Padhoge likhoge banoge nawab; Kheloge kuudoge hoge kharab”

Apme se kitne logo ne ye muhavra suna hoga. Aur aj bhi log khelne se zada padhai pe dhyan dene ko kehte hai. Jabki agr WHO ki mane to physically fit rehne se ap zindagi ke bahut maslo ko asani se suljha sakte hai aur aasani se give up na karne ki vajah se ap apne ap ke liye ek behtar zindagi banate hai.

Aj hum is article me aisi hi ek kahani ki baat karenge jisme Kanpur me rehne vali ek middle class ladki ne apne liye sports ko chun kar ,na keval logo ke nazariye ko badla balki apne maa baap ke sapne ke sath sath apni khud ki pehchan bhi banae.

“Whatever You Dream In Life It Has To Be Big”

Baki middle class ladkiyo ki tarah Rashalika ki bhi khwahish thi ki vo zindagi me bahut kuch hasil kre, apne maa baap ka sahara bane aur zamane me ek izzatdar mukam hasil kre. Rashalika ka bas ek hi khwab tha ke vo fashion designer bane.

Uske liye vo NIFT se fashion designing ka course kerna chahti thi jiske liye use 90% marks chahiye the. Leykin Sports tournament me aksar hissa lene k liye use bahar jana padta tha. Us dauran padhne ka utna mauka nhi mila aur 12th me use bas 75% marks aae.

Jo ki baki logo keliye bahut honge lekin Rashalika ke liye nhi kyu ki uska sapna vhi se shuru hone vala tha aur usne bahut mehnat kea tha. Vo us din bahut roe lekin utni hi himmat se usne apne apko yakeen dilaya ke kisi bhi preshani ko vo apne aage rukavat nhi banne degi

Jb uska result acha nhi aya to usne baki jagaho se ye course karne ka socha lekin NIFT ke alava kisi aur college se ye course karne ka uska dil nhi kea .Kai dino tak vo apne apse puchti rahi ke kya fashion designing ke alava kuch aur nhi hai kya, ya aisa kya hai jo use same level of excitement de sake.

Phir ek din usne apne maa aur papa ke certificate dekhe. Vo normal certificate nhi the balki National level ke certificate the. Kisi ne badminton and carrom me to kisi ne cricket and kabaddi me national khela tha. Us sham usne apni maa aur papa se pucha ke unhone use sports me kyu dala tha.

Kyuki Rashalika ke liye sports sirf aik activity tha jisse ya to enjoyment milti thi, ya personality develop hoti thi ya fitness. Phir us din uski maa and papa ne pehli bar use btaya ke vo log hamesha se chahte the ki unka koe aik bacha sports khele aur us bache ke through vo apne khwab pura karna chahte the.

Us din uske papa ne use apne purane kisse sunae ki kis tarah se unhe cricket se itna lagav tha ke cricket chorne ke bad bhi vo usse jude rhe aur cricket leagues organise krane lge taki cricket se vo jude rhe. Unhone apna experience bhi share kea jab vo diggaj khiladiyo ke sath khela karte the. Us raat Rashalika so nhi pai, vo sara waqt inhi chizo ko sochti thi.

Subah jab suraj ki kirne uske room me padi to vo aik nae subha leker aae thi. Rashlika ne decide ker liye tha ke ab vo apni maa aur papa ke sapne ko pura kregi aur unke khwab ko apna khwab bana ker jiyegi. Vo janti thi ki agar koi ladki sports ko career banane ki sochti hai to use kitna criticize kia jata hai. Lekin in sab cheezo ki parvah kie bina vo apne kadam badha kar aik nae safar me nikal padi

The First Step Towards Parent’s Dream

 She started gathering information about career in physical education and sports. Halanki aj bhi log sports me career banane ki salah nhi dete hai lekin uske papa ke kuch dost jinhone khud sports ko career banaya , kuch internet se li gae knowledge aur apne kuch teachers ke guidance ke bad usne decide kia ke vo India ke best Physical education college se graduation kregi.

Usne bahut mehnat ki is sapne ke aur kareeb jane ki. Vo aik bar pehle bhi apne khwab ko tukre tukre hota dekh chuki thi, to use pta tha ke khwab ke tutne se kitni takleef hoti hai.

Usne LNIP ka form bhara aur use pura bharosa tha ke vo top 100 me aaegi aur result bhi vaisa hi aaya, unki rank 46th aae. Lekin kuch hi der me result ko badal dea gya aur uski ranking 146 hogae. Halanki badme use iske piche ki sachae pata chal gai lekin tab tak bahut der hochuki thi.

