Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam

Army waalo ko asli mard kaha jata hai. Jo apne desh ke liye apni jaan tak dene ka jazba rakhte hai. Army me apply karne ke liye apka 10th pass hona zaruri hai. Yaha iss article me hum aapko batayenge ke Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam ki sahi jaankari kya hai.

Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam ki sahi jaankari jaanne ke liye neeche likhe gaye cheezo ko achche se padhe

 

Ye Exam (Indian Army Soldier Technical (M.E.R)), saal me 4 baar hota hai, jiski jaankari Employment Newspaper aur dusre leading newspaper me bhi di jaati hai.

 

Eligibility: 

 

Jin loago ki shaadi nahi hui hotti hai, wo iss exam me participate kar sakte hai, Indian and Nepali dono.

 

Educational Qualification: 

 

10th Pass karna zaruri hai, jisme English aur Maths ki bhi padhai ho.

 

Age Limit: 

 

16 saal se lekar 23 saal tak ke loag isme apply kar sakte hai.

 

Body Structure: 

 

Isme apply yaani aawedan karne ke liye aapki Height 16 cm honi chahiye. Aapka wajan yaahi Weight 50 Kg tak ka hona chahiye aur aapki chchati yaani Chest 77.82 cm ka hona zaruri hai. Jo loag reserve category me aate hai unko thodi si riyayat yaani relaxation mil jaata hai.

 

Form Kaha se milta hai: 

 

Form free me hota hai jise aap local Recruitment Offices, District Collector's Office, Zila Parishads aur Employment Exchanges se le sakte hai.

 

Selection ka Tarika: 

 

Written exam liya jaata hai,jiske liye Apply karna hoga fir aapka Admit Card ayega. Paper 1 pehla exam hota hai jo sirf 45 minute ka hota hai, aur sawaal 100 marks ke hote hai.

Isme jo select hota hai use hi dusre exam ke liye bulaya jaata hai. Iss exam me 3 subjects me se question pooche jaate hai.

 

  • General Intelligence
  • Mathematical Aptitude
  • General Knowledge.

 

Iss exam me jo select ho jaate hai, unhe dusre exam ke liye bulaya jaata hai. Jise Paper 2 exam kehte hai. Paper 2 exam bhi 45 minute ka hi hota hai aur 100 marks ka hota hai.

Isme 30 marks physics se, 20 marks Chemistry se aur 50 marks Maths se pooche jaaate hai.

 

Zaruri Baat:

 

In exam me jo question pooche jaate hai wo Objective type hote hai. Yaani ek sawaal ke 4 jawaab honge aur aapko ek sahi jawaab tick karna hai. Isme aapke paas option bhi hoga ke aap ye exam Hindi me dena chahte hai ya English me. Jo select hoga use Aptitude Test aur Interview ke liye bulaya jayega.

 

Army ke iss Career ke fayede

 

waise toa kai fayede hai, magar aapka Khaana Free, Kapde free, rehna Free, bimaari ka ilaaz free na sirf aapke liye balki aapke ghar waalo ke liye bhi, loan ki suwidhaye, canteen ki suwidha aur bhi anek fayede yaani benefits hai Army job me.

 

Indian Army ke aur bhi exams hote hai jo aap 10th pass karne ke baad de sakte hai. Unke baare me janne ke liye neeche diye gaye kisi bhi post me click kare.

 

Umeed karte hai ke aapko ab samajh me aa gaya hoga ke Indian Army Soldier Clerks Exam kaise dete hai aur isme kya kya poocha jaata hai.

Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

2 thoughts on “Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam ki sahi jaankari”
  1. Hello…mera name Bhupendr hai mene 12th Commerce paas kiya hai…but mere 10th or 12th me presented kam hai or maths me bhi thoda kmjor hu….lekin me excise me feet hu….kya me bhi Army join kr skta hu….koi upaay bataiye…

    1. sahitarika says:

      Ha Bhupendr aap Indian Army Join Kar sakte hai. Waise written exam toa dena hoga aapko, jisme Maths bhi poocha jayega. Sawaal bahut jada mushkil bhi nahi hota hai. Agar sahi se sirf 3 mahine aap padh le toa aap exam me pass kar sakte hai. Bina Maths exam diye bhi aap Army me join kar sakte hai, baaki bhi kai post hote hai waha.

      Lekin agar aap tayyari kar ke denge toa aapko jada fayeda milega.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *