Bachelor of Homoeopathic Medicine and Surgery
aajkal Vaatavaran me Pradushan hone ki vajah se boahat se loago ko bimariyo ka samna karna padh rahe hai. Isliye aajkal jyadatar loag Homoeopathi ka sahara lene lage hai.
Homoeopathy shiksha ki shuruat1983 me graduation leve or diploma course ke roop me hui thi. Lekin aajkal Homoeopathy Doctor banne ke liye stuents ko bohat se course karaye jaate hai jinme se sabse jaruri hai BHMS ( Bachelor of Homoeopathic Medicine and Surgery).
iss course ko karne ke liye apko kam se kam 5.5 saal ka samay lagega jisme 1 saal ki internship bhi hoti hai. Itne samay me students is course se judi sari jaruri jankariyo ko acche se samjh lete hai or fir aage chalkar iss field me apna carries banate hai.
Kuch jaruri cheeze BHMS (Bachelor of Homoeopathic Medicines and Surgery) karne ke liye:
- aapke pass 12th class ka passing certificate hona chahye
- BHMS course karne ke liye student ko 12th class vo bhi science subjects (Biology) ke sath kam se kam 50% marks ke sath pass karni hoti hai.
- BHMS course karne ke liye aap Government dwara parmaanit universities and colleges me bhi admission le sakte hai.
- Kuch private collegese aur universities bhi BHMS course karati hai. aap in colleges me admission le sakte hai.