biharbihar

Bihar,  India ke map me Eastern part me hai.  Ye 13th sabse bada state hai India ka with 94,163 kmsq.  Aur ye 3rd largest state hai India ka with respect to population.  Bihar ke west me Uttar Pradesh hai,  north me Nepal hai,  east me West Bengal hai aur south me Jharkhand hai jo ki 15th November 2000 me Bihar se alag hua

tha. 
Ye blog apko Geography samjhane ke liye nahi hai.. Instead apko wo sabhi problems batane aur uske solutions ke liye hai jisse aap biharis ke problems aur usse ladne ka sahi tarika jaan paenge..

BIHARI-
Bihari word apne aap me hi ek bomb hai..sach bolun to ek gaali hai.. 
Haryana walo ko haryanwi bolo.. Punjab k logo ko punjabi bolo to koi problem ni h.. Pr Bihari hume gali kyu lagti hai..? 
Kyunki isse gali ke way me hi bola jata hai.. Koi badmashi kare to bolte hai.. Abe bihari hai kya?
Rickshaw chalane walo ko bolte hain bihari.. 
Humare bolne ke andaz pe mazak udaya jata hai..

SOLUTION :

WE ARE THE BEST-
Chahe wo padhai ho ya sports ho.. Hum sabse aage hain aur ye baat pura desh janta hai.. Aur manta bhi hai.. Humme bahot caliber hai, aur dosto.. Agar aap bihar ke bahar ho ya bahar jane ki taiyari kar rahe ho ya soch bhi rahe ho to ghabrahat ko mann se nikal do.. Apne aap par bharosa rakho.. Apne talent par bharosa rakho..
Humare bolne ka tarika alag hai.. Aur isme koi problem nhi hai.. Agar aap jis v state ja re ho.. Uss tone ko adapt kr sakte ho easily to well and good otherwise not a big deal.. Koi badi baat nhi hai dosto.
.

KARWA SACH:

Mano ya na mano, par dosto.. Kuch aise log hote hain jo ek sadi hui fish ki tarah hote hain jo pure pond ko ganda kar dete hain..  Hain kuch aise log jo ganda kam karke pure Bihar ko badnaam kar rahe hain..

Meri aap sabse se request hai.. Iss baat ko samajh lijie k jab bhi hum Bihar se bahar nikalte hain.. Toh hum apne Bihar ko represent karte hain.. Islie koi v aisa kaam na kare jisse pure state ko sharminda hone pade.. 

Ek aur bht badi problem main highlight krna chahunga..  Humme se bht sare biharis hain jo job ke liye.. Padhai ke lie.. Bahar jate hain.. Aur bht sare settle v bahar hi ho jate hain.. Yha tak koi problem nhi hai.. Par guys hum apni root ko hi bhul jate hain.. Hum dusre states ke logo ke sath Bihar ko kosne lagte hain.. Ke yha ye problem hai.. Wo problem hai.. Ye bht galat hai.. Aur hum aisa show karte hain ke hum wahi k hain.. Hmara Bihar se koi wasta nhi hai.. Aur Bihar ko bura bhala kehte hain.. 
Agar hum hi aisa karenge to baki k log to bolenge hi.. 
Sabse badi baat ye hai.. Humne khud kitna aur kya contribute kia hai apne state ke lie as a citizen..? 
Pehle khud se puche..

Aur iss blog k through mai har ek Bihari ki or se Nitish Kumar ji ko aur unke kaam krne ke Sahi Tarike ko Thankyou bolna chaunga jo bhi badlaw isse aya hai.. 
Sabse badi baat ye New Year(2017) har saal ki tarah nhi tha..  Iss bar ladke aur men se zyada.. Girls aur women road pe thi.. Parks me thi.. Celebrate kr rhi thi.. 
Finally a Safe Bihar 

Stay Connected

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply