Foreign language seekhna bahut upyogi hota hai. Ye hume humari personality develop karne me bahut help karta hai. Agar hum confident hai ke hume seekhna hai toa hum seekhnge hi. Isse aur kai faide bhi hai, jaise ke ye bahut sare government jobs me bhi help krta hai aur private jobs toa bahut aasaani se mil jaati hai.
hai, hume multilinngual banata hai jo ke ek unikness hai. Yaha mai aapko ye bataunga ke ek foreign language ko ek bahut saral tarike me kaise seekh skte hai.
janiye ke aapne language kyu chuna hai aur Isme Kya Fayeda Hai
Agar aapne koe language choose keya hai to uska scope bhi janna jaruri hai,jaise ke agar aapne japanese choose keya hai to apko pta hona chaheye ke iska companies me kaisa demand hai or is language ke history kya hai,us language or jagah ke history,aur language ka kya career scope hai.sahi jaankari aapko language seekhne me motivation degi.
Ek saathi khoje
ek aese partner ko khoje jo same language padh rha ho ya janta ho,wo aapke bht help kar skta hai,language ek practical cheez hai aur agar ise practically seekhne ke koshish ke jae to bht achi cheez hai ,isse agar bol kar practise keya jaye to issebehtar kuch naihi hai ,isse apke fluency bhi badhege aur aapko naye vocabulary ka bhi pta chalega.
language se khelna seekhe,have fun with it
language ko sahi se use karna seekhe .ek he language ko hm kai tarike se bolte hai jaise ke kabhi bht tez kabhi dhere ,to hme isse khelna seekhna h, jaise ke agar hm songs us language me he sunenge aur practise karnge to hmari tarakke hogi.bina language ke hm kuch bhi nhi hai,yhi ek zariya hai baatoon ko jatane ka,hme apne curiosity badhani hogi aur language ko seekhmna hoga
listen first , then speak
Agar aap kisi ke baat dhang se sun nhi paoge to jawab bhi nhi de paoge,islea phle sunna bht important hai,practise krne waqt hme hmesha ek good listner hona chaheye, hm log songs ko bhi repeat kar skte hai aur naye vocabularies seekh sakte hai.
Take help of internet
internet ka help le sakte hai,aaj kal internet pr har kuch mil jata hai.waise he language seekhne me bht help mil skte hai isse.aap language ke bare me har details internet pr khoj sakte ho.yha tk ke internet ke through aap language ke practise bhi kar skte ho.aese bht sare sites hai jaise ke spanishdict.com
pocket dictionary
ek pocket dict apne paas rakhna bhi ek bht acha tarika hai,agar aap kahe travel kar rahe ho aur aapko achanak se aesa kuch dikha jiska ki aapko apne language me nhi pta hai to aap usi waqt usko use kr skte ho.travelling krte waqt bhi aap ise padh skte ho jaise ke metro me.
Grammer bhi hai bht zruri
Grammer section ko koe ignore kar he nai sakta ,kyuki agar grammer galat to sentence ke meaning khatm ho jate hai,is lea grammer pr dhyan dena bht zruri hai.iske lea hm grammer practise kar skte hai or songs sun kr poem padh kr ise samajhne ke koshish kar skte hai , we should consider talking to a native person.native blkl correct excent me bolte hai ,aur unse baat kr ke hmare andar fluency aur motivation.
so guys hope hai ke is article ne apki help kre hoge .stay connected for more updates. language can only be learned if practised.so ise practise krne me koe kasr na chore ,work hard and play hard.