Ham hmesha kisi bhi document yaa jaruri kaam ki file ko microsoft word mai hi save karte hai. Lekin hame iske kayi features ke baare me nahi pata hai. Ham bas file ya document ko save karke chod dete hai. Waaki kisi cheej par dhyan nahi dete hai.

To aaj ham aapko btane wale hai ki ham word file ko lock ke dwara secure bhi kar sakte hai. Aaiye dekhte hai ki kis tarah se word file me password lgakar lock kare.

  • Sabse pahle aapko jis bhi file ko protect karna hai. Use open kijiye.

  • Word file open karne ke baad aap Icon par click kijiye.
  • Ab aapko prepare par mouse le jaana hai.
  • Uske baad side me bahut saare options aa rahe hote hai. Aapko Encrypt Document par click karna hai.

  • Ab ek Box open hoga usme password dalne ke liye aayga. Aapko usme password dalna hai.Aur Ok par click karna hai.

  • Ab aapka password lag chuka hai. Or aapko btade ki yah password kabhi recover nahi ho sakta hai. Esliye is password ko kahi par note karke rakhe.

Yah Bhi Padhiye- 

Online Transaction Karte Samay In Baaton Par Jaroor De Dhyan

Ab WhatsApp Karega Khud Hi Reply Jaane Kaise | Sahitarika

Facebook Account Ko Deactivate Kaise Kare-Hindi Mai Sahi Jankari

Computer Expert Banane Ke Liye In 7 Steps Ke Bare Padhiye

Ham ummid karte hai ki aapko is tarah se apni files yaa documents ko protect kar sakte hai. Agar aapko hmara yah article achha laga ho to aap ise like or share kaijie. Or hame comment karke btaiye agar aapko is tarah ki anya jankari leni ho.

By

Leave a Reply