Facebook Pe Ek Group Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika

Facebook ek Social Networking ki website hai. Isme lagbhag sabhi loag jo internet use karna jaante hai wo apna account banate hai. Facebook me aap apna khud ka profile bana sakte hai, ek page bana sakte hai aur group bhi bana sakte hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Facebook Pe Ek Group Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Kya hai.

 

Facebook Pe Ek Group Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika neeche bataya gaya hai. Saare Instructions ko follow kare.

 

Facebook Page aur Facebook Group me sabse bada farak ye hai ke Facebook Page Open hota hai aur usme koi bhi like karke uss page se jud sakta hai. Lekin Facebook Group Close bhi hota hai, aur sirf uske members (jo Uss Group Ka Admin Approve karta hai) hote hai wahi saare post dekh aur saal sakte hai. 

 

Facebook Group 3 type ka hota hai:

  • Open Group:  Iss prakar ke Facebook Group me, koi bhi post dekh sakta hai aur members ke post ko bhi dekh sakta hai.
  • Closed Group:   Iss prakar ke Facebook Group me, koi bhi members ko dekh sakta hai magar post wahi loag dekh sakte hai jo members ho.
  • Secret Group:  Iss prakar ke Facebook group me, sirf members hi dusre members ko dekh sakte hai aur posts bhi dekh sakte hai

 

Toa aayiye ab aapko batate hai ke Facebook Pe Ek Group Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Kya hai.

 

Sabse pehle aapko apne Facebook me Login Karna hoga. Agar aapke paas apna Facebook ka account nahi hai toa aap apna ek account bana le. Facebook pe account banane ke liye aapke paas aapki apni email ID honi zaruri hai.

 

Abhi Padhe:  Facebook pe account banane ka sahi aur aasaan tarika

 

Abhi Padhe:  Email ID banane ka sahi aur asaan tarika

 

 

Ab jub aapke paas Facebook Ka account hai toa usme Login Kare.

Facebook pe login kaise kare

Ab Aap Apne Facebook Pe sabse Upar, sabse right side waale icon pe click kare. Aur usme se ek Option hoga "Create Group" usme click kare.

Ab ek Pop up window khulega, jisme aapse Group ka naam, poocha jayega. Aap apne kuch dosto ko invite bhi kar sakte hai iss group pe aane ke liye. Jaise hi aap apne dost ka naam type karenge, agar wo aapke friend list me hai toa uska naam automatic aa jayega. Use select kar ke invite bhej sakte hai. Fir Group ka Type choose kare ke aap kaisa group banana chahte hai.

 

Facebook pe group kaise banaye

Sab information fill karne ke baad "Create"  pe click kare. Firse ek pop up khulega jisme Facebook aapse poochega ke koi ek Icon choose karne ke liye apne group ke liye. Koi sa bhi ek choose karke "OK" pe click kar dijeye.

 

Facebook Group site icon

Ab aapka Facebook Group ban chuka hai. Isme aapko Description daalna hoga ke ye group kis cheez ke baare me hai. Fir aap isme loago ko add bhi kar sakte hai.

Group ka Ek Rule bana kar ek post kare aur us post ke setting me jaake uss post ko pin to top kar de. Ab jub bhi koi uss group me aayega toa wo uss group ke rule yaani kayde kanoon ko jaan sakta hai aur uske hisaab se us group ki baato, discussion me participate kar sakta hai.

Facebook ka Group bana kar aap loago se interact kar sakte hai aur bahut se loago se jud sakte hai. Agar aap iss group ko achche se chalaye toa aap iss group ke dwara paise bhi kama sakte hai. Paisa kaise kamaye jaanne ke liye neeche diye gaye Blogs ko padhe.

 

Abhi Padhe:  Facebook Page Ya Group Bana Kar Paisa Kamane Ka Sahi Tarika  

 

Umeed karta hu ke aapko Facebook Pe Ek Group Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Jan Kar achcha laga hoga. Agar aapko iss Sahi Jaankari se Fayeda hua ho toa apne dosto ya jaane waalo ko bhi bataye aur ye jaankari share kare.

 

Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply