Sports humari life ka aik important hissa hai. Sports Props Aur Equipment Khel Kelea Kyu Important Hai. Jub bache chote hote hai to unhe fine motor skills and gross motor skills sikhna zaroori hai. Gross motor skill me vo bhut se fundamental skills sikhte hai jisme motor skills ke sath sath manipulative skills bhi aate hai aur nonmanipulative skills bhi.

To aj hum baat karenge ki Sports me Props and Equipment ki kya value hai. Sports Props Aur Equipment Khel Kelea Kyu Important Hai

Manipulative skills me props aur equipment ka istemal hota hai. Motor skills aur non manipulative skills sikhna asan hai aur har koe ise istemal karsakta hai. Lekin Manipulative skill me master hona thoda tough hota hai kyuki apko props ko handle kerna hota hai.

Props Kyu Istemal Karte hai

  1. Khelne ki jagah ko gherne kelea aur mark kerne kelea
  2. Kisi bhi sports ki skills ko sikhne kelea
  3. Fitness ko improve kerne kelea
  4. Kisi bhi activity ko interesting banane kelea
  5. Alag alag drills karne kelea
  6. Umr ke hisab se activity banane kelea
  7. Khel ke parati bacho me interest lane kelea

Props Age-Appropriate (Umr ke hisab se) Kyu Hona Chahea

  1. Boriyat duur karne kelea
  2. Bacho ko sahi activity ke dwara engage kerne kelea
  3. Injury se bachane kelea
  4. Bacho me interest create karne kelea

Props and Equipment ko maintain kaise kare

  1. Ball ko istemal kerne ke bas usme se thodi si hawa nikal ker rakhe
  2. Khailne ke bad ball ko sukhe kapre se poch kar rakhe
  3. Agar sukhe kapre se kaam nhi ban raha to halke gile kapre se poch le
  4. Pani me direct na dhoe aur na hi zada der dhup me rakhe
  5. Agar ball gila hai to use sukhe kapre se poch ker thodi der dhup me rakh de
  6. Bina ventilation vali jagah pe ball ko na rakhen
  7. Sidhe dhup ki roshni me props ko na rakhe
  8. Agar koe damage props hai to use vha se hata de taki bacho ko chot na lage
  9. Weekly sare props ko check kare
  10. Ball me hawa dalne kelea pin ko humesha lubricate (Chikanaee) kare
  11. Football me 5.5-16 PS hawa honi chahea
  12. Basketball me 7-9 PS hawa honi chahea
  13. Volleyball me 5.8-6.5 PS hawa hona chahea

Kon Se Factors Hai Jo Props Aur Equipment Ke Choice Ko Parbhavit Kerte Hai

  1. Bacho ki umar (Age)
  2. Us sports ka standard
  3. Konse type ka sports hai
  4. Konsa Infrastructure use hoga
  5. Kitne bache khelenge
  6. Kis quality ka props aana hai
  7. Budget kitna hai

Jis tarah khel humari zindagi ka aik ahem hissa hai usi tarah Props (Khel ki samagree) kisi bhi khel ka aik ahem hissa hai. Iske istemal se ap apni class ko aur zada innovative bana sakte ho aur bacho me khel ke pratee aur pyar badha sakte ho.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

One thought on “Sports Props Aur Equipment Khel Kelea Kyu Important Hai”

Leave a Reply