Paytm Pe Account Kaise Banate hai | Paytm Wallet | Puri Jaankaari

Paytm aapka ek online bank hai jaha aap paiso ka len den kar sakte hai. Aajkal lagbhag sabhi loag Paytm use karte hai. Aapke paas agar ek smartphone hai. toa aap bhi paytm ko use kar sakte hai. Aapko sirf 10 minute lagenge (agar aapki email ID aur mobile phone), aapke paas hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Paytm Pe Account Kaise Banate hai | Paytm Wallet | Puri Jaankaari.

Paytm Pe Account Kaise Banate hai | Paytm Wallet | Puri Jaankaari

Agar aap Paytm pe aacount banana chahte hai toa aapke paas neeche batayi gayi saari cheeze honi chahiye:

 

  • Ek Mobile Phone (Smartphone).
  • Mobile Phone Me Internet Connection
  • Aapki Khud Ki ek email ID   (Hai toa achchi baat hai jada jaankaari milegi. Nahi hone se bhi kaam chal jayega)

 

Abhi Padhe:  Email ID banane ka sahi aur asaan tarika   (Click karne se naye page me khul jayega)

 

 

Agar aapke paas ye teeno cheeze hai. Toa neeche di gayi jaankari ko follow kare aur aap apna khud ka ek Paytm account bana sakte hai.

Paytm Pe Account Kaise Banate hai | Jaanne ke liye neeche diye gaye steps ko follow kare:

 

STEP 1:

Sabse Pehle   www.paytm.com   khole.   (isi link pe click kare, toa naye browser me khul jayega).

Neeche dikhaye gaye photo jaisa khulega.

 

Paytm pe accounr kaise banate hai

 

STEP 2:

Ab sabse upar right side me  jaha pe   Log In/ Sign Up   likha hua hai. Waha pe click kare.

Neeche diye gaye photo jaisa pop up khul jayega aapke screen pe.

 

paytm pe login kaise kare

STEP 3:

Ab aap Sign Up pe click kare.

Neeche diye gaye photo jaisa khulega.

 

paypal signup pe click kare

 

STEP 4:

Jaha pe Mobile number likha hua hai waha pe apna mobile number daale.  sirf 10 digit ka mobile number.  0 nahi lagaye aur na hi +91. Sirf apna 10 anko ka mobile number. us jagah pe daale.

Agar aap chahe toa email Id daal sakte hai. (optional hai ye). Agar aap daalte hai toa aapko paytm dwara aapke account ki jaankaari aapke email pe milte rahegi.

Ab Password daale. Koi bhi aisa naam ya digit ya kuch bhi. Jise aap yaad rakh sake. Bahut hi aasaan bhi mat rakhiyega. Warna koi dusra iska galat fayeda utha sakta hai.

Ab create your Paytm wallet pe click kar de.

 

STEP 5:

Ab aapke Mobile Phone pe ek SMS aaya hoga.

Kuch iss type ka sms ayega  “xxxxxxx is your verification code to verify your mobile

Iss code ko jaha OTP likha hua hai waha pe type kar de. Agar 10 minute tak OTP nahi aaye toa resend OTP  pe click kare. Firse SMS aa jayega. Agar Mobile number galat likha gaya ho toa, change mobile number pe click karke number change kar sakte hai.

Ab Apna Pehla naame daale. Jaha pe First Name  likha hia hai.

Last Name  pe Apna akhiri naam likhe.

Ab agar aap Male hai toa Male pe , Female hai toa Female ko choose kare.

Ab create your Paytm Wallet pe click kare.

 

STEP 6:

Ab aapka account khul chuka hai. Ab aap Paytm ka use kar sakte hai.

 

Aap chahe toa yahi sab cheeze Paytm ke Mobile Application ko download karke aasaani se kar sakte hai.

 

Paytm Mobile Application se neeche dii gayi cheeze aasaani se kar sakte hai.

  • Pay / Send : Kisi se bhi kahi se bhi paisa mangwa ya bhej sakte hai.
  • Scan Code:  Bar code ko scan karke paisa pay kar sakte hai.
  • Mobile No:  Aap kisi bhi mobile number pe paisa bhej sakte hai.
  • Show Code:  Ye dukaandaar ko dikha ke payment kar sakte hai.
  • Send To Bank: Yaha ka paisa apne bank account me direct bhej sakte hai.
  • Payment Request: Aapse ki paisa ka request bhej sakta hai, yaha pe notification ayega.

 

Aap Paytm ka Application neeche diye gaye link pe click karke Free me download kar sakte hai:

 

Free Paytm Application

 

Agar aap Paytm Mobile Application Install karke sikhna chahte hai. Aur jaanna chahte hai ke ise use kaise kare toa neeche diya hua Blog bhi padhe:

PayTm Ka Mobile Application Kya Hai | Aur Ise Kaise Use Karte Hai

कुछ ऐसी Google Apps जिनके बारे में जानना जरुरी है।

Umeed karta hu aapko ye jaankaari sahi lagi hogi. Comment zarur se kare agar koi sawaal ho. Hume aapka jawaab dene me khushi hogi.

 

 

 

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply