Biomedical Engineering

Biomedical Engineering: Ye Engineering ki ek aisi Shaakha hai, Jisme Health aur Bio se related baatein sikhaayi jati hn. Agar aap Engineering krna chaahte hain aur aapka interest Bio me hai, to aap is branch ko choose kar sakte hain.

 

Biomedical Engineering

 

Biomedical Engineering Kya Hai?

Yah ek aisi Branch hai jisme engineering aur medicine ko relate kiya gya hai. Aur Isme Ye sikhaya jata hai ki problem ko kaise solve karna hai. Yah  filhaal me hi engineering ki shaakha bani hai. Abhi filhaal me ka mtlb hai ki baaki branch ke dekhe ye nayi hai.

Is Branch Ke Students Ka Main Motive Kya Hota Hai?

Isme Health Treatment ke liye Design aur Problem Solve krne ke tareekon ko medical kshetra ke sath milaya jata hai. Jisme Problem ko pahle research krke samjha jata hai phir uska solution dhoondha jata hai.

Is field me jaake aap apni Bio se related knowledge ko bada sakte hain. Isme adhiktar dhyan Research aur Development par diya jata hai.