12 ke baadcareer option

12 class yaani aapke jeewan ki ek nayi Shuruaat. Har Koi apni ruchi ke anusaar ek Career Option choose karta hai. Bahut se loago ko 12 class Karne Ke Baad “Career Options” Kya Hai. Uski sahi jaankari nahi hai. Iss Blog ke dwara hum aapko saare Options ke Baare me batayenge.

Jin Students ne PCM yaani “Physics Chemistry Mathematics” liya hota hai. Wo Padhai puri hone ke baad. Engineering, Pharmacy, Architecture, Law, Management, Fashion, Textile, Social Work. Aur bhi bahut se Padhai ke Options hai.

PCM Se 12 Class Karne Ke Baad “Career Options” Kya Hai

PCM se 12 Class Karne ke Baad. Aap neeche diye gaye kisi bhi field se. Padhai Jaari rakh sakte hai. Waise toa list bahut lambi hai. Lekin hum aapko Top 10 “Career Option” ke baare me batate hai.

1. ENGINEERING

Engineering
image credits: gazettereview.com

Sabse jada popular Engineering hi hai. Ye 4 Saal ka Course hota hai. Aur aap neeche diye gaye list ke anusar. Apna Subject (Branch) choose kar sakte hai.

  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Computer Science
  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Mechanical
  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Electronics and Tele-communication
  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Electrical
  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Civil Engg.
  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Information Technology
  • B.Technology/Bachelor of Engineering in Dairy Technology
Ye Bhi Padhe: Padhai Karne Ka Sabse Aasaan Aur Sahi Tarika

Waise toa ye saare Branches sabse jada popular hai. Lekin aapke paas aur bhi jada Options hote hai. Engineering karne ke liye. Jaise ki Marine, Aerospace, Agricultural, Petroleum, Automobile, Biochemical, Bio Medical, Biotechnology, Bio Instrumentation, Bio Informatics, Chemical, Environmental, Food technology, Fire, Leather, Mining & Metallurgical, Nano technology, Printing, Plastic & polymer, Rubber, Genetic, Textile etc.

Admission Lene Ka Tarika:

Aapko “Competition Examination” Jaise Ki IIT-JEE, GATE, UPSEE, BITSAT, State level aur College ke entrance test dena hoga. Achcha Rank aane pe achche college milenge.

2. Architecture

Architecture
image credits: eduadvisor.my

Bachelor of Architecture Jise Short me (B. Arch) bhi kehte hai 5 saal ka course hota hai.

Admission Lene Ka Tarika:

Aapko “Competition Examination” Jaise Ki IIT-JEE, GATE, UPSEE, BITSAT ke entrance test dena hoga.

Ye Bhi Padhe: Kya Banne ke liye kis cheez ki padhai karne ka sahi tarika kya hai

3. Merchant Navy

Merchant Navy
image credits: VidyaSarathi.com

Isme Teen Option hote hai, jo neeche bataye gaye hai:

  • Higher National Diploma  (HND) Nautical Science Ya Marine Engineering Jo Ki 1 saal ka  course Hai.
  • Bachelor of Science in Nautical Technology  Jo ki 4 saal la course hai. Isme 3 Saal training hoti hai college me aur  1 saal Samundar me Training hoti hai..
  • Bachelor of Technology in Naval Architecture and Ship Building.

Admission Lene Ka Tarika:

Competition exam jiska naam hai “All India Merchant Navy Entrance Test” (AIMNET). Ise acche number se paas karna hoga. Isme Aankho ki roshini aur health ki bhi jaanch hoti hai.

Ye Bhi Padhe: Indian Navy Artificer Apprentices Exam ki sahi jaankari

4. Commercial Pilot

airplane
image source: apnaahangout.com

Isme Commercial pilot training hoti hai, Aviation Institutes in India ke dwara.

Isme BSc in Aviation Sciences chahiye hota hai.

Admission Lene Ka Tarika:

Admission hota hai all-India written test se, Pilot Aptitude Test se jise (WOMBAT) bhi kehte hai Aur interview se. Isme Aankho ki achchi roshini aur achchi Health bhi chahiye.

5. Bachelor of Science (B.Sc)

Bsc

BSc kiya ja sakta hai Physics, Chemistry, Mathematics, Astronomy, Forensic Science, Geology, Statistics, Industrial chemistry, Nautical Science, Home science, Nutrition, Clothing and textile, Extension and communication, Environmental science, Human Development and Family studies (BSc),  fashion design, fashion technology Aur bhi bahut se Subjects hote hai.

Admission Lene Ka Tarika:

Merit based admission, few institutes conduct entrance exam.

