Kya aapne kabhi socha hai ki demat Account kya hota hai ? aur ye kese kaam krta hai? Aap logo ne iske bare mein internet per bahut se articles aur posts dekhi hogi per koi bhi website per apko hindi mein jaankari nahi mili hogi. Hum iss blog mein apko demat aacount ke bare mein batayenge, demat Account kya hota hai, isse hone waale fayde or bahut kuch.

 

Demat Account ke dwara he log share market mein share ko kharid skte hain, iss Account ko khulwane ke liye apke paas PAN Card hona chaiye. Bina PAN card ke aap Demat Account nhi khol skte.

 

Kuch saal pehle jab bhi aap kisi company ke share kharidte the to vo company apko unn share se jude kuch papers bhejti thi. Vo papers iss baat ka saboot hote the ki aapne iss company mein nivesh kiya hai aur uss company mein share kharid rakhe hain per Demat Account ke aane se sab badal gya sa gya hai.

To aaiye jaante hain ki aakhir ye demat Account kya hota hai aur ye itna important kyu hai iski poori information vistaar se.

Demat Account kya hai ?

Demat Account logo ke dwara shares ko kharidne or bechne ke liye istemaal hota hai. Jiss tarah log apne bank Account mein apna pesa rakhte hain, theek usi tarah se log demat Account mein apne shares rakhte hain.

Jab hum apne Account se pese nikalte hain to gume pese physically milte hain. Lekin jab tk bank mein hote hain to ve digital currency hote hain. Jab bhi hum Debit card se khi per bhi payment krte hain to ye bhi Digital Payment yaani electronic Money Transfer ka ek format hum istemaal krte hain. Isi tarah jab humare paas Demat Account mein share hai to hum unko kisi doosre insaan ke Demat Account mein digitally transfer kr skte hain. Ese mein humko shares ko physically rakhne ki jaroorat he nhi padti.

Doosre way mein samjhe to shares ko digitally yaani ki electronic way se rakhne ki suvidha ko Demat Account kehte hain. Demat ka poora name “Dematerialize” hota hai.

jese ki humne pehle samjha ki jab hum koi bhi share kharidte the to company apko uss share se jude papers bhejti thi. Ve iss baat ki proof tha ki aapne share mein invest kr rakha hai. Per jab bhi hum apne share bech dete the to bse pehle ve papers company ke office mein jaate the. Vha per company dwara dekha jaata tha ki jab aapne share becha tha to uska bhaav kya tha aur usi ke according aapko pesa milta tha. Ye process kaafi time consuming ke sath sath complicated bhi tha. Isliye most of the people share mein invest krne se bach’te hain.

Lekin aaj ke time mein duniya ne kaafi tarak’ki ker li hai. Apne jese he share kharide, ve kuch he time baad apke Account mein aa jayega. Aur agar aap koi share bech’te hain to uska pesa kuch der mein he apko de diya jaega. Aajkl to aapko computer ki bhi jaroorat nhi hai aapapne mobile se bhi share kharid skte hain.

Demat Accounts ko access krne ke liye apko Password ki need hoti hai aur transaction ke liye apko transaction password dalna padta hai.

 

Zerodha mein apna Demat aur Trading Account kese khole ?

Zerodha  mein ek Demat aur Trading Account kholne ke liye important documents.

Documents jinki jaroorat hoti hai:

  • PAN Card
  • Aadhaar Card
  • 2 Passport size photos
  • Cancelled cheque / Savings Passbook

Zerosha Account kese kholein ? (step by step)

Step 1: Zerodha website per jayein aur ‘Open an Account’ per click krein.

Step 2: Details bharein – full name, mobile number aur E-mail ID jese baaki ki details ko bhi fill up kre aur “call me” per click krein.

Step 3: Apko Zerodha ke local representive se ek call aayegi, aur Account open ke form ko signed krne aur apke dwara documents ekat’trit krne ke liye ve apke saath milne ke liye ek time book krega. Jise ki apko decide krna hai ki aap kab iske liye time de sakenge.

Step 4: apko netbanking ya card ka istemaal kr Account kholne ka shulk dena hoga. Jiski jankari prathinidhi dwara di jaegi.

Step 5: documents submit krne ke baad, apka Demat aur Trading Account 4 se 7 dino mein khola jayega.

Agar aap Share Market mein apne pese invest krna chahte hain tab ese mein aap Discount Broker “Zerodha” per apna Account bna skte hain. Isme aap bahut he jald aur aasani se Demat Account khol usme Share bhi kharid skte hain.

Demat Account kholne mein kitne rupee lagte hain ?

Agar aap soch rhe hain ki Demat Account ko kholne mein kaafi jyada pese kharch krne pdege to aap galat hain. Aap sirf 300 se 700 rupees mein badi he aasani ke saath Demat Account khol skte hain aur shares mein invest krna shuru kr skte hain.

Demat Account ko kholne ke liye apko vese to sirf 300 ya use kuch jada rupee kharch krne padte hain. Per Demat Account ko chalane ke liye DP aap se bhot tarah ki Fees leta hai. Her cheez ke liye ek alag fees leta hai. Ye fees alag alag company mein alag alag ho sakti hai.

Isme sabse pehle jo fees charge ki jaati hai vo hoti hai Account Opening fees.Iske baad aacount ko manage krne ke liye jo fees li jaati hai vo hoti hai Annual Management fees. Yeh Fees company starting mein he le leti hai aur poore saal account ko manage krke uski dekh krti hai.Custodian fees apke share ke number per nirbhar hoti hai. Ya to company is eek baar mein le leti hai ya phir her mahine vasool krti hai. Fees lene ki time period company per depend krta hai.

Transaction fees se matlab hai ki jab aap koi share ka do Demat Account mein adaan pradan kiya jata hia to uske liye company ek shulk ek charge krti hai. Vo shulk share ke number anusaar ya unki keemat ke anusaar ho skta hai.

Agar aap bazar mein naye naye hai to apko ye advice di jayegi ki aap nivesh krne se pehle kisi broker se jaroor help le.

 

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply