Khair, har car maalik tute phanse hue windshield ka dara hua hota hai ki kahi toot na jaye. windshield kaafi mehenga hota hai aur iske tutne ke baad visiblity problem hone lagti hai. aise mein accident ka bohot khatra hota hai. ab agar maano aapka windshield tut jaye to aap jakar naya lagaoge. lekin usse pehle aap kuch gharelo ideas laga kar unko repair karne ka sochna chahiye. mai aaj aapko tuti hui windshield ko repair karna sikhata hoon.

 

 

1. Ek  bada katora(bowl) lein. na jyada bada ya na jyada chhota size ho.

2. Usme paani daal lein ( maximum 2 cups).

3. Ab us paani mein 2-3 spoon namak daal lein.

4. Usme koi bhi bug spray mila lein. mosquito repellent bhi chalega.

5. Ab kisi mote paint brush ki madad se sabko achhe se mix kar lein.

6. Ab us mixture ko crack wali jagah par achhe se laga dein. dhyan rahe ki parat(layer) jyada moti nai  honi chahiye. patli coating jyada achhe se kaam karegi.

7. Ab ise sukhne ke liye aise hi chhod dein. (minimum 2 hours).

Aapki windshield repair ho gyi. ab aap hi batao itna asan aur sasta solution ho to kaun paise kharch kare. ise aap apni car pr try karein. aap aapki car ki bhi windshield aise hi damage hai to abhi try kijiye aur khud experience kijiye ye sach hai ya nahi.

 

 

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply