Aaj kal sabhi loag English bolna chahte hai khas kar vahe log jo convent me nahi pade hai. English bolna prestige symbal mana jata hai. parantu hamko yeh nahi maalum ki English bolene ka sahi takira kya hai? is se sambandit kai kitabe aur spoken institutes kaam kar rahe hai aur bhaari fees aur time kharch karne ke baad bhi kamyabi nahi milti. hamari English bolne ka sapna, sapna hi rahe jata hai.
English seekhne se pahle kuch baton ka dyaan dena chaiye, jo Neeche Batayi Gayi Hai.
- Sabse pahle is baat ka dyaan dena chaiye ki aapka sabd gyan kaisa hai, bina sabd gyan ke kisi bhi bhasha ko seekhana muskil hi nahi na mumkin hai. isliye dheere -2 apne sabd gyan ko badaye, is kaam par jaldbaazi nahi kare aur isko manoranjak banaye.
- Dosara aur sabse mahatpurna kaam hai English ko sunna, bina sune kisi bhi bhasha ko bola nahi ja sakta, aaj aap koi bhi bhasah bolte ho uska kaaran keval sunna hi hai. sunte -2 wo bhasha aap bolene bhi lagte hai. sunane ke liye aap kai mediums chun sakate hai, chaye wo TV ho, Audio ho, ya phir internet.
- Teesra tarika hai soch me English ka hona, kisi bhi baat ko bolne se pahale dimaag me lane ki jarurat padti hai. ye kam karne ke liye aap kisi picture ko dekh kar English me sochne ki practice kar sakte hai.us se sambandit sabd gyan ko badaiye aur dheere-2 bolne ki kosis karni chaiye. isme thoda samay lag sakta hai parnatu ye tarika bahut kaam ka hai yakeen maniye.
- Jyada grammar padna aur samajna kargar nahi hota, khaskar English bolne ke liye. is liye grammar ko suruaat mai avoit kijiye. jyada grammar aap ko bhramit karti hai aur aap sahi aur galat mai pad jate hai.
- English ke jyada se jyada idioms and phrase ko yaad karne ki kosish kare aur unhe bolne ki kosish kare.
Ye aasaan tarike hai, koi bhi ye tarike apna kar English bolne ki suruaat kar sakta hai.
Umeed karte hai ke aapko iss blog ko padhne se kuch madad mili hogi aur kuch seekhne ko mila hoga. Agar aap kuch poochna chahte hai toa comment me pooch sakte hai. Iss blog ko share kare taaki aapke dost loag bhi seekh sake.
Mubasshera Javeed Ahmed