Bachelor Of Pharmacy

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi…
0 views 2 mins 0 Comments

B.pharma yani ke Bachelor of Pharmacy

B.Pharma

https://www.apnaahangout.com/b-pharm-after-diploma-in-pharmacy/

Pharmacy ka matlab medicines( दवाईयाँ, औषधि ) hota hai. yeh course karne se apko medicines ki knowledge hogi. iss course me ko karna apne aap me ek uplabdhi hai. isme students ko medicines banana ki vidhi aur konsi medicine kis bimari ke liye hai etc padhate hai or sikhate hai.

Kuch jaruri cheeze Bachelors of Pharmacy karne ke liye:

  • 12th class with scinece subjects pass karna hoga tab aap bachelors of pharmacy ke liye apply kar sakte hai.
  • B.pharma 12th class ke baad kiya jaane vala 4 saal ka course hai.
  • iss course me parmacy se judi har jaankari di jaati hai; jaise ke medicines(दवाईयाँ, औषधि) banana, unka test karna aadhi ki jaankari di jaati hai.
  • Yeh course un logo ke liye hota hai jo medicines me ruchi rakhte hai ya bio chemic field me apna career banana chahte hai.
  • 4 saal ke iss programm course ko karke ek bohat hi accha future banaya ja sakta hai.

Bachelors of Pharmacy karne ke fayde:

  • B.pharma karne ke baad aap chemist ka kaam kar sakte hain.
  • Aapko chemist ki shop kholne ka license mil jata hai B.pharma karne ke baad.
  • Pharmacist ke roop me colleges me kaam kar sakte hain.
  • Sarkari ya gair sarkari research vibhago me kaam kar skte hai.
  • Aur bhi bohat se fayde hai Bachelors of Pharmacy ko karne ke.

Aasha karte hai apko is blog se jaankari mili hogi. Aapka bohat bohat dhanywaad Sahi Tarika ke iss article ko padhne ke liye. aur bhi jaankariyo ke liye jude rahiye Sahi Tarika se.

www.sahitarika.com

TAGS:
Comments are closed.