Notes Banane Ka Sahi Tarika

Notes jaisa mehtwapurn cheez mujhe nahi lagta kuch hoga. Notes ko hum ek success ke roop me bhi dekh sakte hai. Notes aisi cheez hai jise hum likhte hai successfull banne ke lea. Islea jitna badhiya notes utni uunchi aapki success. Is blog ke zariye aapko bahot achi taknik bataye jaa rhe hai.

Jisse aap ek successfull man ban paoge. Kae logo ko to notes apne zindgi bhar banane padte hai ,jaise ke vaigyanik,doctors,lawers..inhe zindgi bhar apne banaye hue notes ko refer karna hota hai. To ek behtar notes notes banane ke lea in niyamo ka palan kare

Aasan aur jo aap samajh payee

Aesa note banaye jo aap khud samajh paye,aur jetna chota ho sake utna chota banaye , isse kya hoga ke aap apne note ka ek jhalak dekhte he aap sab samjh jaoge aur aapka flashback saara aa jaye. ,apne khud ke nota ka ek jhalak dekhte he agar aapko pura flashback aa jata hai to isse acha kuch bhi nahi hai.

 

Easily Revisable (Jisko aap khud samajh jaaye )

Aesa aasan note banaye jo ke aap khud pehle samajh paao. jetna aasan note hoga utna he aasan aapko usko samajhna hoga.note bana kar use revise jarur kare. 

 

Save time ,aapko book padhne ka time nahi hai

Iska matlab ye hua ke aap aesa note banaye jaise ke agar aap ek paragraph padhte ho to aap  1 ya 2 aesa informative line likho jisse ke aapko pura paragraph yaad aa jaaye.

 

Apna intrest badhaye

Agar aapka man laga rehta hai note banane me fir to thk hai apne intrest ko badhane ke koshish kare,isse aapko aur bhi zyada points jaise ke new ideas milega aur aap apne note ko ek aur bhi collective way me likh paoge,

 

Apne sunne (listining) ke shakti ko badhaye

Agar aap sunne me tez ho to bht badhiya baat hai,aap apne sunne ke shakti ko aur bhi badhaye.apne class me zyada attentive rahe,isse aapko aur bhi new points milenge,new ideas milengi jisse ke aapka note aur phi prabhavit hoga aur aapke notes aapko aur bhi behtareen tarike se samjh aaenge.

 

Techniques use kare

Iska matlab ye hua ke aap apne notes ko ek technique dene shuru kejye,jaise ke diagrams,point wise,pictures,tables ,chart..wagera wagera ke dwara banaeye.isse aapke notes ko technique bhi mil jaega aur aapko aasani bhi.

  • Heading aur sab heading ka use kare
  • Brief words aur short headings ka use kare
  • Faltu (unnecessary) explanation ko chor de
  • Ache handwriting use kare
  • Page number jarur likhe,isse notes gumne ka kam chance rhega

Aasha karta hun ke aapko en tariko se ek achi jankari prapt hue hogi,inhe apne note banae ke time use kare aur ek safal notes banane me kamyaab ho. thanks, stay connected.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply