Meditation Kerne Ka Sahi Tarika jan ker ap apni zindagi se stress or tension ko duur ker sakte hai. Meditation aik aisi mansik avastha hai jisme insan apne dimag aur mann ko ekagr kerne ki koshish kerta hai. Prachin kal se hi kbhi dharam ke naam pe to kabhi paramparao ke roop me iska abhyas kiya jata rha hai.

Meditation Kerne Ka Sahi Tarika

ध्यान के नियम – Meditation ke niyam in Hindi
  1. ध्यान करने के लिए सही समय चुनें। …
  2. शांत जगह पर अभ्यास करें जहां आपको ध्यान से भटकाने वाला कोई न हो। …
  3. अपनी रीढ़ की हड्डी सीधी रखें और बिलकुल सीधे बैठें। …
  4. कोशिश करें कि अभ्यास के समय पेट खाली हो। …
  5. ढीले ढाले और आरामदायक कपड़े पहनें।
  6. यदि ठंड लग रही हो, तो पहले कुछ एक्सरसाइज कर लें।

Dhyan Ke Prakar (Type of Meditation)

Dhyan karne ka koi sahi ya galat tarika nahin hai. Aapko sirf aisa abhyas karna hai jo aapke liye mahatvpurn ho aur aapke vyaktitva ko nikhare . Meditation ke kai prakar hote hain usmein se kuch niche diye gaye hain :

1) Vipassana meditation :

Vipassana sarvadhik mahatvpurn dhyan ki vidhi hai iska uddeshy mansik shanti ke liye Dhyan kendrit karna hota hai. Is prakriya se sans ka upyog kiya jata hai .Niyamit abhyas se aap apne vicharon ko samajhne lagenge aur vicharon ko samajhne se aap ko swayam ko samajhne mein madad milegi

2) Spiritual meditation:

spiritual, jaise ki aap jante hain kisi bhi Dharm se related hota hai jaise ki hindu dharm mein atay atay aadhyatmik Gyan ka prayog Kiya jata hai. Yeh prathna karne ke saman hi hai ismein Puja karte samay aap apne charo aur Shanti mahsus karte hai. khud ko Bhagwan se jura mahsus karte hain

3) Focused meditation:

kendriya meditation mein 5 indriyon mein se kisi bhi ek ka upyog karte hue ekagrata laane ki koshish ki jaati hai .Udaharan ke liye aap kisi bhi antarik chij Jaise sans ko Laksh man kar ja kisi bahri chij ,Jaise ki mala ki moti gin kar ya mombatti law dekhkar use per dhyan kendrit kar sakte hain .

4) Movement meditation:

jyadatar log gatishil meditation ke naam se yoga ki kalpana karte hain. isme junglon mein chalna bagvani karna aur anya gatishil gatividhiyan mein Shamil Ho sakte hain. Is dhan ka ek aakhri roop hai jo yah gatividhiyon ka margdarshan karti hai

5) Mantra meditation:

Hindu aur budh parampara samet dhyan ki anya taknikon mein Mantra Dhyan Pramukh hai . Man ko saaf aur Shant karne ke liye is prakar ke meditation mein ek Shabd vakya Dhavni ka bar bar uchcharan karna hota hai . Jaise ki “Om” is prakriya mein sabse adhik upyog kiya jata hai.

6) Transcendental meditation:

Duniya bhar mein sabse lokpriya prakar ka Dhyan hai Transcendental meditation jise hum Gudh Chintan naam se bhi jante hai. Aur is per hi sabse jyada vaigyanik roop se Dhyan kiya gaya hai. Ye abhyas karne ke liye mantra Dhyan mein se adhik anukul hota hai .Ismein bhi Mantra yah Shabd ka prayog karna hota hai jo Dhyan ke liye jaruri hota hai

Dhyan Ke Niyam

  • Dhyan karne ke liye sahi samay subah ya sham ka waqt Uttam hota hai . Aisa mana jata hai ki samay Surya aur Prithvi ke bich ka kon 60 degree par hota hai aur is samay baith kar Dhyan karne se a pituitary gland aur Pineal Gland per achcha prabhav padta hai .
  • Shant jagah per meditation karna chahie
  • Apni reed ki haddi ko Sidhi rakhni chahie
  • Koshish karen ki abhyas ke samay pet khali ho. Khali pet abhyas karne se jyada fayda milta hai agar aapane bahut jyada khana kha liya hai ek do ghante ke aaram karne ke bad meditation Karen

Aj kal ke stress bhari zindagi me meditation aik ramban ilaz hai. Ummeed kerta hu apko ye article pasand aaya hoga. Apni rai hume comment box me zaruur btae

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply