Amity University Me Admission Kaise Le

Amity university ek private university hai jo k aaj k time me USGC ki manyata rakhti hai. Iske chancellor ASHOK CHAUHAN har tarah ki facilities de rahe hai students ko apni university me. University ki banawat bohat hi acche dhang me hui hai. Iske gates pr security bohat acchi hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Amity University Me Admission Kaise Le.

Agar DELHI UNIVERSITY YA JNU me admission na ho tou amity me admission le sakte hai, iska environment or faculties kaafi educated or cool hai. Isme admission milna asan islye hai kyunki isme admission lene ke liye apko 80 ya 90 percent marks naiiee chahye. Iss university me admission lene k liye apko bus 60 percent chhaye agr apke 60 percent marks ajate hai tou aap amity me admission le sakte hai humare bataye hue tareeke se. Amity university me admission lena bohat hi asan hai. Uska admission form thoda difficult lag sakta hai par itna mushkil nahi hai k ek 12 th pass student ussey na bhar paye.

ADMISSION FORM

  • Amity university ka admission form aap online b bhar sakte hai or campus me jakar form le b sakte hai. Amity university ka form kewal 1100 rs ka hai.
  • Admission form k sath apko ek book type ka kuch milega(prospectus). Vo apko form bharne me kaam aega.or usme amity ke courses or amity university ke bare me likha hoga, lagbhag sari jankari uss book (prospectus ) me hogi.
  • FORM k first page par apki detail jese k apka naam, apke mata peeta ka naam, address , phone number, or be apse judi hui baaten . jinhe aap bina kisi paresha ni k bhar sakte hai.
  • FIR apko course code dalne hai jo b aap course lena chahte hai uska code aap form k sath milne vali book me dhunde. Uss buk me sare course k code banaye hue hai. Aapko do course choose krke dalna hoga. Ek tou vo jo aap karna chhate hai or ek dusra vo jo k agar apka uss course me admission naiiee hota tou aap dusre course jisko aapne choose kiya hai ussey kr sake.
  • Fir apko apni 10 th ke subjects or grades bharna hoga form me.
  • Fir 12 th ke subjects or grades bharana hoga.
  • Ye sab karne ke baad end me apko apna ek sahi EMAIL id dena hoga.
  • Form ko bharne k baad apko campus me jakar ek box me form ko dalkr aaana hoga.
  • Sabse main baat form ke upar sidhe hath par ek ID hogi or ek PASSWORD hoga jo k kuch iss prakar hoga

id 332456 password 1e2u4r.

  • AMITY UNIVERSITY thoda high tech hai. Amity ne ek apni website banai hui hai jispar students ke accounts banne hue hai. Jaha pr student apne form pr milne vale id or password se login kar sakta hai.

INTERVIEW

Amity university ka interview formality k liye hota hai bus. Usme students ko kuch naiiee krna bus jo usne courses choose kiye hai unke bare me thoda padhkar or apne bare me batane hai confidence ke sath. Interview se darne ki jyada jarurat nahi hai. Agr aapko apke choose kiye gaye course ki thodi bhi jankari hai tou aap interview clear kr sakte hai. Interview ki date apke amizone vale account par Ayegi jisme apko form par diye gaye id password se login karna hoga. Logi n karne k baad apko pata chalega interview ka date or time.

AMIZONE

Amity amizone ek website hai jaha amity apne students ko account banakr deta. Amity university thodi high tech hai. Amizone ka amity ke student ki life me bohat tagda role hai. Amizone par amity students ki sari janakari unke account me dal deta hai or time table result vagera usi amizone me bane account me dalta rehta hai. Vahi se students ko classes k bare me , ya college me hone vale kisi b function , fest k bare me jo b jankari hoti hai vo sab amizone pr baner baccho k accounts me dal dete hai. Amity amizone ek accha jariya hai baccho k mata peeta tk unka result or unki college me hone vali performance k bare me batane ka. Or isi amizone pr apko interview ka time, date or place sab kch pata chalta hai.

Bus yaad rakhe amity k interview me bethne k liye kam se kam 60% marks chahye 12 th class me.

Ummed karta hu ke aapko ye jaankari sahi lagi hogi. Aur ab aapko pata hai ke Amity University me Admission Kaise lete hai. Agar aapko kuch poochna hai toa comment me ya email karke pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

4 thoughts on “Amity University Me Admission Kaise Le”
  1. rohit khatik says:

    what to do after fill online application form

    1. Wait for their instructions. They would contact you. Or you should talk to them, taking reference to your form.

  2. Hlo kya hum 12th mein admission le sakte h kya amity university noida m I mean ki agar 12th ka result nhi aaya tb y hi le sakte h kya amity university.,noida m admission

    1. Bina Pass hue Admisssion nahi hoga. Ha Bina Results aaye aap baaki Formalities kar sakti hai. Jaise Admission form lena and submit karna.

Leave a Reply