Naye Nakli Aur Asli Note Ke Baare Me Pata Karne Ka Sahi Tarika

Hamare desh me white money se jyada black money hai. Aur ye baat sabko pata hai. Par humare maan-niye Prime Minister Shri NARENDRA MODI JI ne jo old currency ko bann karane ka ek itihasik decision lekar corrupt (brahsht) logo ki jama rashi par bahut hi sahi prahar kiya hai. Jaane Naye Nakli Aur Asli Note Ke Baare Me Pata Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika.

Naye Nakli Aur Asli Note Ke Baare Me Pata Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika 

Iss decision se aam janta ko bhi problem ho rahi hai. Pr aaj ke time me sab samajh rahe hai ye kitna jaruri hai humare desh ko develop ( tarrakki) karne k liye .

 

GUJARAT ME 2000 KA NAKLI NOTE PAYA GAYA

2000 Ka Nakli Note Aur Asli Note

Upar waala Note Nakli hai, Aur Neeche waala Asli Note hai.

Aajkal mobiles par, TV pra news channel ka kehna hai ke Gujarat me nakli note paya gaya hai. Abhi currency demonitization ( currency badlav ) ko 15 din b nahi hue or gujarat me nakli note milne ki khabre arahi hai. Kuch khabre afwahe hoti hai pr kuch mobile news channel  bata rahe hai ki gujarat k ek paan wale jiska naam Bodak Dev hai uske  pass nakli note paya gaya. Par jaha tak mujhe lagta hai ye rumours (affwahe) hai.  Islye Sahi Tarika  ki team ne nakli or asli note ko pehchanne k liye ye article dala hai.

500  or 2000 ke naye notes ko pehchanna itnaa mushkil nahi hai. 2000 ka note chhahe dikhne me ek ho pr uski value ( keemat) bohat hai. Islye ye janna jaruri hai k nakli or asli notes me kese farak kare.

 

NAYE NOTES KO PECHANNE KA SAHI TARIKA
 

2000 Rupaye Ke Naye Note

Currency badlav ko abi ek mahina b nahi hua or nakli notes ki afwahe udhne lagi. 
Sahi Tarika  ki team aap logo ko nakli notes se bachaye rakhne k liye new currency notes k bare me bata rahi hai jisse aam admi ko kisi b tarah se koi corrupt log dhoka na de sake.

 

Jaane Ke Aapka 2000 Ka Note Nakli Toa Nahi Hai

 

  • Naye notes jo ke RBI (reserve bank of india) dwara laye gaye hai. Ye koi mamuli notes nahi hai.
  • 500 or 2000 k notes ko banane vala paper or print karne vali ink aam admi ya fir kisi don ki pohach se bahar hai. Naye notes ko touch ( chhuuu) kr ke apko farak pata chalega.
  • 500 k notes pr right or left side par 5 lines bani hui hai. Or 2000 k notes pr right or left side 7 lines  bani hui hai.
  • SECURITY THREAD ( jo note k beech me ek chamakne vali line or patti hoti hai) vo apna colour change karta hai green to blue agar alag alag angle se dekha jaye tou.
  • 500 or 2000 number ka colour bhi badlta hai alag alag angle se dekhne par.
  • 2000 ke naye note par bhi Mahatma Gandhi ki photo hai or peeche ki side Mangalyaan ki photo hai jo ki Bharat ka pehla mangal grah par jaane vala yaan tha.
  • Size naya note ka 66mm *166mm ( 500 and 2000 k note ka size same hai).

 

Naye Note Ke Security Features Janne Ka Sahi Tarika

500 ka naya note

FRONT  SIDE FEATURES ( AAGE  K FEATURES )
 

  • NOTE  ko light ke samne rakhne se apko  500 k note par 500 or 2000 ke note par 2000 baht sari jagah bana hua dikhega.
  • Note ko tilt (tedhha) karne par 2000 ki ek gupt / ADRISHYA  photo dikhegi.
  • Colour change hota hai security thread ( note k beech me green line ko security thread kehte hai) ka.
  • Mahatma Gandhi ki photo dono notes par or electrotype( ek patli layer cooper ki ) se 2000 k note pr 2000 or 500 k note par 500 bana hua hai.
  • Ek number pannel de rakha hai jisme numbers chote se bade hote hai  upar left side pr or neeche right side par.


REVERSE SIDE FEATURES ( PEECHE KI SIDE K FEATURES)

 

  • SWACH BHARAT  ka logo ( mohar)  bana hua hai .
  • MANGALYAAN bana hua hai  or  year of printing , 2016 likha hua hai.

 

Ye Bhi Padhe:

PayTm Ka Mobile Application Kya Hai | Aur Ise Kaise Use Karte Hai

Gmail.com pe email ID banane ka sahi aur aasaan tarika

 

Umeed karte hai ke aap iss di hui jaankari se Asli aur nakli note ki pehchaan kar sakte hai. Agar aapko kuch poochna hai toa neeche comment me pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *