Online taxi booking

Aaiye aaj is blog mai ham aapko bataynge ki Cab kaise book ki jati hai. Aaj kal log bahut busy rahte hai. Unke pas time nahi hota hai. Ki kahi jaane ke liye unko kisi bus, taxi ka wait karna pade.Toa uske liye ab Cab ki suvidha di gayi hai.

Jiski Help se aap apne ghar baithe hi. Apne mobile se cab book karake apne ghar hi taxi bula sakte hai. Aur aapko kisi bus Vagairah ka wait nahi karna padta hai. Toa aaiye jante hai ki apne mobile ki sahayata se aap kaise Taxi book kar sakte hai.

App Download karke-

  • Sabse pahle aapko apne mobile mai App download karna hoga.Ola ka App Download karne ke liye yaha par click kijiye. Click Here
  • Jis company ki taxi aap book krna chahte hai.Uska app download krna hoga. Jaise Ola,Ober Etc.Agar aap app download krna nhi chahte hai to aap direct Online cab booking Google par dalkar bhi book kar skte hai.

Yah bhi Janiye- Book Cabs Nearby at Best Price | Hire Taxi Nearby Online at Olacabs …

  • Jaise hi aap us App ko open krnge to kuch is type ka page Open hoga.
  • cab booking onlineTop mai aapko 2 Text Boxes dikhayi de rhe honge.Jisme pahle mai Pick-Up Or dusre mai Drop likha hua hai.
  • Aapko Pick-Up mai apni location dalni hai jis jagah par aapko pick karne ke liye Taxi ko bulana hai.or Drop mai us jagah ki location dalni hai Jaha par aapko jana hai.
  • Ab aapko isi page par neeche ki side bahut si taxi dikhayi de rhi hongi. Aap apni pasand se koi bhi taxi choose kar skte hai.Apne Time ke according Taxi ke upar time bhi diya hua hoga ki yah taxi itni der mai aapko pick up kar legi.
  • Agar aap Sharing mai jana chahte hai. To aap Share wali taxi ko bhi book kar skte hai.
  • Taxi select karne ke bad aapko Ride now par click karna hai.Jaise hi aap Ride now par click karte hai.To Dusra page open hoga.cab booking online

Yah bhi Janiye- Apni Internet Speed Ko Kariye Super Fast Janie kaise ?

Usme aapko apni Ride Confirm karni hai.Or isme aapko btayga ki aap Personal taxi leke jaynge to itna amount hoga or share mai jaynge to itna hoga.Aap apne man se choose karke Apni booking confirm kar skte hai.Or agar aap apni booking ko cancel karna chahte hai.to neeche cancel booking ka bhi opetion diya hua hota hai. To aap apni booking cancel bhi kar skte hai.

Jaise hi aap confirm booking par click karnge to aapke pas Ek OTP Number aayga or Taxi Driver ka mobile Number or photo aa jayagi.

Cab booking Online

Yah bhi Janiye- Online cab booking – Save Upto Rs1000 On Outstation – tripscab.com‎

Ab Time ke according taxi aappko pick karne pahuch jayagi.Or Ab aapko Taxi driver ko apna OTP btana hai.Or Ab aapko Taxi aapki location tak pahucha degi.

Direct Booking-

Taxi book karne ke liye in cheejo ki need hoti hai-

  • Cab book krne ke liye sabse pahle aapke pas Smart phone hona chahiye.
  • Internet hona chahiye.
  • Taxi ki company ka App hona chahiye.

Ham Ummid karte hai ki hamare dwara di gayi cab booking ki jankari aapko achhi lagi hogi. Or aapke liye Helpfull bhi rahi hogi. Aap is article ko like karke dusre logo ko bhi share kar skte hai. Jisse unko bhi help mile.

By

One thought on “Cab Book Kaise Karte Hai | Cab Booking Ki Sahi Jankari”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *