Indian Army Soldier Clerks Exam ki sahi tarike se jaankari

Agar aap Indian Army me jaana chate hai toa 10th class karne ke baad hi isme aap Apply kar sakte hai. Isme koi shaq nahi hai ke Indian Army aapko ek sunehra bhaishye deta hai aur izzat bhi. Neeche like hue article me aapko Indian Army Soldier Clerks Exam ki sahi tarike se jaankari di jayegi.

Indian Army Soldier Clerks Exam ke baare me jaada jaankari neeche sahi tarike se batayi gayi hai.

Eligibility: Aapki shaadi nahi honi chaiye. Single loag isme Apply kar sakte hai. Indian aur Nepal citizen dono isme Apply kar sakte hai.

Qualification: 10th Pass hona zaruri hai.

Age: Aapki umar 16 se 23 saal tak ke beech honi chahiye.

Body Structure: Aapki Height 167 cms, aapka weight 50 KG aur chest 77.82 cm ka hona chahiye, tabhi isme aapchayan kiye jayenge. Ha kuch caste waalo ko thodi se riyayat yaani relaxation di jaati hai.

Form Procedure: Aawedan patr yaani Application form free me available hoti hai. Aap chahe toa ye Recruitment Offices, District Collector's Office, Zila Parishads and Employment Exchanges se le sakte hai.

Selection ka Tarika:  Paper 1 , 45 minute ka exam hota hai jisme 100 marks ke question pooche jaate hai. Jo isme select hote hai unko Paper 2 ke liye bulaya jaata hai.  Isme aapko General Intelligence, Mathematical Aptitude aur General Knowledge ki jaankari honi zaruri hai.

Paper 2 bhi 45 minute ka exam hota hai jisme 100 marks ke question pooche jaate hai. For 50 Marks ka alag se English bhi poocha jaata hai. Aapko Ek paragraph kam se kam 15 sentence ka likhna padta hai. 3 options milenge unme se kisi ek pe, jo ki 20 marks ka question hota hai.  Fir aapko Comprehension ka jawaab dena hoga, joki ek paragraph diya hoga usme se sawaalpooche jayenge, aapko bus jawaab dena hoga, ye 15 marks ka hota hai. Fir English Grammer Poocha jayega, jisme Common Errors. Narration, Voice, Articles, Propositions, Transformation of Sentences jaisi cheeze poochi jayengi. jo 15 marks ka hota hai, aur last me Maths se sawaal bhi honge jo ke 50 Marks ka hota hai.

Selection unka hoga jiske marks jada ayenge.

Kuch Zaruri Baat:  

Paper 1 Objective type ka hoga jisme ek sawaal ke 4 options honge aapko bus sahi option ko choose karna hai, e sawaal aapke marzi ke anusaar Hindi ya English me hoga jise aap choose kar sate hai.

Paper 2 me koi options nahi honge balki aapko pura jawaab khud se likhna hoga. Aur jo isme select hoga usi ko Interview ke liye bulaya jayega.

Army ke iss Career ke fayede

waise toa kai fayede hai, magar aapka Khaana Free, Kapde free, rehna Free, bimaari ka ilaaz free na sirf aapke liye balki aapke ghar waalo ke liye bhi, loan ki suwidhaye, canteen ki suwidha aur bhi anek fayede yaani benefits hai Army job me.

Indian Army ke aur bhi exams hote hai jo aap 10th pass karne ke baad de sakte hai. Unke baare me janne ke liye neeche diye gaye kisi bhi post me click kare.

Umeed karte hai ke aapko ab samajh me aa gaya hoga ke Indian Army Soldier Clerks Exam kaise dete hai aur isme kya kya poocha jaata hai.

Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

 

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

6 thoughts on “Indian Army Soldier Clerks Exam ki sahi tarike se jaankari”
  1. Chintu Mishra says:

    Sir mere English me 25 no hai kya mai army gd me ja Sakta hu

    1. Aapko 10th yaani Matric pass karna hoga saare subjects me. Tabhi aap Indian Army me select ho sakte hai.

  2. Sir me matric pass Kar liya hai Mera parsant hai 62hai me inter ka v Diya hai jisme Mera parsant 45hai tho me Indian army ka from bar Sakta hoo

  3. suraj Yadav says:

    Army clerk me maith aur English me kitna number chahiye

  4. suraj Yadav says:

    Form bharne ke liye English aur maith me kitna number chahiye

Leave a Reply