Naya coronavirus aapki zindagi mein kya mayne rakhta hai. Aaapko ye jaan ke bahut hi hairat hogi ki UK mein coronavirus ka naya Strain mila hai jo ki purane covid se bhi zyada khatarnak hai. Rajasthan me 1001 naye cases aae hai jisme se 8 ki ab tak maut hogae hai.

Pichhle ek saal hum kafi pareshan rahe. Is mahamari ke chakkar mein kai logon ka dhandha chaupat ho gaya ,humen lockdown ka samna karna pada. Bahar se logon ka nata tut gaya.

Log bhukhe pyase bas is intezar me the ke kab humen is lailaj bimari se nijat mile. Ab humen jab lagne laga tha ki December ke bad jaise hi vaccine banega hume is bimari se nizad mil jayegi.

Lekin hal hi mein humen ye pata chala hai ki UK mein ek naya Strain aaya hai joki purane corona virus se bhi jyada teji se phail sakta hai.

Iske maddenajar Sarkar ne kai faisly liye hain, ismein thodi si shakti badhane ko bhi kaha gaya hai. Abhi hal hi mein Bharat mein kuchh UK se aaye logo main ye Virus ki pushti hui hai jiske bad desh mein red alert hogya hai.

Pradhanmantri Shri Narendra Modi ne kaha hai ki har state thodi sakhti barte taki fir se humen un purane daur se na guzarna pade..

England ke chief Chief Medical Officer Chris Whitty ne kaha hai ki naya strain bahut hi jyada teji se fail sakta hai aur ye 60% new infection ka zimmedar hai jo abhi London mein hai.

Abhi Monday ko WHO ke epidemiologist ne kha hai ki unhone suna hai ki ye 70 % teji se phail sakta hai .

Ye naya Covid Strain UK ke alava Denmark, Belgium, Netherlands, Italy and Austrailia me already achuka hai.

Nae Covid String Ke Symptoms- Covid 19 Syptoms

Covid 19 ki vaccine ki news se logo ko jitni rahat mili thi. Is naye String ne utna hi darr phaila dea hai. Scientists aur medical researchers lagatar is disha me kaam ker rhe hai. Unhone is naye Covid string ke 7 bade symptoms batae hai .

Is naye String ka naam “VUI 202012/01” dea gya hai. Covid 19 ki tarah fever, dry cough aur taste aur smell ka pata na chala important symptoms hai. Iske alava niche dea gae symtomps bhi is Naye Covid Strings ke hai:

  1. Fatigue (Thakan)

2) Loss of appetite (Bhuk na lagna)

3) Headache (Sir dard)

4) Diarrhoea

5) Mental confusion

6) Muscle pains ( Maspeshiyon me dard)

Covid Me Surakshit Kyse Rahe

Sabse zaruri baat hai ke apko preshan hone ki bilkul bhi zarurat nhi. Ap bas bhut zarurat padne per hi bahar jae. Bahar nikalte samae government ke btae nirdesho ka palan kare.

Vapas aane ke bad apna mask kis surakhshit jagha pe rakhe aur ache se hath dho le. Khane pine ka dhyan rakhe aur achi nind le. Isse apki immunity bani rahegi aur ap is bimari se duur raheaga.Immunity badhane kelea ap Nariyal pani aur hari sabjiyon ka sevan kare, daily garam pani ka bhap lene ki adat dale.

Agr sources ki mane to January tak Covid ki dava tyyar hojaegi. Lekin hume bilkul bhi nirash nhi hona hai. Balki milker is bimari se ladne ki zarurat hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply