Ek achchi si badhiya si powerpoint presentation kaise de

Aap business karte hai ya naukri karte hai. Toa kabhi presentation toa banana hoga aur use dena bhi hoga. Agar aap achche se prsentation dena sikh jaye toa aap bahut kuch hassil kar sakte hai. Presentation ek art hai, apne dwara soche gaye cheezo ko words, picture aur bhi bahut cheezo ke dwara aap dikha sakte hai. Ek achchi si badhiya si powerpoint presentation kaise de hum batate hai.

Ek achchi si badhiya si powerpoint presentation kaise de

Presentation Microsoft Office ke Powerpoint me hoti hai. Hum apne pichle blog me aapko pehle hi bata chuke agar aapne abhi tak nahi padhi, toa iss blog ko padhne ke baad ise neeche diye gaye blog ko padhe.

Computer Me Powerpoint Pe Presentation Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika

 

Ab jub aapki prentation ban chuki hai toa use dene se pehle neeche dee gaye baato pe dhayan de.

 

Ye Bhi Padhe:    Kisi Se Hath Milane Ka Sahi Tarika

 

Aapne jo presention banayi hai wo aapko aani chahiye

Aksar ye dekha gaya hai ke agar aapko presentation dene ki topic agar achche se yaad nahi. Ya jo aapne presentation dene ka socha hai. Wo agar aapko khud nahi aata toa dusro ko aap kya samjha ya bata payenge. Toa bahut zaruri hai ke aap apni presentation ko achche se samjhe. Ke usme kis slide me kya hai, aur usmekya hota hai. Puri detailing ke saath.

 

Aapne Achche Aur Saaf Kapde pehne ho.

Kapdo se impression banta hai. Saamne waala apke kapdo se aapki personality judge kar leta hai. Toa naye nahi magar saaf kapde zarur se pehne. Aur koshish kare ke shirt pant (formals) hi pehne.

 

Ye Bhi Padhe:  Apna Vyaktitva Aur Personality jaan ne Ka Sahi Tarika

 

Apne achchi practice ki ho.

Final presentation dene se pehle, thoda sa practice kar le. Pele khud ke saath. Ho sake toa aiyena (Mirror) ke saamne. Fir apne kisi achche dost y bhai/ behen / mata/ pita ya koi bhi jisse aapki achchi banti ho use dikhaye. Uske saamne kare aur feedback le.

 

Aap Confident Ho.

Aapka confident hona  bahut zaruri hai. Saamne jo baithe hnge hai toa wo insaan hi, koi mars se toa aaye nahi hai. Aapko bus confident rehna hai khud pe aur apni banayi gayi presentation se. Thoda sa smile karte rahiye. Jada bhi smile nahi karna hai. Bus thoda sa Smile chehre pe.

 

Jada Kahani Na Sunaye.

Bahut jada bol ke loago ko bore na kare. Bahut si baate unko pata hoggi jo aapne presentation me banayi ya diikhayi hai. Aapko bus points me batana hai, baaki wo kd hi samajh jayenge. Ha agar wo bole ki detail me batao, toa aapko pata hi hai, sirf us poin to detail me bata dena aap.

 

Time se pahuche aur time se shuru kare.

Aapko jo bhi time diya gaya hai usse 5 – 10 minute pehle hi pahuch jaaye. Taaki agar plug, projector ya koi aur intejam karna ho toa aap kar le. Aur aapi presentation time se shuru ho. Time zarur se bana le apne presentation ka ke aapko presentation ke shuru hone ka aur khatam hone ka time pata ho.

 

Words kam picture or pinters zada ho presentation me.

Agar aap powerpoint me presentation bana rahe ho ya Microsoft word me presntation bana rahe ho. Toa dhyan rahe ke jada mat likhe, photo/ picture aur graphs ka istemaal jada kare. Picture ke dwara cheeze ek baar me hi dekh ke samajh me aa jati hai.

 

Sawaalo ke liye tayyar rahe.

Loag tarah tarah ke sawal pooch sakte hai. Aur aise bhi sawaal pooch sakte hai jo presentation se related na bhi ho, but same topic se ho. Aur agar aap uss sawal ka sahi tarike se jawaab nahi de payenge toa samjho aapki saari mehnat kharab.

Isiliye humesha prepared rahe. Topic ko achche se samjhe. Jitne bhi related sawaal pooche ja sakte hai. Unke baare me soche aur unki list bana kar answers tayyar kar le pehhle hi.

 

Feedback Mange.

Sab kuch ho jaane ke baad. Presentation ke sawaal jawab khatam ho jaane ke baad. Sabse pooche ke unke presentation kaisa laga aur pooche ke kya galtiya thhi. Bata de taaki future ke liye aap unko sahi kar ke laa sako. Aisa poochne se loago me ek positive sign aata hai. Aur ise loag bahut achcha maante hai. Aur inhi chote chote feedback jo aapko loag denge. Aap unko sudhar kar perfect ban sakte hai.

 

Presentation dene ke time, nervous nahi khsh hone ka soche. Soche agar aap successful ban jaye aur aap bahut ameer ban jaye toa kitna achcha hoga. Positive soche aur presentation de de. Mai umeed dilata hu ke wo achcha jayega.

 

Agar padh ke achcha laga aur kuch sikhne ko mila toa comment zarur se kare. Kch kami reh gayi ho toa wo bhi bataye. Hume aapke comments aur email ka intejaar rahega.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

4 thoughts on “Ek achchi si badhiya si powerpoint presentation kaise de”
  1. बहुत ही उम्दा ….. बहुत ही सुन्दर प्रस्तुति …. Thanks for sharing this!! 🙂 🙂

    1. sahitarika says:

      Dhanyewaad Aapka. Aapke comments ke liye.

  2. धन्यवाद बहुत अच्छा लगा है

    1. जान के अच्छा लगा के आपको ये blog अच्छा लगा |

Leave a Reply