Pet Dard (Stomach Pain) Se Kaise Chutkara Paaye

BySahi Tarika

Jan 25, 2017 #pait dard ki medicine, #period me pet dard ke upay, #pet dard (stomach pain) se kaise chutkara paaye, #pet dard gas, #Pet dard ka gharelu ilaj, #Pet Dard ka ilaj, #pet dard ki dua in hindi, #pet dard ki medicine name, #pet dard ki tablet, #pet dard ki tablet name, #pet ke dard ki dua, #Simple Treatment of Stomach Pain, #कैसे 5 मिनट में एक पेट में दर्द से छुटकारा पाने के, #पेट दर्द और गैस की दवा, #पेट दर्द और दस्त का इलाज, #पेट दर्द का उपचार के 10 आसान देसी नुस्खे और घरेलु उपाय, #पेट दर्द का घरेलू इलाज व उपचार, #पेट दर्द के घरेलू उपचार | Pet Dard ke Gharelu Upay, #पेट दर्द के लिए एंटीबायोटिक tablet, #पेट दर्द को तुरंत कैसे ठीक करें?, #पेट दर्द में क्या खाना चाहिए, #पेट दर्द में क्या दवा खाना चाहिए, #पेट दर्द में क्या नहीं खाना चाहिए?, #पेट में जलन होने पर क्या खाना चाहिए?, #पेट में दर्द हो तो क्या करें, #पेट में दर्द हो तो क्या किया जाए?
pet dard (stomach pain) se kaise chutkara paayepet dard (stomach pain) se kaise chutkara paaye

Pet Dard (Stomach Pain) Se Kaise Chutkara Paaye. Pet dard (Stomach Pain) hume kabhi bhi ho sakta hai. Aur isse humara pura din kharab nikalta hai. Is dard se hume bahut pareshani hoti hai. Humara pura kaam bigad jata hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Pet Dard (Stomach Pain) Se Kaise Chutkara Paaye.

Isse chutkara paane ke lea zaruri nahi hai ke aap syrup ya pills khaye. Iss blog ke dwara hum aapko aise kai tareeke batayenge. Jisse ke aapke pet dard ka turant ilaaj ho jaega. Inhe aap ghar baithe bahut aasaani se apna sakte hai.

Adrak (Ginger) Ka Istemaal Kare

Adrak ko cheel kar use kas (grind) le. Fir usme thoda sa neembu ka ras aur thoda shehad (honey) mix kare. Ise peeye. Isse aapko dard se shanti milege aur aapko iska taste bhi acha lagega. Iske aur bhi kai faide hai jaise ke gale ke kharas se bhi chutkara milta hai. Agar aap itna mehnat nahi karna chahte hai. Toa aap adrak ke patte (leaves) ko bhi shehad me mila kar pee sakte hain.

Aisa karne se aapka Pet dard kam ho jayega aur aap achcha mehsus karenge. Pet Dard ke ilaaz ke liye ye sabse achca Gharelu tarika hai.

Pet Dard Ho Toa Kela (Banana) Khaye.

Kela ek aisa fal hai. Jisse ke hame bahot faide hote hai. Isme bhadi matra me fibres hote hain aur polysaccharide pectin naam ka ek padarth paaya jata hai. Jo ke pet ke dard ko bilkul normal kar deta hai. koshish kare ke aese bhi ek kela roz zarur khaye.

Kela yani Banana bahut aasani se mil bhi jaata hai. Pet dard ke ilaaj me Kela bhi bahut mahatwapurna bhumika nibhata hai. Kela waise bhi swasthya ke liye bahut achcha hota hai. Koshish kare ke Kela Shaam ke baad na khaye.

Pet Dard Ka Best Ilaaj Peppermint (Pudina)

University of Maryland me ek padhai ke aadhar par ye bataya gaya hai ke. Peppermint yani ke Pudina aapko kisi aur cheez ke mukable pet dard se turant relief deta hai. Aur peppermint tab bhi kaam aata hai jab aapka khana pacha nahi ho ya aapko indigestion ke shikayat hai. Peppermint se aapke pet (stomach) ke muscles ko relief milte hai aur ise khane se aapka paachan kriya bhi bilkul normal rehta hai.

Jo bhi dawaye aajkal market me pet dard ko fauran theek karne waali aati hai. Un sab me Pudina ki achchi matra hoti hai. Pudina ka Ras bhi milta hai, aur Pudina ke patte bhi aasaani se mil jaate hai. Pudina Ke Patto yani leaves ko aap direct chaba ke bhi kha sakte hai. Ye aapko Pet dard ka fauran ilaaj karne me sahayta karta hai.

Pet Dard Me Chawal (Rice) Khaye

Chawal me starch aur carbohydrates ke matra hoti hai. Jo ke aapke stomach me jaa kar ek layer form karta hai. Jisse ke aapke pet me dard ho he nahi sakta. Agar aapke pet me dard hai to aap ek bowl sirf chawal kha sakte ho. isse aapko relief milega.

Pet Dard Me Jala hua bread ( burnt toast ) Khaye

Agar aap subha uthte ho aur aapko apne pet me kuch halchal yaani ke dard mehsus hota hai. Toa bina kuch soche hue jala hua toast kha le. Isse hota ye hai ke Char (bread ka jala hua tukda) aapke saare toxins. Jo padarth aapke pet me dard kar raha hai. Use sookh leta hai. Agar aapko taste ke shikayat hai to aap sauce ya jam laga kar bhi kha sakte ho.

Sunne me bhale hi ye ajeeb lage. Magar Jala Hua Bread aapko pet dard ka ilaaj karne me bahut fayeda pahuchata hai. Jala hua ka matlab bilkul jalana nahi hai. Bus jub bread toast ho jae, use thoda sa aur aanch pe rakhna hai.

Pet Dard Me Dahi (Yogurt) Khaye

Pet ke dard se turant chutkara paane ke lea aap dahi kha sakte ho. Dahi asal me jeeta jagta hua bacteria hai. Jo ke hame bahot sare fayde deta hai. Aur ye hamari immunity ko bhi badhata hai.

Dahi yani Yogurt me bahut saare Healthy Bacteria paaye jaate hai. Jo aapke pet ke andar ke gande Bacteria se lad ke unhe khatam kar dete hai. Saath hi ye Digestions yani khana pachane me bhi bahut sahayta dete hai. Roz Dahi khane waale bimmar bhi kam parte hai.

Pet Dard Me Baking Soda Ka Use Kare

Ek chammach ( 1 teaspoon) baking soda le aur use ek glass paani me mix kar de. Aur fir pee le. Aap dhakaar expect kar sakte ho. Asse aapke pet me jitne bhi unwanted gas hai jo ke aapko disturb kar raha hai aap usse chutkara paa sakte ho.

Jo dawa Pet dard ke jalan ke liye Market me aati hai. Jaise ki ENO, in sab me Baking Soda ka hi prayog kiya jaata hai.

Hum umeed karte hai ke aapko sahi jaankari mili pet dard ko theek karne ki aur pet dard ka ilaaj karne ki. Aapne ab jaan liya hai ke Pet Dard (Stomach Pain) Se Kaise Chutkara Paaye. Agar upar batayi gayi saari cheeze karne ke baad bhi aapka Pet dard nahi ja raha. Toa Faurna kisi Najdeeki Hospital ya Doctor ko dikhaye.

Agar aapko kuch poochna hai ya koi sawaal hai toa comment kar ke pooch sakte hai ya firr hume aap email kar sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

2 thoughts on “Pet Dard (Stomach Pain) Se Kaise Chutkara Paaye”

Leave a Reply