Ravi Shankar Prasad with Mark ZuckerbergRavi Shankar Prasad with Mark Zuckerberg Image Source: www.ndtv.com

Facebook ek esi social website hai jiske bare me har koi jaanta hai aur iska istemal bhi karta hai. Aaj hum aapko facebook se judi kuch esi baatein bataenge jinhe sunnkar aap hairaan ho jaenge. India Ka Facebook Par Attack! Jaane Kyu Mark Zuckerberg Ko India Aana Pada pada.

Haal hi me facebook se judi ek khabar saamne ayi thi. Jisme British Consulting Companies ne Facebook ki data sambhalne vali company (Cambridge Analytica) par aarope lagaya. Ki 50 million facebook istemal karne vale users ka data chor kiya gaya tha. Aur iss data ka istemaal United Kingdom aur America me hone vale elections me kiya gaya tha.

Yeh Bhi Padhein: Ye Bade Stars hue Ambani Ki Party Me Shamil Dekhe Tasveere

Iss baat ka pata chalte hi India ne facebook ko aur uski data sambhalne vali company (Cambridge Analytica) ko ek Legal Notice bheja. Jisme India ne Cambridge Analytica se kuch sawal puche hai. Jinka jawab company ek hafte baad yaani ke 30 march tak degi.

Ye india ka ek bohat hi accha kadam hai brashtachari netaaon se chutkara dilane ka. Humare desh ke minister Ravi Shankar Prasad ne facebook ke data ko handle karne vaali company ko “badmaash data vishleshan sansthaa” kaha hai. Aur ye bhi bataya ki vipakshi dal iss sansthaa ka istemal kar rahe hai. Iss baat ka jawab dete hue congress member ne mr.prasad pr bharat ki janta ka dhyaan bhatkane ka arop lagaya.

Yeh bhi Padhein: Swadisht Chilli Paneer Kaise Banaye | Jaane Banane Ka Sahitarika

Mr.Prasad ne ye bhi bataya ki Mark Zuckerberg ke saath meeting me hui baaton se. Aur unke diye gaye interview se lagta hai ki Mr.Zuckerberg samjh gaye hai ki unse kya galti hui hai.

Mark Zuckerberg ne humare desh ke minister Mr. Prasad ko yakeen dilaya ke veh facebook me kuch ese nayi khoobiyaan dalenge. Jinse facebook use karne vale loago ka data surakshit rahe.

Mr.Zuckerberg ne facebook use karne vale loago se maafi bhi maangi  aur facebook par security badhane ka vaada kiya jisse facebook use karne vale loago par koi problem na aye. aur unki information kisi galat haathon me naa jaye.

Yeh Bhi Padhein: India Me Launch Hua Oppo F7 Jiska Selfie Camera Hai Behad Shaandar

Aajkal har koi insaan facebook ke bare me janta hai aur use karta hai. Facebook par account banana ke liye kuch information dalni padti hai jese ki phone number, naam, e-mail id etc.

Tou aap socheiye ki facebook ke pass isi prakar ka kitna data hoga. Agar ye data kisi galat haatho me pad jaye tou veh ek desh ke political system ko kharab kar skta hai.

Bharat ka ye kadam acche bhavishya ko darshata hai.  Bharat me mr. Prasad jese politician hone chahye. Jinhe kam se kam ye tou pata hona chahye ke aajkal desh videsh me kya chal raha hai.

 

Aasha karte hai ke ye article   “India ka facebook par attack! Jaane kyu Mark Zuckerberg ko India aana pada” accha laga hoga. Aur bhi jaankariyon ke liye jude rahiye Sahi Tarika se.

By

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *