Truecaller ek esa app hai. Jise Pure world me pata nahi kitne log Use kar rahe hai.Jab bhi kisi anjan number se aapke pas call aata hai. To Truecaller aapko us insan ke baare me bata deta hai.Kabhi kya hota hai ki jo number aap istemaal kar rahe hai.
Us number ko aapse pahle kisi ne istemaal kiya ho.To usi ka name aapke number par aayega. Jab bhi aap kisi ko call karte ho to.Kyoki truecaller wahi information apne database me store kar chuka hota hai.To agar aap yah chahte hai. Ki aapke number se name delete ho jaaye.To uske liye aapko apna ccount delete karna padega.
To aaiye jante hai Ki apne number ko Truecaller se kaise remove karte hai.
Truecaller Account Close Kare-
Android Mobile’s me-
Truecaller app Open kariye.
Ab uper left side me pipul icon par click kare.
Settings me jaaye.
Ab Privacy par click kare.
Down me deactivate account par click kare.
iPhone Me-
Truecaller app Open kariye.
Ab right side me gear icon par click kijiye.
Ab about Truecaller par jaye.
Ab down side me deactivate karde.
Window’s Mobiles Me-
Truecaller app Open kariye.
Ab Downside me right side me 3dot’s wale icon par click kijiye.
Ab Settings me jaaye.
Ab Help par jaaye.
Account deactivate kare.
Truecaller Se Apna Account Delete Karne Ke Baad Apne Number Ko Aise Kare Remove-
- Sabse pahle Truecaller Unlist page par jaaye.
- Ab country code ke Sath Apna number enter kare.
- Ab unlists Karne ke Liye option choose karke reason btaye.
- Verification captcha enter kare.
- Ab Unlist pr click karde.
- Ab Unlist karne ke baad aapka number 24 hours me truecaller se remove kar diya jayega.Iska matlab yah hai ki ab truecaller se aapka number delete ho chuka hai.Aur jab bhi aap kisi ko call karte ho to uske pas aapka koi address,name kuch bhi nahi jayega.
Yah bhi Jane-
Twitter Par Account Banane Aur Deactivate Karne Ka Sahi Tarika
Video Maker Se Video Kaise Banaye Aur Music Kaise Add Kare
Kya Surakshit Hai Aapke WhatsApp Ki Jankari Ya Ho Rahi Hai Chori
Yahoo.com pe email ID banane ka sahi aur aasaan tarika