Ye Bhi Padhe: Indian Navy Dock Yard Apprentices Exam ki sahi jaankari

6. National Defense Services-Indian Navy Officer, Indian Air Force 

Land, Navy, Air Army
image source: indianexpress.com

Is course ko short me NDA bhi kehte hai. Ye ek Full time course hai, jo “Redidential Undergraduate Program” bhi kehlata hai. Inme se pass hue students ko “Baccalaureate Degree” di jaati hai. Isme 3 saal ki Padhai ke baad, Students ke paas do stream ke Study ka option hota hai.

Pehla  “Science Stream” jisme Physics, Chemistry, Mathematics aur Computer Science padhan hota hai. Dusra The Humanities (Liberal Arts) stream jisme History, Economics, Political Science, Geography aur Language ki padhai karni hoti hai.

Admission Lene Ka Tarika:

National level NDA ek Competitive Exam hai, isme achche number laane honge.

Ye Bhi Padhe: Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam ki sahi jaankari

7. Railway Apprentice Exam

SCRA Exam
image source: rrbportal.com

Iss exam me se select hue Students ko 4 saal ki training di jaati hai.  Isme Na Sirf Mechanical Engineering ya Mechanical Engineering ki Padhai hoti hai. Balki Students ko Leadership positio ke liye Indian Railways me Class 1 Officer ke liye bhi train kiya jaata hai.

Admission Lene Ka Tarika:

All India Special Railway Apprentice Exam dena hota hai. Jise UPSC conduct karwati hai.

Ye Bhi Padhe: Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam ki sahi jaankari

8. Business Administration and Management Studies

BBA
image source: acegoals.com

Business Administration and Management Studies, jise B.B.A bhi kehte hai. Aapke ke paas do options hote ha Course ke jo neeche bataye hue hai:

  • Bachelor of Business Administration (BBA)
  • Bachelor of Management Studies (NMS)

Admission Lene Ka Tarika:

Admission test se aapka Admission hota hai. Ya 12th me aaye hue Marks ke basis pe. Bahut se Colleges me Sports Quota ya Management Quota hota hai. Waha se bhi aap admissions le sakte hai.

9. Commerce

Commerce
image credits: vbu.ac.in

Jinki Ruchi Commerce me hai, wo iski padhai jaari rakh sakte hai. 4 Main streams hote hai jo neeche bataye gaye hai.

  • B.Com- (3 years)
  • Banking and Insurance (BBI-3 years)
  • Charted Accountancy (CA)
  • Company Secretory (CS)

Admission Lene Ka Tarika:

Admission B.Com me merit list ke anusar hota hai. CA/CS yaani Charted Accountancy aur Company Secretory ke liye National Level ka Exam dena hota hai.

Ye Bhi Padhe: Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam ki Sahi jaankari

10. Arts and Humanities

arts and humanities
image credits: altoona.psu.edu

Sabse Popular Bachelor of Arts hota hai, jise B.A bhi kehte hai. Isme Psychology, Sociology, Foreign languages, Travel & Tourism Courses, English, Archeology etc. Jaise subjects hote hai.

Baaki Aur bhi Subjects hote hai jisme aap ani padhai / degree ke saath kar sakte hai. Unke naam neeche bataye gaye hai.

  • Physical Education  (BPE)
  • Mass Communication and Journalism
  • BFA Performing Arts (music/dance)
  • Business Administration and Management Studies (BBA, BMS- 3 years)
  • Social Work (BSW- 3 years)
  • Law (Integrated Masters in Law Course-5 year; LLB- 3years)
  • Hotel Management (BA/BSc)
  • Designing Courses (Interior design, product design, etc. Diploma or BSc)
  • Mass-media/ Journalism Courses (BA, BMM)
  • Film/ Television Courses (BA, BSc)
  • Diploma Courses. Jaise ki Polytechnic, Merchant Navy, Event Management, Hospitality, etc.)

Admission Lene Ka Tarika:

Admission Ya toa Merit pe hota hai, 12th ke aapke Marks pe. Kuch College Entrance Test bhi lete hai, jise aapko dena hota hai. Kafi jagah All India Entrance exam bhi dena hota hai.

Hum Umeed karte hai ke aapko iss blog se kaafi jaankari mili hogi. Aur aapko ye bhi samajh me aa gaya hoga ke PCM Se 12 Class Karne Ke Baad “Career Options” Kya Hai. Agar aapka koi sawaal hai ya aap adhik jaankari chahte hai toa aap hme email kare ya Comment me pooche.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

2 thoughts on “PCM Se 12 Class Karne Ke Baad “Career Options” Kya Hai | Sari Jankari”

Leave a Reply