Ek khwab phir se tutne ke kagar pe tha. Lekin Rashalika ne apne papa ki us muskurahat ko yaad kea jo unke chehre pe aai thi jab vo apne purane lamho ko yaad karte hue bata rahe the. Rashalika ne tabhi tay kar lea ke koe university ya college uske khawab ko tod nhi sakta. Agar kabiliyat insan me ho to rasta vo khoj hi leta hai. Usne Baki ke top colleges me bhi form fill kea aur uska admission one of the best college me hogaya

Experience In College

When she went to DAVV Indore then her parents were happier than her. Vo uske sath college tak gae ye dekhne ke liye ki unki beti ka safar keysa hone vala hai. Us din Rashalika ki hi nhi balki uske maa aur papa ki bhi ek nae journey shuru hone vali thi. Kisi ne sahi kaha hai ki- kids who get the opportunity to live their parent’s dream are the lucky kids, and Rashalika proved this for her parents.

Un 3 saalo me Rashalika ne na keval apne parents ka dream pura kea, balki un 3 saalo ne use bhi bahut strong banaya use confidence dea aur usne bhi apne liye ek goal set kea.Which later become her dream. Genius logo ko kbhi prove nhi karna hota ke vo genius hai. Rashalika ne yha apni kabiliyat ko prove kea aur topper hone ke sath sath usne baki baccho ki bhi madad ki taki vo bhi apna khwab pura kar sake.

In 3 saalo me logo ne aksar Rashalika se kaha ke tum NVS ya KVS join krna kyu ki ye central ke sath sath highly paid job bhi hai. Lekin Rashalika ne ye sapna paise kamane ke liye nhi chuna tha. Vo chahti thi ki baki log bhi apna sapna pura kar sake uske liye unhe grassroot se hi mazboot kerna pdega.

Unhe sahi rasta dikhana pdega aur aik ideal ban ker sahi rah dikhana pdega. Vo janti thi ki aik sportsman me kitni kabiliyat hoti hai aur vo kya kya ker sakta hai . Inhi khwabo ke sath usne apne 3 saal mukammal kea

Sports Industry Experience

Graduation ke bad har koe physical education teacher banna chahta tha, lekin Rashalika abhi bhi apne khawabo ka picha kar rhi thi. Isi disha me usne sports industry ko bahut dhyan se dekha aur jana .

Vo janti thi ke agar grassroot level pe kaam karna hai to technology ke sath sath shi tools bhi chahiye honge isliye usne apni shuruat UNISTAR naam ki company se ki. Do saal kaam kerne ke bad vo is industry me aur explore kerna chahti thi taki apne ap ko tayyar ker sake us goal ke liye jo usne apne liye set kea tha. Isi dauran usne Sportzvillage Pvt Ltd. join kea jisne na keval uska sports ko dekhne ka nazarya badal dea balki uski puri life style change ker di

3 saal ke is safar me usne sports ki un sari barikiyo ko samjha jo use baki sports teacher se alag karta. Usne in 3 saalo me bitae har din se kuch na kuch sikha jisse age chalker vo apne khwab ko haqeekat me tabdeel kar sake. “To dream there is no particular day and To learn new things there is no particular age”

Aur Rashalika ne is baat ko bakhubi pura kea. Jb desh is mahamari se preshan tha usne apni mehnat aur lagan se kaam kerna jari rakha aur isi hausle ko dekhte hue use aik bahut hi bade project ka hissa banne ka mauka mila. Halanki usne apne maa aur papa ka vo sapna pura ker dea jo unhone dekha tha. Aur vo apne un sapno ke itne kareeb hai ke bas aik kadam usi himmat aur hosle ke sath aage badhne ki deri hai.

Ye kahani har us bachi ki kahani hai jo logo ke criticize ko nazarandaz karke apne hausle pe ummeed jatate hue apni manzil ki oor badhjate hai. Manzil bhi aise hi logo ke kadam chuumti hai jo jeetne ka jazba rakhte hai…” Tu tund-e-mukhalif se na ghabra aie uqab; ye to chalti hai tujhe aur uncha udane keliye”

Ummed kerta hu apko ye article bhi pasand aaya hoga. Agr apki kahani bhi kuch aisi hi hai to hume us kahani ke bare me comment section me zarur batae

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

3 thoughts on “Sports Kyse Apko Andar Se Strong Banata Hai- Jane Is Live Example Se”
  1. This is inspiring. Sports is a very highly competitive place. Being from a rural city, it’s not easy to go out in the world and fight for your dreams.

    Hope you achieve all your dreams. Good luck to you Rashalika!

Leave a Reply