income-taxwww.indiatvnews.com

Aajkal har koi Income Tax bharna jaruri samjhta hai. Kyunki aajkal humare desh ki government ne kuch kathor punishment nikali hai Income Tax na bharne valo ke liye. Kya aap bhi hain Income Tax Notice Se Pareshan! tou aaj apko hum Sahi Jaankari denge ke kese Income Tax notice ko handle kiya jaye.

Aapke paas jab bhi kabhi Income Tax Notice aye tou bilkul bhi panic nahi hona chahye. Notice aane ka reason aur ussey nipatne ke samadhaan par dhyaan dena chahye. Aaj hum apko ek esi list ke bare mein bataenge jisme kuch kaaran( Vajaah) likhi hai jiske liye apke pass bhi Income Tax notice aa skta hai.

Yeh Bhi padhein: Income Tax File Kaise Karein

SECTION 139

Section 139 ke andar kuch ese important points aate hai jiski vajah se kisi ke pass bhi Income Tax notice aa sakta hai. Toa Aeiye jaante hai in points ke barein mein.

  • Agar aapne galat ITR form Istemal kiya hai.
  • Aapne bacha hua Income Tax nahi bhara hai.
  • Agar aapne Income Tax kum karane ke liye claim kiya hai aur aapne apni salaana income show nahi karayi hu hai tou iss case me bhi apko IT notice asakta hai.
  • Agar Incomme Tax ke form par jo naam hai vo pan card vaale naam se match nahi hota hai.
  • Aur aap Taxe Bharte ho par aapne apni incoe show nahi karayi hui hai.
  • Time limit notice ka jawab dene ke liye (15 days)
  • Agar aap Notice ko andekha karte hai tou aapki koi bhi transaction valid nahi hogi.

Kya Karna Chahye?

  • Income Tax ki website par jaeye (https://incometaxindiaefiling or gov.in/e-Filing/)
  • Sahi saal ka sahi ITR form download kijiye
  • kuch options diye gaye hue hai unme se aapko ‘In response to a notice under Section 139(9) select karna hai.
  • Fir from me sari jaankari bilkul sahi sahi bhar dijiye aur form ko website par ‘e-file par select karke upload kar dijiye.

 

SECTION 245

Apko section 245 ka notice tab aasakta hai jab aapne kuch tax ko refund karne ke liye claim kiya hai. Par aapke upar pehle se hi kuch Income Tax bacha hai. Iss case me AO dwara apko refund karne vale amount me se bache hue tax ki raashi kaat kar de di jaati hai.

kya karna chchaye?

  • Iss case me aapko sabse pehle apne bhare hue tax ka record check karna chahye.
  • Aur pata lagana chahye ke notice me lage hue ilzaam theek hai ya nahi.
  • agar aapke upar tax bacha hua hai tou, accountants se baat karke bhariye.
  • Income tax ki website khol kar dekhiye usme ek option hoga ‘Response to Outstanding Tax Demand’.
  • Uske baad aapke saamne teen option aenge.

Yeh Bhi Padhein: GST Goods And Services Tax Ki Sahi Jankari

  1. ‘demand is correct’ (Agar aapko lagta hai ke notice aane ka reason sahi hai. Toa pehle option par click karein.)
  2. ‘demand is partially incorrect’ (Agar aap sure nahi ho notice ko lekar, toa dusra option par click karein.)
  3. if you ‘disagree with the demand ( aur agar apko lagta hai ye galat hai tou teesre option par click karke notice ka jawab dijiye.)

SECTION  143 (1)

Iss section ke andar aane vaale notice ka reason hai. Tax ka sahi amount na bharna. islye aapko iss notice ke aane ke baad seedha apne records check karne chahye. Aur jitna amount bacha hai ussey bhar dijiye.

Iss section me teen type ke Notice aate hain:

  1. Intimation ( kisi cheez ke barein me batana ya fir clue dena): iss notice ke dwara aapko bataya jaat hai ki apki final assessment ki calculation AO’s Computaion se match kar chuki hai.
  2. Refund: isme AO”s ki calculation ke mutabik aapke dwara bhara hua jyada tax refund ho jaega.
  3. Demand: yeh notice tab bheja jaata hai jab aapke dwara tax nahi bhara jaata. tab iss notice ke jariye aapko aadesh diya jaata hai ke 30 din ke andar apko tax bharna hoga.

kya karna chahye?

  • Iss section ke andar aaye hue notice ke liye aapko sabhi kanooni kaam karne honge jese ke
  • agar aapka tax bacha hua hai tou ussey bhariye sabse pehle.
  • aapne jayda tax bhara hai tou refund ke liye claim kaijiye.

Yeh Bhi Padhein: Apne Aadhar Number Ko EPF Account Se Kaise Link Kare | Sahitarika

SECTION  143 (1A)

Iske andar aane vaale notices ka reason hota hai ki aap apni return me di gayi hui income ko galat thehratein hain.

kya karna chahye?

Aapko tax filling portal kholna hoga, usme e-proceeding section ke andar apko explain karna hoga ke aap iss baat ko kyu nahi maan rahe hain. aur jaruri documents or saboot apko upload karne honge.

SECTION 143 (2)

iss section ke andar aane vale notice ka ek hi kaaran hai ke aapne jo section 143 (1A) ke andar. Tax Filling portal kholkar, usme e-proceeding section ke andar jo explain kiya tha. ussey income taxt officer satisfy nahi hua. aur na hi ussey vo documents aaur saboot sahi lage.

Kya karna chahye?

Aapko aapne saare Income aur kharche vaale documents collect karne honge aur haan iss case me jab bhi aapko income tax bulaya jaye tou aapko jaana padega. iss notice ko ignore karen se aapko bohat nuksaan ho sakta hai.

 

SECTION 148

Iss section ke dwara ek notice jaari kiya jaata hai. Jisme income tax adhikaari sochta hai ki kuch tax bharne se bach sakta hai tou aapko uss saal ke liye dubara se return daakhil karne ko kaha ja sakta hai.

kya karna chahye?

Income tax adhikari ke mutabik aapko return ki ek nayi file sambadhit saal ke saath daakhil karani hogi.

SECTION 234

ye ek naya aur anokha section hai jo ke income tax act me abhi kuch saal se aaya hai. Iske mutabik agar koi bhi insaan apna income ka tax bataye hui date ( July 31) ke baad bharta hai. toa usko 5000 rs extra penalty ke taur par dena hoga. aur agar koi insaan tax bharne vaale saal ke akhiri din (DEC 31) ke baad tax bharta hai tou ussey 10000 ka penalty bharna hoga.

Toa ye the kuch jaruri jaankari vaali baatein jinke baarein me bharat ke loago ko pata hona chchye. agar aapko ye blog”Income Tax Notice Se Pareshan! Jaane Sahi Jaankari”  accha laga ho tou please ye jaankari aapne dosto aur rishteydaaron ko bhi dein.

By

Leave a Reply