Microsoft Word Online Sikhe

Microsoft Word ek bahut important software hai aapke computer ka. Isme aap apna resume bana sakte hai, kuch likh ke save kar sakte hai. Isme bahut saari cheeze jaan sakte hai. Ye use karne me bahut aasaan hai. Iss blog ke dwara hum aapko batayenge ke Microsoft word ki basic cheeze jo aapke kaam aayengi. Toa aaiye Microsoft Word Online Sikhe | Basic Commands | Photo Ke Saath.

Jub bhi aap ek naya computer ya laptop khareedte hai toa aap saath me kuch softwares bhi dalwate hai. Taake aap Laptop/ Computer ko achche se use kar sake. Microsoft Word aapke computer me Microsoft Office naam ke software ke dwara install kiya jaata hai. Microsoft Office me Aur bhi bahut se products hote hai, jinki list iss prakar hai:  (Neeche photo me list hai).

Microsoft Word Online Sikhe

Microsoft Office 2007 ek purana version hai, lekin abhi bhi bahut se loag ise use karte hai. Market me Microsoft Office 2010 bhi aa chuka hai aur bahut hi achcha hai. Aap chahe toa use bhi install kar sakte hai. Dono ke basic functions lagbhag ek hi prakar ke hote hai. Jisse aapko sikhne me pareshaani nahi hogi.

Toa Chaliye Microsoft Word Online Sikhe | Basic Commands | Photo Ke Saath 

STEP 1

Sabse Pehle aapko apna Laptop / Computer On karna hoga.   "Switch On"

STEP 2

Ab Aap apne Start Menu me jaye, aur waha Search me Type kare    "Microsoft Word"

STEP 3

Ab Microsoft Office word khul jayega. Jo neeche diye hue photo ki tarah dikhega.

Microsoft Word Online Sikhe

STEP 4

Jo White Screen hai Photo me. Waha pe aap kuch bhi likh sakte hai.  Aap apne mouse / cursor ko waha le jaake click kare, aur kuch bhi likhe. 

Humne apne pichle Blog me aapko bataya thha ke Microsoft Word Use Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika . Agar aapne nahi padha ho, toa iss link pe click kare (Ye naye Taab me khul jayega). Iss blog me bahut se Shortcuts ke baare me bataya gaya hai jo, aapko Microsoft Word Sikhne me bahut madad karenge.

STEP 5

Ab aap neeche diye gaye Video ko dekhe. Aur saath hi saath khud bhi sikhne ki koshish kare. Jaisa bataya ja raha hai Waisa.

 

Microsoft Office me hi Power Point Presentation bhi hota hai. Jise aam taur pe loag PPT bolte hai. Humne uske baare me bhi ek Blog Likha hai, jise aap abhi dekh sakte hai. Computer Me Powerpoint Pe Presentation Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika. (Ispe click karne se ye naye Tab me khulega)

Hum Umeed karte hai ke aapne Iss blog ke dwara aaj zarur se kuch sikha hoga. Agar aap ko kuch aur samajhna ho, ya koi sawaal ho toa bina sankooch ke comment me pooch sakte hai. Hume aapke sawaalo ka jawab dene me bahut khushi hogi.

Microsoft Word Online Sikhe | Basic Commands | Photo Ke Saath  blog ko Social media pe share kare, aur apne dosto ko bhi sikhaye iske baare me. Kyuki Sikhna Bahut zaruri hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply