BPT

physiotherapy
BPT (Bachelors of physiotherapy)

BPT ki full form hai Bachelor Of Physiotherapy. Physiotherapy ko loag Physical Therapy ke naam se bhi jaante hai. BPT MBBS se thoda bohat milta julta course hai. Aeiye ek example ka use karte hai isey samjhane ke liye.

Maan lijiye ek aadmi ka bike accident ho jata hai aur uske haath ki haddi kisi gambhir tarah se tut jati hai. Tao usey hospital le jaya jaega fir uska ilaaj hoga aur haddi jodne ke liye operation, plaster hoga aur fir jab sab kuch ho jaega tab iss aadmi ko ek acche physiotherapist ki jarurat padegi jo uske hath ko pehle ki tarah kaam karne me madad karega.

India me khele jane vale international khelo ke khiladiyo ko jese ki Indian cricket players, football player, athletics in sabko ek acche physiotherapist ki bohat jydada jarurat padti hai. Futur me iska bohat hi accha scope hai.

BPT(bachelor of Physiotherapy) ki degree paane ke liye kuch jaruri cheeze:

  • BPT ki degree paane ke liye sabse pehle apko 12th class science subjects (math, chemistry, biology) ke sath pass karni padt.
  • apke sare subjects me marks 45% se jyada hone chahye varna aap iss course ko nahi kar sakte.
  • Yeh course 4.5 saal me khatam karna hota hai jisme ek saal internship bhi karni hoti hai.
  • Iss course ko kiye bina aap Physiotherapist banne ka khitaab nahi le sakte.