawaal pooche hi. Magar isme se jo sawaal poochne ka jab mauka mil jaaye wo aap pooch sakte hai. Aise sawaal poochne se ye pata chalega. Ke aap apne job ko leke kitne serios hai aur saath hi excited bhi hai.

Sawaal poochne ka tarika bhi sahi hona chahiye. Aisa nahi lagna chahiye ke aaphi Interviewer ka Interview le rahe ho. Aapko bahut pyar se aur sahi waqt pe hi poochna hai.

In sawaalo ke jawaab se aapko bhi company ke bare me bahut kuch pata chalega. Aur aap easily decide kar payenge ke aapko kya uss company me kaam karna hai ke nahi. Pehle aap khud satisfied ho company se tabhi job kare. Job ki juldi bilkul na kare.

Salary Negotiation me kya kare?

Ye toa bahut common sa sawaal hai. Salary Negotiation ke bare me zarur se baat hoti hai. Ke kya Salary hai. Kitni Salary Loge.

  • Interviewer aapse poochta hai ke aapke Salary expectation kitni hai? Ya aapko pehle kitna milta thha. Aur ab aap kya soch rahe ho. Ye sabse Important moment hota hai Interview ka. Agar aap jada bolte hai toa wok am waale ko rakh lenge aur agar aap kam bolte hai, toa kya pata actual me jada milta ho.
  • Iss confusion se bachne ka sabse achcha upay ye hai. Ke aap sawaal ko ulta kar de. Means aap Interviewer se Sawaal ke badle jawaab me ek sawaal hi kar de.

Sawaal jo aap pooch sakte hai Salary Negotiation me unke examples:

  1. Iss Position ke liye kam se kam aur jada se jada kya Salary Range hai?
  2. Meri Current Salary Itni ha? Aapko kya lagta hai, mujhe kya mil sakta hai?
  3. Mere bahut se dost similar companies me kaam karte hai jinko mai jaanta hu. Unko itni Salary milti hai same kaam ki. Iss Tarah aap ye sawaal Interviewer ke saamne rakhe.

Ye bhi ho sakta hai ke jis company me aap ja rahe hai. Us company me pehle se hi uss position ki salary taye ho. Toa ap interview khatam hone ke baad Interviewer se ye pooch sakte hai. Tab jub wo aapse Salary ki Koi baat na kare toa.

Interview Ke Kahatam Hone Ke baad Kya Kare

Job Interview Ke Baad Kya Kare

Ek important baat aur hai ke Interview khatam hone ke baad kya kare. Ab aapka Interview khatam ho chukka hai. Jaane ka Time hai. Aap pooch le ke wo kab tak bata denge.

  • Interviewer se number aur email ID mange. Pooch eke agar joining hui toa kya process hai. Aur Jub wo aapko jane ko bole. Toa bahut pyar se khare ho. Hand Shake kare. Unka dhanyeaad kare. Ur unhe bole ke aaj unki waajah se aapne bahut kuch sikha. Aur aap unke knowledge ki prashansha karte hai.
  • Thank You bole, Aur apne samaan/ Files ko achche se samate. Bag ya job hi aap laye hai le. Aur pyar se gate khol ke jaye. Koshish Kare ke jub aap interviewer ke upar apna achcha Impression chore. Interviewer ko lagna chahiye ke aap Obidient aur ek achche employee ban sakte hai.

Aasha karta hu ke ab aap pure confident ho chuke hai Interview ke liye. Agar koi sawaal ho, shanka ho ya koi baat ho, toa aap comment karke humse pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

2 thoughts on “Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview”

Leave a Reply