Health के लिए फायदेमंद और हानिकारक Food Combination

Khane ke kuch cheeze hoti hai. Jinko saath me nahi khana chahiye. Aisa karne se wo sehat ke liye nuksaan daayi hote hai. Iss Blog me hum aapko aise hi Health के लिए फायदेमंद और हानिकारक Food Combination batayenge. Jinka dhayan rakhne se aap humesha Healthy rahenge.

Health के लिए फायदेमंद और हानिकारक Food Combination

Neeche Kuch Food combination bataye gaye hai. Inhe saath me kabhi nahi khana chahiye. Ye Health के लिए हानिकारक Hai.

Doodh (Milk) Ke Saath

  • Dahi, Namak, Khatti Cheeze, Imli, Kharbooz, Nariyal, Muli, Bel, khatte Fruits and Sattu Doodh ke saath Hanikarak hote hai.
  • Inka saath me kabhi sewan nahi karna chahiye.
  • Doodh me Gud ghol kar sewan nahi karna chahiye.
  • Kathal ya Tel se bane Padardh bhi Doodh ke saath nahi khane chahiye.

Dahi (Curd) Ke Saath

  • Kheer, Doodh, Paneer, Garam Khana, Kela, Kharbooza, Mooli Dahi ke saath nahi khana chahiye.

Ghee Ke Saath

  • Cold Milk, Cold water, Aur Honey kabhi bhi Ghee ke saath nahi khana chahiye.
  • Aisa karna Health ke liye achcha nahi hota hai.

Shehad (Honey) Ke saath

  • Muli, Kharbooza, Ghee, Grapes aur Garam paani Honey ke saath nahi lena chahiye.

Kheera Ke Saath

  • Kheera ke saath Kakri nahi khani chahiye.

Kheer Ke Saath

  • Khicdi, Khatti Cheeze, Kathal aur Sattu nahi khana chahiye Kheer Ke saath

Ye Bhi Padhe: Humesha Healthy Rehne ke liye Gharelu Health Tips

Thande Paani Ke Saath

  • Moongfali, tel, Ghee, Kharbooza, Amrrod, Jamun, Kakdi, Kheera, Garam Doodh Aur Garam Khana Thande Pani ke saath nahi khana chahiye.

Machchli (Fish) Ke Saath

  • Doodh, Ganne Ka ras, Honey and Birds nahi khana chahiye Machchli Ke saath.

Meat Ke Saath

  • Madhu Aur Paneer Meat ke saath khane se Pet Kharab ho sakta hai.

Kharbooza Ke Saath

  • Lehsun, Muli ya Uske Patte, Doodh aur dahi Kharbooza ke saath khana hanikarak hota hai.

Kasa, Tamba, ya Peetal ke Bartan me rakhi hui cheeze jaise ki Ghee, Tel, Dahi, Makhkhan aur sabjiya kharab ho jaate hai. Isiliye aise bartano me jada der rakhe hue khana ko nahi khana chahiye.

Aluminum Aur Plastic Ke Bartan me Liquid cheeze rakhne se Bahut saari bimariya hoti hai.

Umeed karta hu aapko ye Blog pasand aaya hoga. Aur aapne sikha Health के लिए फायदेमंद और हानिकारक Food Combination ke Baare me.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply